Logo

~Bahar ki khushboo~

chandni raat k hathon pay sawar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai

isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi

meray anchal pay umeedon ki qitar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
meray pairon say jo liptay to safar khultay hain

yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
ab kisi tor palat ker nahi janay deti

meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti

ranj or dard main doobi bahar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

Posted on 3/3/2005 1:44:43 PM


Posted on 3/3/2005 10:45:58 PM

Mairy Dil ki Rakh

Mairy dil ki rakh kareed mat ussy muskra key hawa na dey
Yea charag to phir charag hai kehin tera hath jala na dey
Ney door key ney kheab hain,Ney mosmoo key gulab hain..............
Yea mohabbton key charag hain,inko nafrtoo ki hawa na dey



Zara dekh chand ki paytyoon ney bikher bikher key tumam shab
Tera naam likha hai rayt(sand) par,koi lehar aa kar mita na dey
Main udasyian saja na sakon iss jismo-i-jahan k mazar par
Na diye jaley mairi ankh main mujhy itni sakhat saza na dey


Mairy sath sath chulney key shooq main bari dhoop uthey ga
Tera naak naqasha hai moom ka,kehen gham ki aag jhula na dey
Main ghazal ki shabnami ankh say dokhoon k phool chuna karoon
Mairy saltnat maira fun hai Mujhy taj-o-takhat Khuda na dey

Posted on 3/4/2005 5:34:17 PM