what you think about islam

5044 views 72 replies
Reply to Topic
mmja

Age: 124
Total Posts: 3835
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
idhar hum islam kay mutlik apna khyial likhayn gay
meray khyial main ajkal ya kisi bhi halat pay islam
pay amal karna takribann na mumkin hai masal kay
tor pay aik mazdor sara din kam karta hai woh july
ka roza kesay rakh sakta hai?islam nay kaha hai
kay woh rozay main adha din kam karay aik mazdor
ager sara month regular bhi kam karay to 5000 nahin
kama pata ager woh ada din kam karay to woh khana
kahan say khaye or ramadan kay foran bad eid pay
apnay bachon ko kesay face karay?
iskay alawah meray khyial main HAZOR kay bad
jitnay bhi sahaba karam ya woh musilman jinko
hakomat mili inho nay islam ko sakhit nuksan pohnchayia
unhay nay islam ka bhana bhana kay apni hakomat kay
chakar main dosray mulikon pay na jayez kabza keyia
jiski wajah say aj angrez power main anay kay bad apna
badla lay rahay hain.islam zinda hota hai har karbala kay
bad main is bat ko bhi nahin manta kyionkay yazeed waris tha
or tamam logoon nay uski beet ki thi phir ap kis liay unsay ladrnay gaye srif un chand logoon kay kehnay pay jinhon nay apkay walid kay sath
sari zindgi dhoka keyia ap kesay unpay yakeen kar saktay thay.or aik chez meray kheyial main islam danday kay zoor pay phela hai or dunyia ka
sab say sakhit rilegion hai.
Posted 22 Oct 2006

Barsaat says
touba

pahlay mera aik question hay aap say...
are you muslim???
Posted 22 Oct 2006

mmja says
ALLAH kay fazal say
Posted 22 Oct 2006

mmja says
wesay mainay esa kyia likha mainay to srif muslim history likhe hai ager ap books padrayn to akpo yehe milayga
Posted 22 Oct 2006

Barsaat says
books parhi to hain
and jo aap nay likha hay wo bi
but jis tarha say aap nay liya hay un baton ko wo ghalat hay.


you said :

jitnay bhi sahaba karam ya woh musilman jinko
hakomat mili inho nay islam ko sakhit nuksan pohnchayia


aik to waisay bi tohmat lagana bohat barha gunah hay
and SAHABA KARAM k baray main aisa likhna..
kion gunah lay rahay ho aap.


................

Islam ki tareekh main jo hoa un ki wajohaat hain.
bas samajhnay ki baat hay.

and yah jo aaj kal k hokamrano ki bat hay to...akhrat main un ki poch ho gi.
is main RELIGION ki koi fault nahin hay.

....
mujhe aap ki baton par ghusa nahin rona a raha hay..

Posted 22 Oct 2006

mmja says
koi bat nahin ro lo
aik bat pochne hai apsay jab HAZRAT UMAR say poch geyia kay apkay bad kinko hakomat de jaye to unho nay jin 5 logon kay naam liay thay woh saray mahajer thay kyia HAZRAT ke tablikh ke wajah say koi insaar is qabil nahin tha kay woh hakomat karsakay jabkay unho nay islam kay naam pay jo keyia woh hum sab jantay hain yeh aik farik tha apno main or dosro main ap mere bat manay ya na lakin har insaan ke apne soch hote hai
Posted 22 Oct 2006

Barsaat says
mmja said:

idhar hum islam kay mutlik apna khyial likhayn gay
meray khyial main ajkal ya kisi bhi halat pay islam
pay amal karna takribann na mumkin hai masal kay
tor pay aik mazdor sara din kam karta hai woh july
ka roza kesay rakh sakta hai?islam nay kaha hai
kay woh rozay main adha din kam karay aik mazdor
ager sara month regular bhi kam karay to 5000 nahin
kama pata ager woh ada din kam karay to woh khana
kahan say khaye or ramadan kay foran bad eid pay
apnay bachon ko kesay face karay?.



mmja brother... sirf duniya hi sab kuch nahin hay.
jo sabar karay ga...us ka Darja ALLAH k nazdeek bohat barha ho ga ( InshALLAH) yah us banday ki and ALLAH k beech ki bat hay...
HAQ HALAL ki sokhi roti khanay walay insan main and aik
karorh-pati magar HARAM kamai khanay walay main bohat farq hay.

