zAm’s Corner !

2800 views 82 replies
Reply to Topic
ZaM

Age: 123
Total Posts: 591
Points: 0

Location:
United Arab Emirates, United Arab Emirates
Any1 can put his/her own or favourite poetry .......
Posted 18 Feb 2007

ZaM says
Insaanoo ki is basti main
Kuch aise log bhi bastey hain
Jo gham sehtey hain dunya k
Jo chupkey chupkey hastey hain

Insaano ki is basti main
Rehtey hain kuch maseeha bhi
Jo kartey bass maseehae
Chhup chhup kar wo rehtey hain

Insaano ki is basti main
Bastey hain kuch sanam aise
Jo apni hi is pooja se
Kuch kuch dartey rehtey hain

Insaano ki is basti main
Bastey hain kuch farishtey bhi
Jab ghalti ka imkaan nahi
to na janey kion darte hain?

Insaano ki si basti main
Kuch log baney hain shedai
Jo hulye se hain dewaney
Par baat feham ki kartey hain
Posted 24 Feb 2007

ZaM says
Mujhay bhi khaak,Tujhay bhi hawa to hona tha...
Mujhay bhi khaak,Tujhay bhi hawa to hona tha
Kay rang-o-boo ko kahein per judaa to hona tha
Parastishein jo barhein , faasalay to barhnay thay
Kay bandagi mein kisi ko khuda to hona tha
Millay thay shaam-e-safar mein to phir ba-waqt-e-faraaq
Tujhay hawaa , mujhay aakhir charaagh hona tha
Posted 25 Feb 2007

ZaM says
Suno!!
Aisa nahi karna,
Mey pehley hi Akela hoon,
Mujhe aur Tanha nahi karna

Meri in Jheel Aankhon ko,
Kabi Sehra nahi karna,
Judai b jo aajaye,
To Dil chota nahi karna

Boht Masroof hoon Jana!!
Mujhe Socha nahi karna,
Bharosa b Zururi hai,
Magar sab ka nahi karna

Muqaddar phir Muqaddar hai,
Koi Da“awa nahi karna,

Meri Takmeel Tum se hai,
Mujhe Adhura nahi karna,
Jo likha hai wohi hoga,
kabi shikwa nahi karna...

Suno!!!
Aisa nai krna....
[/red]
Posted 26 Feb 2007

ZaM says
Thanx for appreciation jani !
Posted 26 Feb 2007

ZaM says
Jaan se piyare logon se bhi kuch kuch parde lazim hein

Sari baat batane wale kuch kuch pagal hote hein

Khuwabon main bhi anmol milan k sapne dekhte rehte hein

Neendon main muskane wale kuch kuch pagal hote hein

Is jhooti nagri main ham ne yehi hamesha dekha he

Sachi baat batane wale kuch kuch pagal hote hein

Piyar jinhein hojajye un ko chen bhala kab mil pata he

Shab bhar ashk bahane wale kuch kuch pagal hoteh ein

Apni zat k ujre gulshan se wo piyar kahan karte hein

Ouron ko mehkane wale kuch kuch pagal hote hein

Us k ishq main bheeg k ham ko ye ehsas hoa

Dil ki baat main aane wale kuch kuch pagal hote hein
Posted 26 Feb 2007

kOoLeSt1 says
NICE
Posted 26 Feb 2007

ZaM says
thanx ...i think u r the only one who comes to read

definately i'll put here some worth reading poetry for u
Posted 01 Mar 2007

ZaM says
Apne ehsas say cho ker mujhay sandal ker do,
Main kay sadiyoon say adhoora ho mukamal ker do,
Na tumhe hosh rahe na mujhe hosh rahe,
Is qadar toot ker chaho pagal ker do,
Dhoop hi dhoop hoon toot ker barsoo mujh per
Itna barso k meri ruh per jal thal kar do.
tum chupa lo mera dil aut mai apni dil ke
Aur mujhe meri nigahoon se ojhal ker do,
Tum apne gham se kaho k her waqt mere seth rahe ,
Ik ehsan karo our phir musalsal ker do
Posted 01 Mar 2007

ZaM says
thanx .....
Posted 01 Mar 2007

ZaM says
Tab yaad bohat tum atey ho

jab koi zikr ho judai ka
ya kisi ki bewafai ka
ya mousum ek dum badley
koi awara badal achanak barsey
koi miley ya phir bichrey
jab koi huns k boley
pyar jatay jhot boley
Tab yaad bohat tum atey ho
jab sans ki door kahin totey
jab koi kisi ko tanha chorey
dil kisi ka totey
koi beech manjdhar tanha jab kisi ko chorey
jab koi naao kisi ki dobey
jab aas kisi ki totey
han such
Tab yaad bohat tum atey ho
Tab yaad bohat tum atey ho
Posted 01 Mar 2007

ZaM says
Posted 03 Mar 2007

ZaM says
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo

Tum Jahan Pay Baith K Jaati Hoo

Jis Cheez Ko Haath Lagatay Ho
Main Waheen Pay Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Jis Say Hans K Milti Hoo


