Wht about our duties???

2247 views 86 replies
Reply to Topic
friend_16

Age: 124
Total Posts: 10089
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Salamz everyone .. well before u start reading thiz i have a request .. plz read it carefully with concentration .. .. i had been observing this for few days n still not reached with a conclusion .. the problem is .. being a Muslim (Alhamdolillah) i had being observing mine, my friends n colleagues life.. how do we start our day?? .. especially in holidays?? we go to sleep late at nite n wake up late in the morning.. without listening to music we feel incomplete.. while sitting on the computer its necessary to listen music.. coz music keeps us refresh aur waisay bhee music rooh ki gaza hai!! Where the hell it came from that music rooh ki gaza hai?? Who said that??

We can spent 3 hours watching a movie .. but if our mom comes n asked us to pray which hardly takes 15mins we feel tired .. exhaust.. n we have so many excuses for it!!! If we had our fav singer’s concert n on the other hand we had to attend a naat mehfel or something related to islam or Quran .. we’ll attend concert.. hey mom my fav band is here after so many days .. I have to attend thiz one aur ye mehfilaain wagiara to roooz hee hote hain I’ll attend it some other day.. n that some other day never comes again in our life!! .. we just have to pray five times a day .. that’s the only duty of us … n we don’t care .. we shamelessly says I m busy .. I have to go to college .. my friends r waiting for me .. I m feeling tired .. thus we have thousands of excuses for not praying.. n on the other hand if our fav movie starts we never feels tired or anything .. n also we don’t want anyone to disturb us!!! Wht about NAMAZ?? Wht about QURAN?? We can read nasty books .. watch movies for endless hours .. but wht about our duties??? We r forgetting everything.. we r forgetting our duties.. n I even heard people saying that yaar hamaree tu dua kabool nahi hote .. even I used to say this .. but if we pray to Allah with a belief that HE is there to listen to our every problem .. HE is always there in happiness n sadness then definitely hamaree dua kabool hoo gee.. hum waisay namaz nahi pertay laiken jab koi mushkil atee hai tu regularlay namazain parh rahay hain aur duaan ker rahay hain … wht is this??

We r spending our lifes the way we want .. we have crushes n fav celebraties to follow.. even I saw few people who r crazy about actors .. singers .. etc.. the way they dresses.. they way they walk .. they talk .. n everything .. people crazily follow each n everything .. hey shouldn’t be HAZRAT MUHAMMAD (SALLAH- ALIHAY- WASALM) be the one we should follow??? We know everything about our fav actor .. singer .. his/her bio data.. fav things.. dislikes.. ??? but wht about Hazrat Muhammad who was supposed to be our fav personality… we r moving away from islam .. we should do something to realize our duties .. we should wake up now .. we r the next generation .. so its in our hands whether to forget our duties or follow it!! ..

( I have not written thiz to feel appreciated n also I don’t want to b called dadi ama or stuff like that .. its something which I felt n wanted to share it with my JB family.. hope u’ll understand.)

Regards,
Friend

Posted 23 Jul 2004

rao_buddy says
well i can try my best its promise sister tum bhi promise karo
Posted 29 Jul 2004

friend_16 says
yea sure brother .. i'll my best to perform my duties...
Posted 29 Jul 2004

rao_buddy says
tha nk sis mujhe yaqeen ah app aisa hi karo ge
main bhi try kar raah hoon
other mem?
Posted 02 Aug 2004

friend_16 says
other members abhee taak soo rahay hein .. lets see wo kaab jagtay hein ..
Posted 03 Aug 2004

Ashii says
trying aswell,,
let seee kya hota hai





abay ninu i hai par so thori rahi hu
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
well yaar kuch duties aisee hee hote hein jo hamain kernee pertee hein .. zarori hote hein ..
Posted 03 Aug 2004

rao_buddy says
aur kuch kam aisa hotta hain jin ka lia insan ko bohat kuch khonna parta ha
friend yar statr something new jo hum members ko apni duties poori karna ka way batyeeee
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
yea rao buddy ... kabhee hum nay soocha hai kay hum is dunya main kyun aiy?? .. hum is dunya main aiy hein aur is dunya kay hee hoo ker reh gaiy hein .. kabhee hum ye nahi soochtay kay hamain kabhee idher say jana bhee hai .. hamain lagta hai abhee tu poore zindagee paree hai in kamoon kay liay .. baad main ker lein gay apnee duties.. laiken hamain ye bhee nahi pata kay maybe next min hamain maut aa jaiy .. .. so i have a request for everyone .. apnee duties ko maat bhoolein .. ye maat bholein kay hamain wapis bhee jana hai .. aur wo zindagee hamaisha kay liay hai .. ye tu us kay samnay bohat he choti zindagee hai ..
Posted 03 Aug 2004