yah duniya hamaray liyay IMTEHAN hi to hay...k is duniya main... musibatain jhel kar bi ham apnay IMAAN ko qayam rakhain...
duniya hay hi kitnay din ki??
bat to akhrat ki hay na.



mmja said:

islam zinda hota hai har karbala kay
bad main is bat ko bhi nahin manta kyionkay yazeed waris tha
or tamam logoon nay uski beet ki thi phir ap kis liay unsay ladrnay gaye srif un chand logoon kay kehnay pay jinhon nay apkay walid kay sath
sari zindgi dhoka keyia ap kesay unpay yakeen kar saktay thay..



islam hamain DAR-GUZAR sikhata hay...
MAAF kar dainay walay ko, SULAH k liyay hath barhanay walay ka darja bohat buland hota hay ALLAH ki nazar main.
uff aap kion aisi batain kar rahay hain


mmja said:

or aik chez meray kheyial main islam danday kay zoor pay phela hai or dunyia ka
sab say sakhit rilegion hai.



gher muslims ko to jawab daina ya samjhana banta tha..
kia ab hamain apnon ko bi samjhana parhay ga..
YA ALLAH ham log kidhar ja rahay hain??

Posted 22 Oct 2006

Barsaat says
mmja said:

koi bat nahin ro lo
aik bat pochne hai apsay jab HAZRAT UMAR say poch geyia kay apkay bad kinko hakomat de jaye to unho nay jin 5 logon kay naam liay thay woh saray mahajer thay kyia HAZRAT ke tablikh ke wajah say koi insaar is qabil nahin tha kay woh hakomat karsakay jabkay unho nay islam kay naam pay jo keyia woh hum sab jantay hain yeh aik farik tha apno main or dosro main ap mere bat manay ya na lakin har insaan ke apne soch hote hai



waisay to aap ko yah batain kisi ALAM say pochni chahiyain... coz mera ilm filhal itna nahin hay.

but jaisi batain aap kar rahay hain
un say yahi feel ho raha hay k jaisay aap ko SAB par hi aitraz hay.

islam k hawalay say sirf DIFF SOCH rakhna koi bat na hoi...
yah koi movie ya..book etc nahin hay k aap ka jo dil chahay aap bol do.

na ham insan is qabil hain k ALLAH nay jo mazhab banaya...ya NABI or SAHABA nay jo faislay kiyay un k khilaf bina REAL REASON janay aitraz karain ya aisi batain karain.

Posted 22 Oct 2006

islam is a peacefull religion....islam main koi sakhti nahi hai kisi par...woh MAZdor roza rakhega...ALLAH usko us sey bhi zyada dega...sahaba ke bare main aisa kehna GUNAAH HAI...ISLAM AAJ BHI ZINDA HAI aur phel raha hai.
"or aik chez meray kheyial main islam danday kay zoor pay phela hai or dunyia ka
sab say sakhit rilegion hai."

AS SD SAYS " DONT SAY ANYTHING WITHOUT ANY RESOURCES
Posted 22 Oct 2006

danie says
Are Bhai koi SD ko dundo, kahan hein vo?
Unki barri sakht zarurat hei yahan par.

SD sir come plz, somebody need ur guidance.
Posted 23 Oct 2006

danie says
mmja sir,
sabse pahile to mei ye kahna chahoonga ki in sab baton ke liye hamari akla bahut choti hei. ye to kuch aesa hua ki 4th std mei parne vaale bache aeronautical eng. ke farmule disscuss kar rahen hei.

Islam hi nahi, duniya ka koi bhi religen bura nahin hei. Bas insaan hi matlab nikalne mei galti kar baithta hei. Kyon ki uski akla un baton ke liye bahut choti hei.
Agar hamein is topic par disscuss karna hei to sabse pahle hamein apne aap ko iske layak banana parrega. Hamei abhi bahut jyada knowledge ki zarurat hei in ko samjhane ke liye.

Vaise aajkal purity to kahi rah nahi gai hei. Agar koi doodh mei paani milakar (impure karke) bech raha hei to hum yah nahi kah sakte ki doodh gandi cheez hei. Ye doodh ki galti to katai nahi hei.

