~ Poet of the Month ~ (May 2007)

4922 views 89 replies
Reply to Topic
new_beau

Age: 123
Total Posts: 10168
Points: 0

Location:
United Arab Emirates, United Arab Emirates
Dear Members.

Salam & Khush Aamdeed

Poetry Section mainn yeh aik naya silsila shuru kiya ja raha hay. Umeed hay aap ko pasand aaye ga. Her maheenay aik Poet ki Poetry is stopic mainn post kerainn. Aap poetry per comments bhi ker saktay hainn..Aur yeh bhi bata saktay hainn keh agar yeh ghazal ya shair aap nay kaha hota tou kaisay kehtay.

~ Poet of the Month - May 2007 ~


~ Bashir Bader ~
Posted 04 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 17 May 2007

new_beau says
Asman se Tapki said:

Wo jesay sardiyon may garam kapray day faqeeron ko
labon pe muskurahat thi magar kesi haqarat se

meri ankhon meray honton pe ye kesi tamazat ha
kabootar k paron se reshmi uljhee hararat se



Very Very Good One...I never read it before

wafakadard said:



Yeh Bashir Bader ki hay..pehlay kabhi nahin perhi mainn nay
Posted 19 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 19 May 2007

~CHANDNI~ says
ankhon se meri is liye lali nahin jati
yadon se koi raat jo khali nahin jati

abb umer na mousam na wo rastay k wo loutay
is dil ki magar kham khayali nahin jati

magar tu agar jaan bhi hans k tujhe dedoon
teri to koi bat bhi tali nahin jati

aye koi akar ye teray dard sambhalay
hum se to ye jageer sambhali nahin jati


maloom hamain bhi hain teray buhat say kisay
ye bat teri hum se uchali nahin jati

humrah teray phool jo khilati thee jo dil main
abb sham wo dard se khali nahin jati


hum jaab se jain gay tabhi bat banay gi
tum se to koi rah nikali nahinjati


Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha

Zamaane bhar se mera koi waasta na raha


Bohat gehre marasim the Doston se mere

Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha


Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke

Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha


Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere

Koi hudood phir koi zaabta na raha


Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili

Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha
Posted 19 May 2007

~CHANDNI~ says
.MEIN NE DEKHA THA UN DINO MEIN USAY ,
JAB WO KHELTE GULAB JESA THA,US KI PALKON SE NEIND

CHANTI TI,US KA LAHJA SHARAB JESA THA
,US KI ZULFON SE BIGTI THI GHATA US KA RUKH MEHTAB

JESA THA,LOAG PARHTE THAY KHAL O KHAD US K
,WO ADAB KI KITAB JESA THA,BOLTA THA ZUBAN KHUSBU KI

LOAG SUNTE THAY DHARKANO MEIN USAY,
MEIN NE DEKHA THA UN DINO MEIN USAY,SARI ANKHAIN THI

AINAY US K,SARE CHEHRON MEIN INTEHAB THA WO
,SUB SE SE GULMIL K AJNABI REHNA AIK DIRIA

NUMA SERAAB THA WO,KHAWAB YEH HAI K WO HAQEET THA
,YEH HAQEEQAT HAI KOE KHAWAB THA

WO,DIL KI DHARTI PE ASMAN KI TARAH SURATE SAYA O SEHAB HAI WO,
APNI NEINDAIN USI KI NAZAR HOEN MEIN

NE PAYA THA RATJAGON MEIN USAY,MEIN NE DEKHA THA UN DINO MEIN USAY,
YEH MAGAR DAIR KI KAHANI

HAI , YEH MAGAR DUR KA FASANA HAI ,
US K MERE MILAP MEIN HAEL ,AB TO SADIAON BARA ZAMANA ,AB

TO YEH HAI K HAAL APNA BI DASHTE HIJRA KI SHAM JESA HAI,
KAI HABAR IN DINO WO KESA HAI KIA HABAR

IN DINO WO KESA HAI, MEIN NE DEKHA THA UN DINO MEIN USAY,
JAB WO KHELTE GULAB JESA THA,.
.
Posted 19 May 2007

~CHANDNI~ says
..Bohot kuch badal jata hay, Tere aanay kay baad...
Bohot kuch bichhar jata hay, Tere janay kay baad...

Woh samandar ki leherain, Woh rait kay mehal
Bohot kuch beh jata hay, Saahil say takra janay kay baad...

Woh baarish kay moti, Woh taaron ki khuahish
Bohot kuch bikhar jata hay, Khuwaab toot jaanay kay baad...
..
Posted 19 May 2007

kabhii to aasmaa.N se chaa.nd utare jaam ho jaaye
tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye


hamaaraa dil savere kaa sunaharaa jaam ho jaaye
charaaGo.n kii tarah aa.Nkhe.n jale.n jab shaam ho jaaye


ajab haalaat the yuu.N dil kaa saudaa ho gayaa aakhir
mohabaat kii havelii jis tarah niilaam ho jaaye


sama.ndar ke safar me.n is tarah aavaaz do hamako
havaaye.N tez ho.n aur kashtiyo.n me.n shaam ho jaaye


mai.n Khud bhii ehatiyaatan us galii se kam guzarataa huu.N,
ko_ii maasuum kyo.n mere liye badanaam ho jaaye


mujhe maaluum hai us kaa Thikaana phir kahaa.N hogaa
pari.ndaa aasmaa.N chhuune me.n jab naaqaam ho jaaye

