Logo

Pyaar k samandar main..

piyaar k samandar main' har utarney waley ko
kashtiyan nahi miltin
door door tak janaan dhoop ki musaafat hai
aur kahin bhi pal bhar ko' dhoop k musaafir par
saaibaan nahi khultey
iss ajab samandar main umar bhar ki riazat k
baad hum ney jana hai
jis tarah fazaaon main urney waley panchi par
bars ha baras main bhi aasman nahi khultey
hijr-e-be-karaan main bhi' bhaid bhaid rehta hai
raazdan nahi miltey
baam-o-dar nahi khultey
har utarney waley ko kashtiyan nahi miltin
aur mil bhi jain to
baadbaan nahi khultey
piyaar k samandar main' bhaid bhaid rehta hai

Posted on 1/17/2009 5:03:55 PM


Posted on 1/17/2009 9:11:29 PM


niceeeee

Posted on 1/18/2009 6:35:16 AM

nce

Posted on 1/19/2009 11:58:04 AM

Waalaikum Assalam

Thnk U ss,mm & koolest

Posted on 1/22/2009 12:58:23 PM