Is barre mei mere khayal to yahi hei ki aap ko islam mei kuch achaiyan bhi dikhi hei to aap unko honestly follow karen.Baki jo batein aapko samajh mei nahi aai hei (ya galt tareeke se samajh mei aai hei)unke baare mei aap apni rai filhal reserve rakhen. inshaALLAH ek din aapki akla ko barakat bakshi jaegi, us din aapke saare confuson door ho jaenge.

ALLAHnigehban

Sincerly Yours,
Danie
Posted 23 Oct 2006

mmja says
bhai logo aik bat main apko pehlay he clear kardo mainay yeh nahin kahah kay islam sahe nahin hai mainay to srif yeh kaha kay isko logoon nay sahe phelayia nahin hai or boht logoon nay srif apnay fayeday kay liay islam ko boht nuksaan pohnchayia hai jiske wajah say islam aj hamray dilon main jitna mazbot hona chaye tha nahin hai or jahan tak islam ko manay ke bat hai to woh ap fikar na karay main usay dil say manta hon or ALLAH ka shukar hai kay main musilman ho main to srif ap logoon say yeh raye lay raha hon kay mughay lagta hai kay islam ke tablegh sahe nahin ho sake ap logoon ka kyia khyial hai or han reply kay liat thnk
Posted 23 Oct 2006

SD come here
Posted 24 Oct 2006

mmja says
bhai yeh sd kon hai jisko bar bar bolayia ja raha hai
Posted 24 Oct 2006

its me, smooth daddy

mmja,
Early muslims were the most righteous in their belief and act as is evident from the tradition of the Prophet saw: "The best time is my time and next best is of the generation after me and the one after that."

The time of Khilafatur Rashidiyah falls in that category. At large, all the rulers of this time ruled with justice, and carried on the work of the prophet. Wars agains romans and persians started in the time of the prophet AS.

Era of Abu Bakr As Siddiq was marked with mutinies and apostasies. He fought against them to protect islam, while the army that prophet AS himself had formed was engaged in battles with romans and persians.

In the times of other caliphates, wars continued in persian and roman lands. At this point, I will ask you a question, do you think, any army of volunteer soldiers, ill equipped, ill trained, and much smaller in number than super powers of that time would dare to militarily challenge them?

Islam and its growing influence posed challenges to the rulers of lands outside arabia and threatened status quo. Majority of residents in areas that came under the rule of khilafa during these battles, remained non-muslim for decades, and in some cases for centuries. Only rules of governence changed and the system of euality and justice was established. In many cases, non-muslim populace of towns and cities invited Muslims to rescue them from tyranny of their own rulers.

Your assertions on the issue of karbala are far from balanced views - khilafa is not by inheritence, regardless of who the person is.

I will let you digest this for now.
Posted 24 Oct 2006

mmja says
In the times of other caliphates, wars continued in persian and roman lands. At this point, I will ask you a question, do you think, any army of volunteer soldiers, ill equipped, ill trained, and much smaller in number than super powers of that time would dare to militarily challenge them?
sir aj main srif iska jawab donga
yahan tak to theek tha lakin wahan jakay yeh kaha kay hadyia do ya musilman ho jayio jiske wajah say kuch lalche or gharib loog uper say musilman hogay hadeyiay ke wajah say lakin woh dil say musilman nahin huway thay jiske wajah say unke ayenda nasilayn islam say door hate gaye jo aj kal hamayn saf nazar ata hai
Posted 25 Oct 2006

mmja says
aik bat pochne hai apsay jab HAZRAT UMAR say poch geyia kay apkay bad kinko hakomat de jaye to unho nay jin 5 logon kay naam liay thay woh saray mahajer thay kyia HAZRAT ke tablikh ke wajah say koi insaar is qabil nahin tha kay woh hakomat karsakay jabkay unho nay islam kay naam pay jo keyia woh hum sab jantay hain yeh aik farik tha apno main or dosro main ap mere bat manay ya na lakin har insaan ke apne soch hote hai
sir ab iska ans bhe day dayn
Posted 25 Oct 2006

mmja said:

