what you think about islam

5054 views 72 replies
Reply to Topic
mmja

Age: 124
Total Posts: 3835
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
idhar hum islam kay mutlik apna khyial likhayn gay
meray khyial main ajkal ya kisi bhi halat pay islam
pay amal karna takribann na mumkin hai masal kay
tor pay aik mazdor sara din kam karta hai woh july
ka roza kesay rakh sakta hai?islam nay kaha hai
kay woh rozay main adha din kam karay aik mazdor
ager sara month regular bhi kam karay to 5000 nahin
kama pata ager woh ada din kam karay to woh khana
kahan say khaye or ramadan kay foran bad eid pay
apnay bachon ko kesay face karay?
iskay alawah meray khyial main HAZOR kay bad
jitnay bhi sahaba karam ya woh musilman jinko
hakomat mili inho nay islam ko sakhit nuksan pohnchayia
unhay nay islam ka bhana bhana kay apni hakomat kay
chakar main dosray mulikon pay na jayez kabza keyia
jiski wajah say aj angrez power main anay kay bad apna
badla lay rahay hain.islam zinda hota hai har karbala kay
bad main is bat ko bhi nahin manta kyionkay yazeed waris tha
or tamam logoon nay uski beet ki thi phir ap kis liay unsay ladrnay gaye srif un chand logoon kay kehnay pay jinhon nay apkay walid kay sath
sari zindgi dhoka keyia ap kesay unpay yakeen kar saktay thay.or aik chez meray kheyial main islam danday kay zoor pay phela hai or dunyia ka
sab say sakhit rilegion hai.
Posted 22 Oct 2006

Barsaat says
oh mujhe pata hi nahin

nikama said:


YIN
his/her replies have really disappointed me,typical negative thinking....expressing doubt about the faith of anyone who thinks differently from the popular beleif.it is very unforunate and disgusting


now u have every right to agree or disagree on all three statements,but u dont have any right to ask other person
ap musalman hain
moderators should not allow anyone to express doubts about other's beliefs.



Daikhain Nikamma ... mainay apni post main kaha tha k mujhe kuch ziada ilm nahin hay ...isi liyay mmja ki baton ka jahan tak ilm tha jawab diya...
and mainay yah bi nahin kaha k meri batain drust hain
koi mujhe kabhi bi agar main ISLAM ko lay kar ghalat bolon to tok sakta hay...(agar wo sacha hay to)
yah bat mere faeday ki hogi...

dusri bat k mmja ki baton par mujhe dukh hoa tha..and mainay wohi kaha
Ab aap ki nazar main MMJA apnay khyalat ka izhar kar saktay hain,..
but main nahin ???

and rahi bat muslam honay na honay k baray main pochnay ki to
us say mera maksad yahi tha k agar yah banda muslim nahin hay to
tab main usko tafseel say jawab don us k sawalon k...
is liyay nahin k wo muslim nahin hay to main usko bura bolon etc...

mujhe sab mazhbon k logon ki respect karna ati hay.


and last main yahi bolongi k... islam ko jan.na samajhna koi itna asaan kam nahin hay...
and ALLAH nay jo kiya/ honay diya.. wo kion hoa ?
etc us ko samjhnay k liyay hamari aqal bohat thori hay.

and main jab ALLAH ko daikhay bina us k wajood par yaqeen rakhti hon...
mojzon ko manti hon
to mere nazdeek har dosri bat main logic dhondhna koi itni ahmiyat nahin rakhta.


Posted 23 Nov 2006

mmja says
ap apna openion dayn humnay kab kaha hai kay na dyan par apnay istarahn ka bhi kuch kaha tha kay muhgay apki soch pay ofsos ho raha hai yeh thora ghalt tha lakin chorayn jo ho geyia so ho geyia yeh koi esa masla nahin hai kay is pay bat ho apka apna openion hai mera apna wesay mainay yeh nahin kaha tha kay islam sahi nahin hai mainay just yeh kaha tha kay isko jo loog lay kay chelay unho nay isko kafi nuksan ponchayia hai ap mugh say agree kartay hain ya nahin ap logoon nay samhga shayed main islam kay against koi bat kar raha hon
Posted 24 Nov 2006

mmja says
kiran said:

I think islam boohat acha religion insaan ko mohabbet kerna sikhata hai aur eik allah ko manne ki taleem daita hai ager hum islam ki asli taleem per amal karain to kabhi bhi rah se bhatkain appne pyare rasool ki masal lain to kabhi fasad na karain.


