Logo

Dewan-e-Ghalib


A Gift for Ghalib Lovers


hain ore be duniyaa main sohanvaar bohot acchay
kehtay hain kay ghalib ka hai undazeay bayan ore


Ye Masail-E-Tasavvuf Ye Tera Bayaan Ghalib
Tujay Hum Walli Samajtay jo na bada-khar hota

Posted on 6/19/2006 11:02:17 PM

will upload in urdu

Posted on 6/19/2006 11:04:49 PM


Posted on 6/19/2006 11:04:58 PM

deewan-e-ghalib... hamari fursat ka muntazir hey...

Posted on 6/19/2006 11:49:56 PM


Posted on 6/20/2006 12:05:02 AM


Posted on 6/20/2006 12:10:43 AM

* kehtay hain hum tuj ko mun dekhlayeen kya*

* ya rub apnay khut ko hum ponchayeen kya*

Posted on 6/20/2006 12:13:45 AM


Posted on 6/20/2006 4:02:09 AM

thanks fairl girl

dr sahib khuda karay app ko fursat na milay
wagerna ho jayeen gey shamil khanay-e-kharaboo main

zaara kay veer can't understand farsi

Posted on 6/20/2006 1:34:01 PM

ghalib ko jub ghar mai joa karwanay kay jurm mai 6 ma qaid sunayee geye tu waha uss nai ye ghazal likhiii....

Ghar keya Nasah nai hum ko qaid, accha yun sahi
ye janoon-e-ishq kay undaz chhut javeen gey kya ?





Posted on 6/20/2006 1:36:26 PM

Badshah wakt kay darbaar mai Ghalib ko jiss banday nai jaga na milnay dei ussay USTAD ZAUQ kay naam sei jana jata tha.....

Dehli walay ye nahi chahtay thay kay koi AGRAY wala Darbar mai jaga banay lay........

aik baar Ghalib ko darbar mai mushareyee pay bolayaa geya tu ....kisi aik banday nai be uss kay kisi sher ki daad na ....jis sei woe naraz ho kay mehfil sei uth geyaa.........

Ghalib gali muhaloo mai shaeri karta thaa....Aam insanoo kay juzbaat ki tarjumani karta raha...jub kay Ustad Zauq badshah wakt ki shaan mai Qaseday likhta raha.....

wahi sei ghalib kay undaar dewaangi aanay lagi .....ore uss ki sheeri mai ye Aaalq sa andazay beyaaan jhulknay lagaa

Posted on 6/20/2006 1:50:32 PM

Aik dafa Ustad Zauq apni palki mai beth kay bazar sei ghalib kay samnay sei guzraa tu ghalib nai aik jumla Qasaaa

Bana hai shah ka musahib , phiray hai itrataaaa


ustad zauq ko ye baat bohot buri lagi ore unhoon nai ghalib ko zalil karnay ka aik mansooba banayaaaa

unhoon nai darbar mai aik moshaeray ka ehtamam keya ore ghalib ko invite keyaaa........
ghalib jub ayaa tu zauq kay aik masahib nai badshah ko batayaa kay ghalib nai sar-ay rah ustad zauq ki shaan mai jumla qasa hai...

badshah nai ghalib sei pocha tu ....ghalib nai kaha jee hazoo mai nai kaha magar ye meri neyeee ghazal ka maqta tha...

badshah nai kaha kay maqta sunayeee........ghalib nai kaha

bana hai shah ka musahib , phiray hai etrataaa
bana hai shah ka musahib , phiray hai etrataaaa
wagernaa sher mai ghalib ki aabroo kya hai ?



ustad zauq paar manoo miti paard geyeee........phir be unhoon nai haar na manii...or kaha kay agar maqta itna accha hai tu poori ghazal kya ho gey..... woe jantay thay kay ghalib nai ye misra abi abi gardha hai......

ghalib nai ussi wakt betha betha ye pooori ghazal likhiii jo kay sirf ussi ka kaam hai...gazal kay kuch sher molahiza farmayeee

Posted on 6/20/2006 1:59:38 PM

Haar aik baat pay kehtay ho tum kay tu kya hai ??
tumheee kahoo kay ye undazay guftaguuu kya hai ??

ragoo main dhordnay phirnay kay hum nahi kaayeel
jub aankh he sa na tupka tu phir, lahooo kya hai ??

kay puk raha hai badaaan paar lahoo sei paeraahan
hamari jaeb ko aab hajatay rafooo kya haii ?

jula hai jism jaha dil be jul geya hoo ga
quradetay ho abb raaakh , justagooo kya hai ?

bana hai shah ka musahib phiray hai etratay
wagerna sheher mai ghalib ki aabroo kya hai ?



pooray darbaar kay sath sath ...pooora sheher be wah wah ki awazoon sei gunjanay lagaaaa......ye ghazal haar mehfil ki jaan baan geyee

Posted on 6/20/2006 2:03:42 PM

wowwww,,
deewan e ghalib by deewana freddy



"CHIPAK raha hai badaaan paar lahoo sei paeraahan"

me ne drama dekha hai,, by gulzar
its great

Posted on 6/21/2006 11:59:14 AM

is qissay ka to humain pata tha zoq aor ghalib walay qissay ka...
aor freddy... fursat ka kya hey mil hi jaye gi kisi na kisi din.. na mili to aap ka ye topic to hey na....

Posted on 6/21/2006 12:21:20 PM

Freddy:
thanks fairl girl

dr sahib khuda karay app ko fursat na milay
wagerna ho jayeen gey shamil khanay-e-kharaboo main

zaara kay veer can't understand farsi



ok
but (Ghalib )knew

Posted on 6/21/2006 7:26:22 PM

dramay kay saray episodes hain meray pass dvd mai.....

ghalib samjanay sei samaj nahi aataaaa...ye tu buss aesay he aa jata hai dr sahib

ofcourse he knew

Posted on 6/22/2006 6:51:25 PM

probably his best ghazal

my fav one


Posted on 6/22/2006 6:55:20 PM

2nd fav

Posted on 6/22/2006 6:57:07 PM

Aik say Barh ker Aik

Kepp it up Freddy..I am reading

Posted on 6/23/2006 10:34:25 PM