In the times of other caliphates, wars continued in persian and roman lands. At this point, I will ask you a question, do you think, any army of volunteer soldiers, ill equipped, ill trained, and much smaller in number than super powers of that time would dare to militarily challenge them?
sir aj main srif iska jawab donga
yahan tak to theek tha lakin wahan jakay yeh kaha kay hadyia do ya musilman ho jayio jiske wajah say kuch lalche or gharib loog uper say musilman hogay hadeyiay ke wajah say lakin woh dil say musilman nahin huway thay jiske wajah say unke ayenda nasilayn islam say door hate gaye jo aj kal hamayn saf nazar ata hai



Collection if Jizya was ordered in Quran. This was a tax non-muslims paid to live under the security and justice system of Islam. My friend, many muslims live in the lands of non-muslims and pay taxes for benefits that they will never receive. Do they change their belief systems just to avoid taxes? FYI: Omar RA was known for aborting jizya on poor and old people. Because Islam was not sent to oppress needy, regardless of their faith.

Muslims ruled in india for 1000 years, majority of India was still non-muslim - where was sword that turned some to islam but could not hurt enough to force everyone to Islam? There are only theories or some isolated unfortunate events. At large, muslims did not use force to convert any people to Islam.
Posted 25 Oct 2006

mmja said:

aik bat pochne hai apsay jab HAZRAT UMAR say poch geyia kay apkay bad kinko hakomat de jaye to unho nay jin 5 logon kay naam liay thay woh saray mahajer thay kyia HAZRAT ke tablikh ke wajah say koi insaar is qabil nahin tha kay woh hakomat karsakay jabkay unho nay islam kay naam pay jo keyia woh hum sab jantay hain yeh aik farik tha apno main or dosro main ap mere bat manay ya na lakin har insaan ke apne soch hote hai
sir ab iska ans bhe day dayn



My friend, right after the death of the prophet saw, Ansar gathered together in the house of Abu-Obaidah to crown him as the khalifatur rasool. Abu-bakr RA, reported to them the hadith of the prophet that Khilfa shall remain among the Muhajiroon after him. Upon hearing that, none challenged it nor there was ever a strive among the ansar to take that position. They remained above that controversey and strengthened the hands of the Khilafah. BTW, all the names suggested for Omar succesor were proposed by the team of advisors composed of both, ansar and muhajiroon.
Posted 25 Oct 2006

mmja says
thanko sir je but i am still not conv
apke bat bhe theek hai or meri bhe to mera khyial hai hamaynchaye kay is topic ko close kar daytayn hain kyionkay yeh aik boht lambhe bhes hai abhe eid hai zindge rahe to eid kay bad dobara start karayngay
Posted 25 Oct 2006

you are welcome dear.

I didn't post to convince you but to give viewers another way of thinking.

enjoy eid
Posted 25 Oct 2006

mmja says
thanko je
every person has own views
same 2 you dear
Posted 26 Oct 2006

nikama says
jawad,nice job
atleast some one has the courage to discuss these issues openly
YIN
his/her replies have really disappointed me,typical negative thinking....expressing doubt about the faith of anyone who thinks differently from the popular beleif.it is very unforunate and disgusting
mmja ne 3 batain kahi hain.
1-aj kal k dour main islami talimaat per amal kerna almost na mumkin he.
2-islam k shroo dour k hukmaranon ne apne iqtidar ki khatir islam ko misuse kia.
3-islam dunday k zor per phaila aur dunia ka sakht tareen mazhab he.
now u have every right to agree or disagree on all three statements,but u dont have any right to ask other person
ap musalman hain
moderators should not allow anyone to express doubts about other's beliefs.
i can say many things on this topic but some other time
Posted 27 Oct 2006

Ashii says
mmja ki sari knowledge suni sunai baton aur aadhe kisse kahaniyon pe mabni hai
achi baat hai k aap ko apna view sab k samne kehne mei darr nahi laga,, par agar thora sa khud se reliable sources se pata karne ki koshish karte to zyada acha hota
im not at all shocked coz i had exactly the same views abt Islam,, par Allah ka shukar hai thora bohot jaane ki koshish ki hai to kafi kuch samajh aane laga hai
(sab kuch nahi)