rao_buddy says
yar mujhe yaqen ha ka insan kabhi na kabhi iss bat ko man latta ha
han tum sahi kahte ho hum duties aur responsibilkites bhool gaye
ab rah gaya to afsoos sirf modern tahzeeb
afssos hotta ha ab bhi mujhe ka humn kaisa mus hain?
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
ab bhee kuch nahi bigra .. hum chahin tu apnay app ko theek ker saktay hein .. i know .. loog tu boltay hee hein .. kitnay backward hein .. aur itnay modern zamany main bhee itna narrow mind hai .. ye saab batein bohaat common hoo chukeen hein .. aur hum ko acha nahi lagta kay hamaray relatives hamain aisa kahain .. hum un say rabta toor nhai saktay .. dunya say rabta toor nahi saktay .. magar kabhee ye soocha hai kay ye saab ker kay hum Allah say rabta toor rahay hein .. un ko naraz ker rahay hein ... hamain in dunya waloon ki tu bohaat fiqr hai .. magar jis nay hamain is dunya main bhaijha .. jis kay paas hum nay jaana hai .. us ki narazgi ki koi fiqr nahi...?!?
Posted 03 Aug 2004

rao_buddy says
yar mujhe yaqen ha ka insan kabhi na kabhi iss bat ko man latta ha
han tum sahi kahte ho hum duties aur responsibilkites bhool gaye
ab rah gaya to afsoos sirf modern tahzeeb
afssos hotta ha ab bhi mujhe ka humn kaisa mus hain?
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
bhai ji double post ker dee .. meri parhain upar walee .. ^^^^
Posted 03 Aug 2004

rao_buddy says
parh le ha sister
Posted 03 Aug 2004

rao_buddy says
sister hum hain kia
main iss bat se nahi darta ka realtions kaisa hain
sahiod hum se bohat log iss bat ko value nahi datta ka doosra hamra bare main kia sochta hain like me
lakin phir bhi sister hum aik aisa rasta chose karta hain jo short cut hotta ha but hamsaha naqam
i promise u ka inshallah we not but i try my best to take steps to improve myself n my dost
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
yea doost bhee achay honay chahyee .. coz hamaray friends say hee hamara pata chalta hai .. tell me one thing honestly .. agar koi app ka friend namaz parhnay ja raha hoo ga .. tu hardly koi aur friend jaiy ga us kay saath .. laiken agar koi aur friend app ko movie ki offer karay ga .. tu saray hee chalain jain gay .. .. kitnay afsoos ki baat hai .. kay hamain zara sharam nahi aatee .. jis nay paida kia hai .. ghar dia .. family.. friend.. aur unlimited chezain deen hain .. un kay liay hum namaz taak nahi parh saktay .. choti see example hai hamain koi gift day tu hum thnks boltay hein .. aur Allah .. jis nay hamain .. infinite cheezain den hein .. Us ko kabhee sachay dil say thnx bola?? aur thnx bolnay ka best way hai kay hum namaza parhain aur Us ka shuker ada karain ...
Posted 03 Aug 2004

rao_buddy says
u r right
but i still belive ka   nasehat har jagga aml kkartee ha
aik bat main tumhare nahi manoon ga
agar koi dost namz parhna ja raah ha aur koi hum ko kaha to main yaqeen se kah sakta hoon ka 90 per log iss ka sath jayeen ga
yar sirf aik bat hum main achi ha ka hum islam ki bat ki nafe nahi karta and thats great
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
hey rao buddy main nay khud deekha hai .. agar koi masjid namaz parhnay ja raha hai .. aur baqee saab bhaithay movie deekh rahay hein ya gappay laga hein .. tu hardly koi jaiy ga ... koi kahay ga main baad main parh loon ga .. koi kahay ga .. k meri tabiat theek nahi hai .. etc etc.. har jaga tu nahi par yoon bhee hota hai ..