Main Us Ko Dost Banata Hoon
Tum Jis Rastay Par Chalti Hoo
Main Us Say aata Jaata Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Tum Jin Ko Daikhti Rehti Hoo
Woh Khaab..... Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Jhulnay K
Main Kitnay Bahanay Rakhta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Tum Jahan Bhi Baith K Jaati Hoo
Jis Cheez Ko Haath Lagati Hoo
Main Waheen Pay Baitha Rehta Hoon
Us Jagha Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Hoo


Kuch Khaab Saja Kar Aankhoon Main
Palkoon Say Mootti Chunta Hoon
Koi Lams Agar Choo Jaata Hai
Main Pehroon Us Ko Soochta Hoon
Main.. Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum.. Kaisi Mohabbat Karti Hoo
Posted 03 Mar 2007

cutefriend says
gud work mojoo

Posted 03 Mar 2007

ZaM says
thanx
Posted 03 Mar 2007

ZaM says
wo khwab tha bikhar gaya,
khaiyal tha mila nahi,

es dil ko janay kia ,
kun bujh gaya pata nahi,

wo sath tha to,
manzelain nazar nazar charagh thein,

kadam kadam safer main tha,
ab lab pay koi dua nahi,

her aik din udas sa,
tamam shab udasiyan,

kisi se kia bichar gaey,
k jasay kuch bacha nahi,

hum apnay es mizaj main,
kisi k b na ho sakay,

kisi ko hum milay nahi,
kisi se dil mila nahi,

wo khwab tha bikhar gaya,
khaiyal tha mila nahi,
Posted 03 Mar 2007

ZaM says
Posted 06 Mar 2007

ZaM says
hijar main khoon rulatey ho kahan hotey ho
lout k kion nahi atey kahan hotey ho

sard raaton main kaise tumhain bhula sakta hon
aag si dil main lagatey ho kahan hotey ho

sheher k loog bhi yehi sawal kartey hain!
ab bohat kam nazar atey ho kahan hotey ho
Posted 06 Mar 2007

ZaM says
Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee

Woh meri shakl mera nam bhulanay wali
Apni tasver say kia ankh milatee ho gee

Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee

Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama
Apni palkon pay kaee khwab sulatee ho gee

Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb Muharam ki tarhan Eid manatee ho gee

Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee

Meri tareek zamanoo say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee

Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee
Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee...!!!
Posted 09 Mar 2007

ZaM says
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay

Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay

Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhay

Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja
Mai Maanti Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay

Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay

Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhay
Posted 09 Mar 2007

ZaM says
Kisi se Baat karna , Bolna acha nahi lagta
Tujhe Dekha hai jab se , Doosra acha nahi lagta

Teri ankhon main jab se maine apna aks Dekha Hai
mere chahre ko koi aina acha nahi lagta…

Tere Baare main Din Bhar sochta Rehta Hoon main lekin
Tere Baare main sab se Poochna acha nahi lagta

Yahan Mohabbat karne wale Barbaad Rehte hain…
yeh Darya Hai issey kacha Gharra acha nahi lagta

MAIN ab chahat ki us Manzil per aan Punhcha Hoon,
Teri Jaanib kisi ka Dekhna acha nahi lagta…
Posted 09 Mar 2007

kOoLeSt1 says
wahhhhh
Posted 09 Mar 2007

good ones!
Posted 09 Mar 2007

nice poetry all moazam
Posted 09 Mar 2007

awww sad poetry
Posted 10 Mar 2007

ZaM says
Thanx QV

and SRK yaar
i just paste the poetry which attracts me

hope u wud have like that
Posted 11 Mar 2007

ZaM says
Gulshan ki baharoon main,
Rangeen nazaroon main,
jab tum mujhey dhoondo gay,
aankhon main nami hogi,
mehsoos tumhein har dum,
phir meri kami hogi......

aakash pay jab taaray,
sangeet sunaye gay,
beetay huvay lamhoon ko,
aankhon main sajayein gay,
tanhaye kay sholoon say,
jab aaag lagi hogi
mehsoos tumehin har dum
phir meri kami hogi,

sawan ki ghataon ka
jab shoor suno gay tum,
bikhray huvay maazi kay
avraaq chuno gay tum
mahool kay chehray par
jab dhool jami hogi
mehsoos tumhein har dum
phir meri kami hogi

jab naam mera loo gay
tum kaanp rahay ho gay
aanso bharay daaman say
munh dhaanp rahey ho gay
rangeen ghataon ki
jab shaaam ghani hogi
mehsoos tumhein har dum
phir meri kami hogi...!!!
Posted 11 Mar 2007

ZaM says
tum rooth jao mujh say

aisa kabhi na karna

main ek nazar ko tarsoon

aisa kabhi na karna

main poch poch haroon

so so sawal kar kay

tum kuch jawab na do

aisa kabhi na karna

mujh say he mil kay hasna

mujh say he mil kay rona

mujh say bichar kay jee lo

aisa kabhi na karna

tum chand ban kay rehna

main dekhta rahoon ga

kisi roz tum na nikloo

aisa kabhi na karna

tum chalay jao jab bhi

to dekhoon tumhara rasta

tum lot kay na aoo

aisa kabhi na karna
Posted 11 Mar 2007

good ones
Posted 11 Mar 2007

kOoLeSt1 says
nice
Posted 12 Mar 2007

ZaM says
thanx ya'll
for yr appreciation
Posted 14 Mar 2007

Reply to Topic
Copyright ©2024 Janubaba.com - All Rights Reserved.- .015