Karbala ka wakeya to itna important hai Islamic history mei,, agar aap ne iss ko bhi samajhne ki koshish nahi ki to hmmmmmmmm.. afsos ki baat hai




hmm,,, but one thing
as mmja said abt mazdoor working while fasting in summmer
i totaly agree to him
i know iss mei Islam ka nahi hamare sys ka kasoor hai,, par unn becharon ko bhugatna parta hai
Posted 27 Oct 2006

nikama says
o.k.lets face it now
hum sab jo kuch bhi kehte ya sunte hain vo hamari suni hui ya parhi hui baton per hi mushtamil hota he.mmja ne jo kuch kaha lazmi nahin k vo sab bhi ghalat hi ho.
SANHA-E-KARBALA
much ado about nothing really.it is the most misinterpreted story in islamic history.yazeed aik nalaiq aur na ehal shakhs tha aur us ko musalmanon per hakoomat ka koi haq nahin tha,to phir itne bohat se sahaba karam ne us ki bait kyun ki,being myself a sunni muslim when i consulted a few sunni books about it all they say is that every sahabi is a mujtahid,jinhon ne baait ki ye un ka ijtihad tha aur jinhon ne bait nahin ki ye un ka ijtihad tha
this is hypocricy to say the least,ager hum jaise jahilon ko ye nazar a raha he k yazeed hakoomat k qabil nahin to un sahaba karaam ko kya ho gaya tha,ghalat ko ghalat samjhte huay us ka sath dena IJTIHAD nahin MUNAFIQAT kehlata he.
SHIAS ka point of view is muamle main ziada rational he,vo yazeed ki bait kerne walon ko munafiq kehte hain.u r either right or wrong there is nothing in-between.
and i respect IMMAAM HUSSAIN so much,for his strength of charecter,his piety and of course his kinship with the holy prophet s.a.w.s,but in my personal humble opinion he lacked the wisdom of his elder brother IMMAAM HASAN,who despite having the rightfull claim on throne,stepped down just to save the lives of muslims.HAZRAT ABDULLAH BIN ZUBAIR pardon me if the name is wrong,also rebelled against yazeed and he did the right thing by staying in makkah while immaam hussain was lured by the false support of koofians.ager imaam hussain bhi makkah main rehte hazrat abdullah ka sath dete to shaid ye tragic event hota hi na.
baqi ye kehna k imaam hussain ne jaan de ker nana ka deen bacha lia,its just nonsense,kaise bachaya jabke yazeed un ki shahadat k baad bhi 3 saal araam se hakoomat kerta raha and did all the bad things that he wanted to do.
ISLAM ka masla nahin tha masla iqtidar ka tha,since the death of holy prophet,musalmanon main iqtidar ki rassa kashi shroo ho gai,jo hakoomat sambhal le us k liay ameer-ul-momineen kehlana bohat asaan ho jata he but essentially they all were dictators.
as for the JIHAD in early days of islam,well u go to a city besiege it and give the citizens a message
1-islam qabool ker lo aur hamare bhai ban jao
2-jizia dena qabool ker lo aur araam se raho
3-ya phir merne k liay tayar ho jao
if this is JIHAD then surely our dear mr.bush is also on jihad of his own,jizya before hazrat umer also included khumus and khumus also included women of the poor tribes.
i just disagree on one point with mmja
islam per amal kerna kisi bhi daur main na mumkin nahin raha.
Posted 27 Oct 2006

Ashii says
hmmm,, one by one
i didnt know the sunnite opinion abt "bait kiye gae sahaba karaam" k baare mei,, i used to beleive these ppl were munafiq



me ne to itna parha hai k jinn logon ne yazeed ka saath diya tha they promised hazrat Imam Husein that if he comes to proclaim his right if Imamat they will b at his side,, but the moment came unn logon ne darr se ya kissi bhi waja se sath nahi diya,, aur aise mei agay barh k peeche hatna munasib nahi tha
it was a way to prove their faith
the war between "power" and "faith" i cant see wots wrong in it
isnt it exactly wot Jesus did

baat deen bachane ki nahi hai as we say "imaan taza karne ki hai"
logon ko yeh yakeen dilane ki hai k Propeht saw k baad bhi sab khatam nahi hua


i totaly agree k hamare han hamesha iqtedar ka masla raha hai,,, pehle 4 khalifah chose karne mei hi itne masle hue k baad ka to kehna hi kya