Posted 22 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 22 May 2007

new_beau says
Good Efforts....Thanks Chandni, QV & SRK.....Keep Posting....
Posted 25 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 25 May 2007

~CHANDNI~ says
Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain
agar har baato par uski naam lete hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike inthzaar karne mein samay nahin dykte
agar vuski aane par dil jhoom uttha hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike dhoor jane ke baadh unki yaad satati hain
agar sab ke saat rehte huye bhi akele mehsoos kartein hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
mane bhi kissi se pyar kiya tah..

khud mein khud baatein karna
har pyarisi gaane par sirf hum donoka nazar aana
agar ise pyar kehte hain toh haan
Maine bhi kissi se pyar kiyahaah...

agar uski dil mein pyar ki koyi jaga nahin
phir bhi uski pyar ki intzaar karna
agar ise pyar kehte hain to haan
Maine bhi kissi se pyar kiya tha....
Posted 25 May 2007

Mohabaat Se Inayat Se Wafa Se Chot Lagati Hai
Bhikarata Phool Hun Mujhko Hava Se Chot Lagati Hai

Mein Shabnam Ki Zabaan Se, Phool Ki Awaaz Sunata Hun
Ajeeb ehsaas Hai Apani Sadaa Se Chot Lagati Hai

Meri Ankhon Mein Ansoo Ki Tarah Ek Raat Aa Jao
Takalluf Se Banavat Se Adaa Se Chot Lagati Hai

Tujhe Khud Apanii Majaboori Ka Andazaa Nahin Shayaad
Na Kar Ahed-e-wafa Ahed-e-wafa se Chot Lagati Hai
Posted 25 May 2007

Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna
Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna
Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna
Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna
Posted 25 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 26 May 2007

new_beau says
~CHANDNI~ said:

ankhon se meri is liye lali nahin jati
yadon se koi raat jo khali nahin jati

abb umer na mousam na wo rastay k wo loutay
is dil ki magar kham khayali nahin jati

magar tu agar jaan bhi hans k tujhe dedoon
teri to koi bat bhi tali nahin jati

aye koi akar ye teray dard sambhalay
hum se to ye jageer sambhali nahin jati


maloom hamain bhi hain teray buhat say kisay
ye bat teri hum se uchali nahin jati

humrah teray phool jo khilati thee jo dil main
abb sham wo dard se khali nahin jati


hum jaab se jain gay tabhi bat banay gi
tum se to koi rah nikali nahinjati


Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha

Zamaane bhar se mera koi waasta na raha


Bohat gehre marasim the Doston se mere

Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha


Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke

Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha


Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere

Koi hudood phir koi zaabta na raha


Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili

Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha



O hello..yeh Wasi Shah kahan say aa gaya
Posted 26 May 2007

~CHANDNI~ says
app ki nahi achi lagy
Posted 26 May 2007

~CHANDNI~ says

Who bat sach agar hain Jo farma rahe hai aap,
Yun bar bar meri kasam kha rahe hain aap
!

Be soche samjhe aap ko apana samajh liya,
Pachhtana mujhko chahiye pachhta rahe hai aap !


Kya cheez hai fareb koi seekhe aap se,
Kasti meri bhanwar me hai chakra rahe hai aap !


Kahte the ham karenge mukabil ka Samna,
Rahi na hath me hai to katra rahe hai aap !


Is shahar me hamre Siva koi bhi nahi,
Kanoon kiske bap se banwa rahe hai aap !


Har lahar kah rahi ke bachna muhal hai,
Dariya me doobate hi chale ja rahe hai aap !


Posted 26 May 2007

~CHANDNI~ says
wha about dis   bhiya jeeeeeee
Posted 26 May 2007

chandi bashir badr ki poetry post karni hai
Posted 26 May 2007

chandni it means aap pehlay bhi idher udher ki poetry post ker rahi thi
sirf bashir badar ki kerni thi
Posted 26 May 2007

Posted 27 May 2007

new_beau says
Chalo jee mera khayal hay ab unn ko samajh aa gayee ho gi...ab sirf Bashior Bader ki poetry post kerainn gi chandni jee






Pehlay waali wrong posts ura doon
Posted 27 May 2007

~CHANDNI~ says
ary reallly hmy   nahi pata tha
ok
   no again
Posted 27 May 2007

new_beau says
ok ...now post Basheer Bader
Posted 28 May 2007

~CHANDNI~ says
new_beau said:

ok ...now post Basheer Bader

acha naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
Posted 28 May 2007

kero kero chandani poetry post kero
sirf basheeray ki
Posted 28 May 2007

basheeray
Posted 01 Jun 2007

~CHANDNI~ says
QUEEN VICTORIA said:

kero kero chandani poetry post kero
sirf basheeray ki





   lol     bashira in trouble
Posted 01 Jun 2007

new_beau says
Thanks to all members


Aap sub ki shirkat ka bohat shukriya....Now New Topic
Posted 07 Jun 2007

Reply to Topic