Logo

mujhko yakeen hain

MUJHKO YAKEEN HAIN.....
MUJHKO YAKEEN HAIN SACH KEHTI THEE JO BHI AMI KEHTI THI
JAB MERE BACHPAN KAY DIN THAY CHAND PE PARIYAN REHTI THI

AIK YEH DIN JAB APNO NE BHI HUM SAY NAATA TOD LIYA
AIK WO DIN JAB PAER KI SHAAKAIN BOJH HAMARA SEHTI THI

AIK YEH DIN JAB SARI SARKAIN ROOTHI ROOTHI LAGTI HAIN
AIK WOH DIN JAB,AAO KHAILAIN SARI GALIYAN KEHTI THI

AIK YEH DIN JAB JAAGI RAATEIN DEEWARON KO TAKTI HAIN
AIK WO DIN JAB SHAMO KI BHI PALKAIN BOJHAL REHTI THI

AIK YEH DIN JAB ZEHEN MAIN SARI AYARI KI BAATEIN HAIN
AIK WO DIN JAB DIL MAIN SIRF MASOOM BATEIN REHTI THI

AIK YEH DIN JAB LAAKHON GHUM,AUR KAAL PARA HAIN AANSO KA
AIK WO DIN JAB ZARA SI BAAT PE NADIYAN BEHTI THI

AIK YEH DIN JIS GHAR MAIN MERA SAAZ-O-SAMAN REHTA HAIN
AIK WO GHAR JIS GHAR MAIN MERI BOORHI NAANI REHTI THI
                                                    (JAVED AKHTER)

Posted on 11/23/2006 8:49:54 AM

zabardast je boht hi achi hai
yeh javed akhter lyrics walay hain ya koi or hain

Posted on 11/24/2006 1:06:30 AM


Posted on 11/24/2006 3:23:12 AM

yeh wohi hain laikin ghazal main lyrics kuch alag gaye hain.

Posted on 11/24/2006 8:57:34 AM

wesay yeh bhi kamal kay insaan hain boht variety hai inkay kam main

Posted on 11/27/2006 1:30:37 AM


Bohat Khobsorat.


Posted on 11/27/2006 8:28:07 AM

thanks
yaa mujhay aisi poetry buhat pasand aati hain.

Posted on 11/27/2006 9:09:36 AM

wesay porani poetry uper say hi guzar jati thi ghalib,ilama iqbal inki poetry am insaan kay bus ki bat nahinthi

Posted on 11/28/2006 1:32:19 AM

unki poetry main alfaaz farsi ya phir difficult urdu kay hotay hain isliye.aur aaj kal difficult urdu shayad sirf hamari urdu teacher ko aati hain.

Posted on 11/28/2006 8:59:43 AM

yeh to hai wesay mainay mirza ghalib daykhi hai us main boht hi kamal ki poetry gaye hai jagjeet singh nay or hai bhi bhot zabardast

Posted on 11/29/2006 12:47:38 AM

yaa jagjeet singh ki ghazlain buhat achi hoti hain.

Posted on 11/29/2006 8:33:16 AM

shukar hai koi unko bhi pasend karnay wala mila nahin to jsiay daykho ajkal kay ganday manday singers ka fan hai

Posted on 11/30/2006 12:16:49 AM

wow SS perfect

Posted on 11/30/2006 12:50:59 AM

thanks veer zaara jee

Posted on 11/30/2006 8:36:45 AM

i think Jagjeet singh kaafi logo ko pasand hain.

Posted on 11/30/2006 8:38:59 AM

hum meray bhai ko to boht pasend hai wesay jab relax honay ko dil karay to ghazlayn achi rehti hain

Posted on 12/1/2006 1:28:24 AM

yaa
jab mera relax honay ka dil karta hain to ghazlain sunnay ki nobat aanay se pehlay hi neend ghalib ho jaati hain.

Posted on 12/1/2006 8:58:34 AM

aray yeh nend cheez hi esi hai jab nahin ana chaye a jati hai or jab ana chaye tab ati nahin hai gandi kahin ki

Main Aur Mery Tanhaai...