wot u said abt JIHAD is right
well i dotn think there s anything wrong in Jizya,, muslims pay Zakaat and non muslim k liye yeh jizya hai,, im living here and I pay all due taxes to french gvt.. nothing s wrong in it
never heard abt KHUMUS

in a way mr bush is doing the same thing,, but he s doing all that at the name of "power and money" muslims do it for Allah and his deen (normaly)
fark nazariye ka hai,, warna jung to jung hi hoti hai
Posted 28 Oct 2006

nikama says
yazeed ka sath dene wale do tarah k log thay aik to newly conquered and newly converted ppl like syrians etc.un logon k liay khilafat kooi issue hi nahin tha,un k liay vo badshahat hi thi jo bhi takht per baith jay vo theek he.
doosra tabka tha the ppl of two holy cities and many of them were companions of prophet s.a.w.s,they were a minority but had great influence over the relatively new muslims because of their position,and yazeed and even before him his father muavia did everything they could in order to gain their support,since only this could give yazeed's gov.legitimacy....
and sadly they succeeded in their efforts to a great extent.
it was not a war between faith and power,yazeed is a muslim and their was no imminent danger to the religion itself but it was a war between two power seekers one was pious and other was a sinner...the pious one got the martyrdom and the sinner one got the power.
yazeed in my opinion did not want to kill imaam hussain at all,but he did not punish those who did....so we call him yazeed maloon....the cursed one,but hazrat ali did not punish those who killed hazrat usman and we dont call him........well,
HISTORY IS SUCH A CRUEL SUBJECT
Posted 28 Oct 2006

mmja says
me ne to itna parha hai k jinn logon ne yazeed ka saath diya tha they promised hazrat Imam Husein that if he comes to proclaim his right if Imamat they will b at his side,, but the moment came unn logon ne darr se ya kissi bhi waja se sath nahi diya,, aur aise mei agay barh k peeche hatna munasib nahi tha
it was a way to prove their faith
the war between "power" and "faith" i cant see wots wrong in it
isnt it exactly wot Jesus did
ager ap nay thodre history or padre ho to apko pata hoga kay yeh woh log thay jinhon nay HAZOR(saws)kay sath dhoka keyia tha phir HAZRAT IMAM UN PAY KESAY BHAROSA KAR SAKTAY THay chelayn yeh bhe theek hai aik or bat batata chalon jab ap mukablay kay liay ja rahay thay to apkay sath 82 nahin balkay beshamar afrad thay lakin rastay main aik arab poet nay batayia kay wahan kay loog yazeed say dar gaye hain or woh apka sath nahin dayngay to apnay kaha kay jo is bat kay bad bhe wapis jana chata hai to ja sakta hai to apkay khandan or chand dosray logon koc hodr kar saray loog wapis chalay gaye thay iskay bad bhe jana meri samgh say bahir hay
Posted 29 Oct 2006

mmja says
jawad,nice job
atleast some one has the courage to discuss these issues openly
thanko sir je akhir kar koi meri tarfi say bhe bola
yeh topic post karnay say pehlay he mughay pata tha yeh aik cont topic hoga kyionkay zeyiada tar loog isay asane say qabol nahin karaynge jokay huwa
lakin aik cheez jis ke wajah say main thodra dukhe hon woh yeh kay logon ko yeh kehna chaye tha kay unke thinking yeh hai ya woh meray say disagree kartay hai par yeh kehnay kay meri thinking pay unhay afsos hai ya main musilm honkay kay nahin yin ka to mughay pata nahin kon hain lakin ashi je ke taraf say mughay esay reply ke ameed nahin the
mera maqsad srif yeh tha kay hum apne apne soch aik dosray kay sath share karayn shayed is ke wajah say hum main say koi islam ko zeyiada ache tarahn samgh lay ager uskay damagh main koi masla hai to woh dosray kay sath disc karka clear kar lay ager kisi ko bora laga to sory
Posted 29 Oct 2006

rbaba says
Islam is the way of life
Posted 23 Nov 2006

kiran says
I think islam boohat acha religion insaan ko mohabbet kerna sikhata hai aur eik allah ko manne ki taleem daita hai ager hum islam ki asli taleem per amal karain to kabhi bhi rah se bhatkain appne pyare rasool ki masal lain to kabhi fasad na karain.
Posted 23 Nov 2006

Reply to Topic