Logo

ZINDAGI KAY LIYE

teri chah main had say guzar jaon gi ik din
piyar hota hai kia yeh dikhaon gi ik din

teri sang dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaon gi ik din

apni sari chahtain tujh pay war kay
piyar karna tujhay bhee sikhaon gi ik din

jee na pay ga tu bhee ho kay juda mujh say
aisa piyar tujh say kar jaon gi ik din

andhairon main hi dhoondhta reh jay ga mujh ko
aisi bay rukhi dikhlaon gi ik din

kho kay mujh ko pachtao gay bohat sanam tum
wafa aisi tum say kar jaon gi ik din

aisi deewangi say chahon gi tujhay
bhool jao gay tum bhee sara jahan ik din

jaan teri bhee labon pay aa jay gi
ban kay khak jab matti main mil jaon gi ik din


Posted on 10/6/2006 9:05:25 AM

\ andhairon main hi dhoondhta reh jay ga mujh ko
aisi bay rukhi dikhlaon gi ik din


Posted on 10/6/2006 9:16:19 AM

apni had mainn raho....Itna kuchh ker lena kay baad agar kuchh haasil na hua tou ..kam az kam apni shanaakht tou qayem rakh sako gi

Posted on 10/7/2006 11:09:59 PM

its not my feelings.yeh poet ki feelings hai jee

Posted on 10/8/2006 7:11:03 AM

wah wah boht achi hai

teri sang dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaon gi ik din
yeh din jaldi kyion nahin ata

Posted on 10/8/2006 4:17:29 PM

ok sun_shine

Posted on 10/8/2006 8:58:31 PM

mmja:
wah wah boht achi hai

teri sang dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaon gi ik din
yeh din jaldi kyion nahin ata


aray aisa kya hua?

Posted on 10/10/2006 7:03:19 AM

bus ab apko kyia batyion apki ankhon main ansoo a jayengay
pehli jayegi to dosri ayegi akhir us bechari ka bhi to haq hai na

Posted on 10/10/2006 5:09:37 PM

yaa bilkul

Posted on 10/11/2006 7:11:40 AM

bus ab duaa karayn yeh din jaldi a jaye

meri raat chupi hoye din main hai,mera din chupa kisi raat main
meri zindgi koi raz hai koi raz hai meri zaat main
main jab bhi kahin bhatak geyia girtay girtay sambhal geyia
mughay thokron say pata chela koi hath hai meray hath main

Posted on 10/11/2006 8:50:30 PM

wah wah kya poetry hain

Posted on 10/13/2006 8:12:48 AM

mmja:
bus ab duaa karayn yeh din jaldi a jaye

meri raat chupi hoye din main hai,mera din chupa kisi raat main
meri zindgi koi raz hai koi raz hai meri zaat main
main jab bhi kahin bhatak geyia girtay girtay sambhal geyia
mughay thokron say pata chela koi hath hai meray hath main


Bahut khoob, janab!

Posted on 10/13/2006 9:36:56 AM

thk s s and danie

Posted on 10/13/2006 6:01:40 PM

most welcome

Posted on 10/14/2006 7:42:18 AM

IT Poetry...
Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo

Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao

Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain

Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho

Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai

Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar

Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift delete kar doonga

Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai

Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file

Posted on 10/14/2006 8:23:28 PM

wah wah
aap to poet ban gaye hain.

Posted on 10/15/2006 8:34:40 AM

sache main ab to main apne book chupwa kar he rahonga apko to zaror kharedne padrage

Posted on 10/16/2006 12:02:55 AM


Posted on 10/16/2006 1:13:33 AM

aray kyun nahi kharidaingay
jahan urdu english ki book kharidtay hain wahan yeh bhi lay laingay.

Posted on 10/16/2006 7:08:05 AM

wah je wah mazay lag gaye zara ap book kay pesay    advance day sakte ho pehlay book ap he ko bhajwayionga paka

Posted on 10/16/2006 11:41:15 PM

sun_shine:
aray kyun nahi kharidaingay
jahan urdu english ki book kharidtay hain wahan yeh bhi lay laingay.


mujh ko tu free milye gi na aik copy

Posted on 10/17/2006 12:27:02 AM

mmja:
wah je wah mazay lag gaye zara ap book kay pesay    advance day sakte ho pehlay book ap he ko bhajwayionga paka


yani ke baddebt hona hia
yar aik book merye liye bhi order keroo

Posted on 10/17/2006 12:27:43 AM

pehlay advance yeh roze ka mamla hai zara samgha akro

Posted on 10/17/2006 1:47:08 AM

yarrr phir bhi koi na koi hal nikal loo na

Posted on 10/17/2006 1:51:22 AM

chal esa karta hon pehlay s s ko bech dayta hon jab yeh padr layn to insay second hand kharid leyna saste mil jayge

Posted on 10/17/2006 2:06:28 AM

yar woh tu der ho jaye gi phir

Posted on 10/17/2006 2:11:50 AM

nahi der nahi hogi main aik hi din may saari poetry parh loongi.

Posted on 10/17/2006 7:23:25 AM

nahi der nahi hogi main aik hi din may saari poetry parh loongi.
keyai kehnay hain apkay saf kaho mera dil rakhnay kay leyiay lay lo ge par padro ge nahin

Posted on 10/18/2006 12:22:29 AM

nahi kyun nahi parhoongi haa

Posted on 10/18/2006 8:51:45 AM

to phir aik din main kesay khatum karaynge mainay to badre mote sare banwayionga takay keemat zeyiada ho aik he ghazal ko gham phara kay 100 adaf likhonga

Posted on 10/18/2006 11:33:43 PM

jitni bhi mote book ho hum aik hi din main parh laingay.
aakhir maazi ka experience hain.ek raat main Physics,Chemistry aur mathematics ki book parh liya kartay thay.

Posted on 10/19/2006 6:58:15 AM