Shaban Ki 14 tareekh baad namaz e maghrib 2 rakat namaz parhein.
her rakat mein Surah Fatiha k bad Surah Hashar Ki akhri 3 Ayat aik aik
martaba aur Surah Ikhlas 3 partaba parhein.
Insha Allah ye namaz maghfarat e gunah k wastay bohat afzal hai.
Shaban ki 14 tarek ko namaz asar se gharoob e aftab hone k waqt
mein bawazo 40 martaba ye kalmat parhain:
"LAHOOL LA WALA QOATA ILLA BILLA IL ALI UL AZEEM"
Allah talaah is k parhne wale k 40 sal k guna maaf farmayain gay
Insha Allah
15 shab ko Surah Baqar ka akhri rukuh(amanan Rasool) se (Kafareen) tak 21
martaba parhna aman aur salamti k lye bohat afzal hai
15 shab ko surah Yaseen 3 martaba parhain:is k 3 faiday hongay
1 Taraqi e rizq.
2 Darazi e umar.
3 Na gahanai afaton se hifazat. Insha Allah.
15 shab ko Surrah Dukhan 7 martaba parhna bohat afzal hai is se 70 dini
aur 70 dunyawi khuwaishein puri hongi Insha Allah.
2 rakat nafal parhain .har rakat mein Surah Fatiha k bad Surah Ikhlas 15 martaba
parhain aur salam k bad 100 martaba Darood Pak parhain Ye rizq mein
izafay k lye bohat afzal hai.
8 rakat namaz parhain 2,2 salam se
har rakat mein Surah fatiha k bad Surah Iklas 10 martaba parhain.
Allah Pak is namaz k parhane wale par farishtey muqarar kar deingay
jo us shaks ko qabar se nijat aur janat mein dakhil hone ki khuskhabri
sunayein gay Insha Allah
14 nafal 7 salam se parhain har rakat mein Surah Fatiha k bad
Surah Kafroon 1 bar Surah Ikhlas 1 bar Surah Falaq 1 bar aur Surah Naas 1 bar parhain
salam k bad Ayat Ul Kursi 1 bar aur phr Surah Baqar ki akhri ayat parhain
Dini aur dunyawi dua ki qabooliat k lye nihayat afzal
dua hai.
Barakah in Rizq : After Maghrib Salaah, read 2 rakaahs of Nafil. Thereafter, read Surah Yasin once, Surah Ikhlaas 21 times & Du'a Nisf Shabaan once. Then, make du'a for Barakah in Rozi and ask Allah Subhanahu wa Ta'ala not to make you dependent on anyone.
Long Life filled with Piety : After Maghrib Salaah, read 2 rakaahs of Nafil. Read Surah Yasin once. Then read Du'a Nisf Shabaan once. Thereafter, make du'a for long life filled with piety and righteousness.
Dua e Nisf Shabasn E Moazam parhain
May Allah (swt) answer your prayers and supplications on this bright, auspicious day.
REMEMBER ME IN UR PRAYERS