Logo

~KUCH DINO SE~

kuch dinoon say duaoon main asar nahi raha
shayed meri zindagi main sakoon nahi raha...
meri qismat main shayed muskarana nahi raha
aankhoon main khawab sajana ab nahi raha...
pahroon tumhain dekhna yahan ab nahi raha
tum say woh sab seekhna sikhana nahi raha...
tumharay sath hansna hansana nahi raha
aankhoon main khushi kay aansoo aana nahi raha...
batoon batoon main tumharay zikr par sharmana nahi raha
tanhai main tumhain soochna…hansna nahi raha…
tum sa andaaz apnanay ki koshish karna nahi raha
tumharay us tohfay ko chopana…sanbhalana nahi raha…
aankh kay us nishan ko dhoondna ab nahi raha
tumharay is rawaye say drar se parey dil main...
kay tum say har raz_e_dil bantna nahi raha


Posted on 3/3/2005 1:38:33 PM

nice kabhi meray topic mai bhi nazar kijiya karay roni ji

Posted on 3/3/2005 10:53:04 PM

Main apna aaj apna kal tumhare naam karta hoon

Main is jeewan ka her ek pal tumhare naam karta hoon



Tumhare dukh,uddasi,ghum sabhi ranjo alam leker

Main apni her khushi tumhare naam karta hoon



Tumhare bin her ek pal mujhe bechain rakhta hai

Main apna Dil jo hai bekal tumhare naam karta hoon



barasta bheegta mausam hai kamzori meri lekin

    Main yeh saawan ghata badal tumhare naam karta hoon

                              

Posted on 3/4/2005 5:39:28 PM