zAm’s Corner !

2781 views 82 replies
Reply to Topic
ZaM

Age: 123
Total Posts: 591
Points: 0

Location:
United Arab Emirates, United Arab Emirates
Any1 can put his/her own or favourite poetry .......
Posted 18 Feb 2007

ZaM says
Aur Kya Ehed-E-Wafaa Hote Hain
Log Milte Hain Judaa Hote Hain

Kab Bichhad Jaaye Hamsafar Hi To Hain
Kab Badal Jaaye Ek Nazar Hi To Hai
Jaan-O-Dil Jispe Fida Hote Hain
Aur Kya Ehed-E-Wafaa...

Baat Nikli Thi Is Zamaane Ki
Jisko Aadat Hai Bhool Jaane Ki
Aap Kyon Humse Khafaa Hote Hain
Aur Kya Ehed-E-Wafaa...

Jab Rula Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Jab Sataa Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Tab Kahin Khush Woh Zaraa Hote Hain
Aur Kya Ehed-E-Wafaa

Posted 14 Mar 2007

kOoLeSt1 says


g work
Posted 14 Mar 2007

ZaM says
thx koolest 1
Posted 17 Mar 2007

ZaM says
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrate
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye
Posted 17 Mar 2007

ZaM says
Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Tum Dunya Ki Shedai Ho,Main Sapnoon Ka Bashinda
Sath Humain Yuhn Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Wehshat K Saaz Pay Raksaan Matam K Kuch Alfaaz
In Hontoon Pay Geet Sajana Kitna Mushkil Hai

Apnay Hontoon Say Ana K Talay Hum Say Na Khol Payen Gain
Dor Hotay Sathi Ko Bholna Mitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
Posted 17 Mar 2007


Very Nice...

Posted 17 Mar 2007

ZaM says
Thanx Rehan
Posted 20 Mar 2007

ZaM says
Ek shakhs pass reh ker bhi samjha nahin mujhe...

Is baat ka malaal hai shikwa nahin mujhe...

Main usko bewafai ka ilzaam kese doon...

Usne to ibtada se hi chaha nahin mujhe...

Pathar samjh ke paon se thokar laga dia...

Afsoos teri aankh ne parkha nahin mujhe...

Kia kia umeedain baandh ker aya tha saamne...

Usne to aankh bhar ke bhi dekha nahin mujhe....

Kab theharna tha mujhko har waqt uske pass...

Acha hoa ke usne bhi ROKA nahin mujhe !!!!!!
Posted 20 Mar 2007

ZaM says
Bey noor ankhoon main koi khwab tu dy

meri byqarar raaton ka kuch hisaab tu dy

tu khafa hai mujhe sy mager fir bhi ager ho sakye tu merye in sawalon ka jawab tu dy

hum ny jis main likhye thye kuch wady

ager mumkin hai tu meri woh kitab tu dy

dy nahi sakta ager pyaar tu esa ker

GUM dy Zeher dy Ya SHARAB tu dy

Jis main beh jaye merye dil ki duniya

esa koi in ankhon main Selaab tu dy

kabhi tum kaha kerty thye k App achey hain

AB Bura hi sahi Mager koi KHITAB tu dy
Posted 25 Mar 2007

keep it up moazzam
Posted 25 Mar 2007

ZaM says
Thanx QV

Posted 27 Mar 2007

ZaM says
Yeh Zindagi Bari Ajeeb C ,

Kabhi Gulzaar C , Kabhi Bezaar C,

Ksbhi Khushi Hamaare Saath Saath,

Kabhi Ghamon ki Barsaat C,

Kabhi Toofaan Mein B Hain Raaste,

Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi,

Kabhi Do Qadam Pe Zindagi,

Kabhi Saddion tak Intezaar c,

Kabhi har Pal Imtehaan Hai,

Kabhi Bin Maange Inaam Hai,

Kabhi Kuch Nahi, Kabhi Sab Kuch C,

YEH ZINDAGI BARI AJEEB C....
Posted 27 Mar 2007

ZaM says
wo ashk ban k meri chashm e tar mai rehta hy.....................ajeeb shakhs hy pani k ghar mai rehta hy
Posted 27 Mar 2007

kOoLeSt1 says
Posted 27 Mar 2007

ZaM says
Posted 28 Mar 2007

ZaM says
Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Posted 28 Mar 2007

ZaM says
Koi Aisi Hasti Hua kare..

Kare Shikyatein, Jo Gilaa kare
Mujeh Cher ker jo Hansa kare
Mera Gussa dekh ker Khouf se,
Mere aagey pichey phira kare

Koi Aisi Hasti Hua kare..

Kabi Rooth jaoon, to Manaye Wo
Kisi aur se na mila kare
Sirf Mujh ko hi dekh ker Jiya kare
Aur Mare lye hi Mara kare

Koi Aisi Hasti Hua kare..

Meri Chahaton ko samet le
Meri Qurbaton ka Ameen ho
Mujhe paane ki jise aas ho
Mere milne ki jo Duaa kare

Koi Aisi Hasti Hua kare..

Mere Hansne Rone mai saath ho
Mere Marne, jeene mai saath ho
Wo pal do pal k lye na ho
Wo her Ghari saath Mere raha kare

Koi Aisi Hasti Hua kare..

Rahoon Qareeb us ki Yaadon mai
Mera Naam Wird-e-Zubaan kare
Kabi Mere Dil ki Dharkaein,
Wo apne Dil mai suna kare

Koi Aisi Hasti Hua kare..

Kabi Sardiyon ki Raaton mai
Rakhe Sar Mera apne Haathon mai
apni Ungliyan Mere Baalon mai
Wo Dheere Dheere Phera kare

Koi Aisi Hasti Hua kare..

Kabi Garmiyon ki Shaamon mai
Chale Mere saath jo Baaghon mai
Khilte dekhe Phool Bahar k
Wo khood b aise khila kare

Koi Aisi Hasti Hua kare..

Kabi Baarishon kay moosam mai
jo thandi hawa chala karay
woh muj ko cofee bana kay diya karay

mai jo kabhi hansa karo muj ko hi
ankh bhar taka karay

Kash Koi Aisi Hasti Hua kare..
Posted 03 Apr 2007

kOoLeSt1 says
Posted 03 Apr 2007

ZaM says
Posted 04 Apr 2007

ZaM says
mai aiyna tha,
vo maira khayal rakhti thi,
mai toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi,
har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,
zaheen thi,
mujhay hairat mai daal rakhti thi,
mai jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,
vo rokti thi mujhay,
kal pay taal rakhti thi,
bas aik vo thi jisay ghaow mai dikhata tha,
bas aik vo thi keh jo andmal rakhti thi,
vo mairay dard ko chunnti thi apni pooron sai,
vo mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi,
vo dobnay nahi daiti thi dukh k darya mai,
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi,
duain us ki balaon ko rook laiti thin,
vo mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi,
ik aisi dhun k nahi phir kabhi mai nai suni,
vo munfarid se hansi mai kamal rakhti thi…
Posted 04 Apr 2007

valandrian says
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592bd32592
bd32592
Posted 06 May 2018

Posted 22 Sep 2018

Reply to Topic
Copyright ©2024 Janubaba.com - All Rights Reserved.- .049