thansk for reply par mughay sika bhi ans chaye kay apkay khyial main jo loog islam ko laykay chelay unsay islam ko fayida huwa ya nuksan meri nazar main unho nay islam ko apnay hisab say chalyia hai nakay islam kay hasab say
Posted 24 Nov 2006

sun_shine says
i think sahaba karaam nay Islam kay liye jo khidmaat
sar anjaam di usi ki waja say aaj duniya main people
are accepting Islam.unho nay hamain sab kuch diya,hukumat say lekar insaani zindagi kay har maslay ka hal hamain bataya.Islam is a practical religion
is may har maslay ka hal hain.
Posted 19 Dec 2006

mmja says
meray khyial main fayiday kay sath sath nuksaan bhi ponchayia hai ohno nay islam ko apnay liay boht use keyia hai
Posted 20 Dec 2006

sun_shine says
mmja jee main apki is baat say bilkul agree nahi karoongi.
i think ghaltiyan hamari hain unki nahi.
Unho nay hamain sab kuch diya per un cheezon ka hum sahi istimal nahi kar sakay.
Posted 20 Dec 2006

mmja says
koi bat nahin je har insaan ka apna nazeryia hota hai
ager ap shorow say chand reply par layn meray to ap ko meri baat sahi tarahn samgh lag jayegi kaymain kyia kehna cha raha hon
Posted 21 Dec 2006

sun_shine says
yaa abhi parh leti hoon.
Posted 21 Dec 2006

mmja says
sun_shine said:

yaa abhi parh leti hoon.


ager par sako to parkay jawab dayna
Posted 23 Dec 2006

sun_shine says
mainay yeh post parh li.
jo baatein SD jee nay kahi main us say 100% agree karti hoon.per yeh aap nay parha kaha hain kay sahaba karaam nay aisa kiya.
islam is the most practical religion.is may har maslay ka hal hain.
main apko aik suggestion doon?
Posted 23 Dec 2006

mmja says
aray pochnay ki kyia bat hai je zaror do or ager us say mera fayiada ho sakta hai to phir to main na bhi karon to do plz
Posted 30 Dec 2006

sun_shine says
aap Peace channel pe ya Qtv per Dr.Zakir Naik ki
debates,shows zaroor dekhiyega.
Posted 30 Dec 2006

mmja says
boht zeeyiada to nahin lakin kuch daykhi hain lakin mughay woh atract nahin keyia woh kehta hai yahan yeh likha huwa hai woh likha huwa hai lakin mera khyial hai usay chaye kay woh kahay quran main yeh likha hwua hai or usko agay rakh kay maslay ka hal batye na kay srif ratay mar kay a jaye
Posted 01 Jan 2007

sun_shine says
i think woh Koran paak ka hawala dekar uss maslay ka hal nikaltay hain.aap ne shayad pori debate nahi suni ya dekhi hogi.
Posted 03 Jan 2007

mmja says
aray pori suni hai woh srif hawala dayta hain proper hal nahin batatay apni soch kay hisab say ho sakta hai main ghalit hon ya shayed main nay ghor say na suna ho
Posted 03 Jan 2007

sun_shine says
aap ek baar zaroor sunay aapko bhi yakeen aa jayega.
Posted 16 Jan 2007

mmja says
yehi to pro hai je mainay to aik bar say zeyiada dafa suna huwa hai unhay
Posted 19 Jan 2007

sun_shine says
per aap ne ghor nahi kiya hoga.i think woh mojuda daur kay sab say baray scholor hain.
Posted 19 Jan 2007

salaam sun_shine ...

Allah jis ko jitni hidayat dyta hay utna hi woh acha dikhta aur kehta hay ....

Elam / knowldge.... yeh sab Allah ki di howi naymat hay.

Aur Allah nay is say apny kafi logoun ko fayzyaab kiya hay.

there are a lot of best Muslim scholar aur Ba-Amal Musalman hein .


thanks for ur suggestion
Posted 20 Jan 2007

sun_shine says
thanks yehi baat to main mmja jee ko samjhanay ki koshish kar rahi hoon.
Posted 21 Jan 2007

chalein is tarhan mein nay aap ki help kar di ... :)
Posted 21 Jan 2007

sun_shine says
Thanks
Posted 22 Jan 2007

mmja says
me nay bhi thanks kehna hai
ok je wesay ghor say suna tha lakin apkay kehnay pay dobara ghor say suno ga shayed kuch samgh a jaye hope for best
Posted 23 Jan 2007

sun_shine says
inshAllah
Posted 24 Jan 2007

mmja says
exams ho jaey phir apkay mashwaray pay amal karayngay
Posted 25 Jan 2007

sun_shine says
acha aapkay exams hain.good luck
Posted 25 Jan 2007

mmja says
thansk je ab to khatum ho gayew or result bhi ana shoro ho geyia hai je
Posted 28 Jan 2007

sun_shine says
aapka result out ho jaye to hamain zaroor bataeya ga.
Posted 06 Feb 2007

mmja says
68% aye hain maza nahin ayia 2 subject kay number achay nahin aye
Posted 12 Feb 2007

sun_shine says
Congratulations,68% bhi buhat achay marks hain.
Posted 14 Feb 2007

Reply to Topic