aur aik aur baat humain her kisi ki baat par yakeen nahi kerna chahyee .. kyun kay bohaat say loog aj kal islam kay khilaaf bool rahay hein .. kisi bhee baat par believe kernay say pehlay .. us ka koi written proof .. deekhna zarori hai .. jab kay hum bohat see sune sunanee batein agay paas ker daitay hein jis say bohaat see ghalat batein islaam main include hoo rahee hein..
Posted 03 Aug 2004

SanaSana says
haan siso
ye saree bidatein kehlatee hain...

or mostly ye jhalat ka nateeja hai
kher aisey aisey pergey likhey log bhi is main shamil hain....jin ki soch entehayee.....gher Islami hotee hai...
taleem beshuk shaoor ata kertee hai lekin,,,zarrori nahi ke is sey ensan apni rawish terk ker dey specialy buree rawish.....
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
bidatein??? matlab?

haan ji ur rite sana .. parhnay likhay .. unparh .. kisi ko bhee yaad nahi kay hum yahaan kyun aiy thay .. hamara maqsad kia tha ... saab kay zameer soo gaiy hein .. kisi say baat karoo tu jawab milta hai islam main bohat pabandiaan hein ... bohat mushkil hai islaam .. aisa hargiz nahi hai .. koi samjhna nahi chahta .. tu hum kaisay samjhain..? .. islaam ko mushkil bana dia gia hai .. ?!? .. anngreez aur kafir hum say agay nikl chukay hein .. har maidaan main .. kyun?? kabhee soocha hai ..?!? .. hum nay tu apnee duties hee bhula deen hein .. us ka shuker ada kerna hee chhor dia hai jis nay ye saab kuch dia hai .. tu hum har jaga jeetnay ki umeed kyun kertay hein ..??
Posted 03 Aug 2004

SanaSana says
bidatein??? matlab?




means ke wo batein jin ka Islam se dour dour tuk koi wasta nahi hai
lekin logo ne apni janib se wo sarey abtein bana lee hain like:
mehndi..mayon etc etc
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
aray haan sana .. bohat say rasam - o -Riwaaj hamaray islam main aisay hee gussa diay hein..
.. laiken us cheez say mana nahi kia jo sadgee say hoo.. jis main fazool kharchi na hoo..

aray sis yahaan koi aik chhez hoo jisay hum rokain .. yahaan tu hazaroon cheezain aisee hain .. kis kis ko rokain..
Posted 03 Aug 2004

Guest_005 says
Posted 03 Aug 2004

friend_16 says
app bhee apnay comments day na RAJA.. wht do u think.. kia hoo raha hai ... kia hona chahyee??
Posted 04 Aug 2004

rao_buddy says
yar jo bhi ho sana and friend
alkin aik bat se app ki bat se main agree nahi karta
yar jo bhi ho lakin ajj bhi hum itna gaye guzra nahi hain ka koi hum speciall prayer ka lia call kara aur hum na ajyen
yar ajj bhi agar koi dost ki mehfil main hum batahna hain to believe me hare koi is ski izat karta ha jo acha kam karta ha
yar jahan tak meri bat ha to main bohat boorra hoon but main itna boora nhai ka koi dost mujhe namaz ka lia kaha aur main na jaoon mera khyal main aisoon ki tadat bohat kam ha jo kisse ka kahna par masjid na ajyen
i belive it and also have experaine
Posted 04 Aug 2004

Guest_005 says
KKai ho raha hai
Posted 04 Aug 2004

rao_buddy says
samjho zara
Posted 05 Aug 2004

friend_16 says
ok chalein app nay tu apna experience hee bata dia .. laiken is dunya main her insaan different hai us ki thinking different hai ... her koi apnee marzee ka malik hai .. jis ka jo dil kerta hai wo wohee kerta hai .. haan doosroon kay mashwaraye hum zaroor laitay hein par in the end apnee hee kertay hein..

aur jaisa main nay pehlay kaha kay agar hum apnay friends ki marzee na manain ... to hamain backward kaha jata hai aur pata nahi kia kia.. aisee friendship say tu behtar hai kay hamaray friends hee na hoon..
Posted 05 Aug 2004

Guest_005 says
Posted 06 Aug 2004

rao_buddy says
f16 u r right
but belive me although we r very bad
lakin aik mazhab aisa mamala ha jis par ya ppoori qom ikaathe ho sakte ha belive me
thats only way we collect our parts of body
Posted 08 Aug 2004

rao_buddy says
agar yaqen nahi atat to azma kar dekh loo
aik sal ki gurante ka sathhhhhh ha
Posted 11 Aug 2004

Reply to Topic