Kab se udaas hain Main aur mery tanhaai,
Aaj phir tery yaad mein roye hain Main Aur mery tanhaai,

Kuch baatain,kuch yaadain,kuch pal bikhar gaye jo har su,
bas unheen ko sameta kartay hain Main aur mery tanhaai..

Bichrhay jo tum se to maloom hua,zindagi teray dam se the,
Ab zindagi dhoonda kartay hain,Main aur mery tanhaai,

meray laboon ki hassy thay tum,dil ki tamna thay...
tery yaad mein takiya bigoya kartay hain Main Aur mery tanhaai,

Dunia to pagal hai yeh kuch bhi kahay gi ghum nahin es ka...Rani
mohabbat kiyun khoya karty hai main aur mery tanhaai

Posted on 12/2/2006 1:38:26 AM

good poetry
konsay poet ki hai?

Posted on 12/2/2006 8:13:56 AM

yeh hamari aik net sis hain unki apni hai

na janay kon duayion main yaad karta hai
main dobta hon samandar uchal dayta hai

har modr pay mil jatay hain humdard hazaron
shayed mere baste main adakar boht hain

Posted on 12/5/2006 2:27:50 PM

yaa achi poetry thi unki.

Posted on 12/6/2006 8:32:37 AM

thanko thanko
ab apki bari hai mainay wah wah karni hai bara dil kar raha hai

Posted on 12/7/2006 12:31:43 AM

mujhay aisa lutf ata kiya,jo na hijr tha na wisal tha
mere mausamo k mizaajda,tujhay mera kitna khayaal tha
kabhi mausamo k saraab main,kabhi baamodar k azaab main
wahan umr mainay guzaar di,jahan saans lena mahaal tha

Posted on 12/7/2006 8:49:02 AM

Wah-Wah
Wah-Wah

Posted on 12/7/2006 10:07:23 AM

a han wah ji wah last line to kamal ki thi

Ek Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai

Ik Teri Yaad Hai

Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai

Ik Umeed Hai Teray Aany Ki

Apna Tujhey Banany Ki

Na Chain Hai Na Sakoon Hai

Yeh Kesa Mera Hall Hai

Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi

Jo Kaatey Nahin Kattin

Na Bhook Hai Na Piyas Hai

Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ik Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!!!

Ek Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai

Ik Teri Yaad Hai

Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai

Ik Umeed Hai Teray Aany Ki

Apna Tujhey Banany Ki

Na Chain Hai Na Sakoon Hai

Yeh Kesa Mera Hall Hai

Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi

Jo Kaatey Nahin Kattin

Na Bhook Hai Na Piyas Hai

Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ik Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!!!

Posted on 12/8/2006 1:23:25 AM

wah wah
kamaal kar diya aapki sister ki diary nay.

Posted on 12/9/2006 2:28:38 PM

lo kalro gal main khamkha khush ho raha tha tarif to sis ki ho gaye jayio main nahin khaylta

youn bhe hum dor dor thay youn bhe senon main kadorat the
tumnay rasmen bhula deyia warna is takalif ke kyia zarorat the

kuch loog sharamsar najanay kyion huway
apnay sawa humayn kisi say gila na tha

Posted on 12/10/2006 1:15:15 AM

to sister bhi to aapki hi hai na.
waisay unki diary ki poetry buhat achi hoti hain.

Posted on 12/10/2006 7:26:39 AM

Yes agreed with SS

Posted on 12/10/2006 6:35:39 PM

han han unki achi hoti hain mera koi kamal nahin jo ap logoon kay liay pori diary main say chun chun kay achay sheer selct karta hon
wesay unki tarif say thanko ap dono ko


rakhtay hain jo oron kay liay pyiar ka jazba
woh loog kabhe toot kay bikhra nahin kartay

gheron say kaha tumnay gheron say suna tumnay
kuch hum say kaha hota kuch hum say suna hota

Posted on 12/11/2006 1:25:43 AM

wah wah jee

Posted on 12/11/2006 8:22:57 AM