Logo

.. Sunnah, Farz, Life ..

okkk...
here i am with a new topic,, may b kuch logon ko title sahi se samajh na aaya ho,,, but see here s my point

* Faraiz woh jo Allah ka ahkaam hai aur k kissi halat mei chorna maaf nahi hai
* Sunnah, Nabi Paak ki zindagi (in simple words)... according to my knowledge,, Khuda k diye hue ehkaam ko poora karne ka behtreen tareeka
Life,,, or i shd say our lifestyle


wot i ve noticed is hum log aksar Sunnah ko Faraiz se zyada ehmiyat dete hein,,, like roze chahe rakhein na rakhein,, par aftaar khujoor se hi karna hai aur pani 3 ghoont mei hi peena hai,,,
meri apni family mei kuch aise log hein jo k aik muslim firke ka (i wont name it) yeh keh k mazak urate hein k woh log saare din ki namaz aik wakt kazaa kar k parhte hein.. me yeh nahi kehti k aisa karna bilkulll theek hai,, but kya uss firke k log unn logon se behtar nahi jo k namaz parhte hi nahi ??????


plzzz koi gussa na ho aur mujhe pagal na samjhe par aisa hai,, Allah ka shukar hai sabb k sab log aise nahi hein but stilll...

i believe that aik muslim k liye Zinagi guzarne ka aur Islam ko follow karne ka sab se behtreen tareeka hai Sunnah pe chalna...
par yahan aik aur masla aata hai,,,,,,,,
lots of ppl believe k woh sab jo sunnah nahi hai Bidah hai....   ummm okk yarr now tell me bidah kya hota hai,, is it something worse than HARAM ???
i guess no...

my question is,,,, agar hum log Sunnah pe chalne ko itna important samajhte hein (jo k mere nazdeek galt nahi hai) to phir just for 5 minutes,,, have a look at our lives

KYA SUNNAH PE CHALNA FARAIZ POORE KARNE SE ZYADA IMPORTANT HAI ???

Posted on 2/13/2005 11:16:57 PM

Assalam o Alaikum,

iss topic main aap nay teen different (in my opinion, maybe i am wrong) topics ko combine kar dya. Let me summarize them.

1-     kuch log faraiz ko sunnah se ziada ehmiyat detey hain, jo kay ghalat hai (khujoor, pani). Yahaan farz aur sunnat ka ada karna under discussion hai. And I think that is the real topic here.
2-     Wo log jo ghalat tareekay say farz ada kartay hain (infact farz tu ada hua hi nahi, consider it) un logoon se behtar hain jo farz ada kartay hi nahi (firke wali baat). Yahaan logoon ka faraiz ada karna, na karna, aur ada karnay ka tareeka under discussion hai.
3-     Kuch Aamal jo sunnat nahi hain, jinhain Bida’at kaha jata hai, aap ka guess hai kay wo HARAAM nahi hain, so they neither these deeds nor their followers should be condemned. Yahaan sunnat aur bida’at under discussion hain. (waisay aap ka guess mere khyal main tu ghalat hai I will explain it latter).

Mere khyal main tu yeh teenon kafi different discussions hain, specially the third one kyunkay baat tu yeh kahi ja rahi thi kay log sunnat ko “intniii” ehmiyat detey hain tu phir baat 180 degree par bida’at tak kaisay chali gae. Meri samajh main nahi aa raha hai main in ko aapas main kaisay relate karoon, so I need your help.

Posted on 2/15/2005 7:35:23 PM

hmmm...

start from n° 3
plzzz lambe lambe copy paste nahi,, mujhe samajh nahi aati phir sahi se

Posted on 2/15/2005 7:43:03 PM

hmm... copy paste , let is get to my knowledge kay main aap kay kisi topic main copy paste kia ho.

3rd point, starting in reverse. Ok. First, answer one question. If someone (a Muslim) commits an EVIL (that is clearly recognized and forbidden), does it present any danger to Islam itself. I mean to say “kia kisi Muslim kay kisi burai main involve honay say Islam ko koi nuksaan puhanchta hai? Kia Allah kay Deen main koi kami aa jati hai, ya wo kanoon (jo Muslims ko is EVIL say rokta hai) ghalat ya suspicious ho jata hai?”

Answer that then I will continue.

Posted on 2/15/2005 8:16:10 PM

hmm,,,
aik muslim k invole hone se to nahi par zyada logon k involve hone se nuksan ho sakta hai,,, coz a community reflects its principles
Khuda k deen mei koi kami beshak nahi aae gi,,, par uss sache deen ki image kharab ho jae gi

yehi na

Posted on 2/15/2005 8:29:26 PM

Main nay yeh aik Muslim kay point of view say hi poochi thi, Islam ko koi nuksaan nahi puhanchay ga chahay kuch log karain ya ziada , aur image tab kharab hoga jab kisi ko yeh maloom na ho kay yeh HARAAM kam aik Muslim kay liye HARAAM hai aur wo yeh samajh bethay kay yeh allowed hai Muslims kay liye. Laikin agar maloom ho tu ??

Now lets suppose koi Muslim koi ghalat kaam karta hai aur kehta hai t is right to do that, now it is something that harms aur religion. Bcoz yeh kaam religion main shamil ho jaeyga aur Islam jo tha wo nahi rahay ga. Our Prophet said,
“JIS NAY KISI BID’ATI KI TA’ZEEM KI, US NAY ISLAAM KO DHANAY MAIN USKI MADAD KI”.
Iss say at least 3 batain clear hoti hain.

1- Religion main bida’at ka nikalna Islam ko dhanay kay barabar hai.
2- Bida’at nikalnay wala Islam ko dhanay ki koshish karta hai aur kisi taazeem ka mustahik nahi.
3- Bida’ati ki tazeem karnay wala bida’ati ka helper hai.

Now tell me jis cheez say BAZAT E KHUD Islam ko nuksaan puhanchta hai kay usay islaam ko dhanay kay barabar kha gya hai kia wo HARAAM say ziada buri nahi? waiting for your comments.

Posted on 2/15/2005 8:53:01 PM

hmmmmmmmm...

mera khyal mujhe BIDAH ki jo definition batai gai woh galt hai
sorry for that,,,,
can u first explain it to me

Posted on 2/16/2005 3:09:38 PM