u: mujhe tum chupke chupke jab aise dekhti ho
achchhi lagti ho
kabhi zulfoN se kabhi aaNchal se jab khelti ho
achchhi lagti ho
ka: mujhe dekhke jab tum yuN ThanDi aahen bharte ho
achchhe lagte ho
mujhko jab lagtaa hai tum mujhpar hi marte ho
achchhe lagte ho
u: tum mein ai.. meharbaan
saari hain.. khoobiyaaN
bholaapan, saadagi, dilkashi, taazgi
ka: dilkashi tumse hai, taazgi tumse hai
tum hue hamnashin, ho gayeei main hasin
rang tumse mile hain saare
u: taareef jo sunke aise sharmaa jaati ho
achchhi lagti ho
kabhi hans deti ho aur kabhi itraa jaati ho
achchhi lagti ho
ka: mujhe dekhke jab tum yuN ThanDi aahen bharte ho
achchhe lagate ho
ka: khoye se tum ho kyoN, soch mein gum ho kyoN
baat jo dil mein ho, kah bhi do, kah bhi do
u: sochtaa hooN ki main, kyaa pukaarooN tumhen
dilnashin, naaznin, maahroo, mahjabin
ye sab hai naam tumhaare
ka: mere itne saare naam hai jab tum ye kahte ho
achchhe lagate ho
mere pyaar mein jab tum khoye khoye se rahte ho
achchhe lagate ho
u: mujhe tum chupke chupke jab aise dekhti ho
achchhi lagti ho
kabhi zulfoN se kabhi aaNchal se jab khelti ho
( achchhi lagti ho
ka: achchhe lagte ho ) -3
joji mei ne to kuch bhi nahi kasa...kasme..
woh khud hi bol raha he..mei ne to kaha k bar bar mafi na mango..mei naraz nahi hun..fir bhi sabhi mujhe hi kehte hien....[:O]
here is a song from me with marverllous poetry. u all may not b familiar with this song..but do read the lyrics..just gr8
zindagi main to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahun ga
tu mila hey to ye ehsas hua hey mujh ko
ye meri umer mohabbat ke liye thori hey
ik zara sa Gham-e-dauran ka bhi haq hey jis par
main ne wo saans bhi tere liye rakh chori hey
tujh pe ho jaoon ga qurbaan tujhe chahun ga
apane jazbaat main naghmaat rachaane ke liye
main ne dharkan ki tarah dil main basayaa hey tujhe
main tasavvur bhi judai ka bhala kese karun
main ne qismat ki lakiron se churayaa hey tujhe
pyar ka ban ke nigeh-baan tujhe chaahun ga
teri har chaap se jalte hain Khayaalon main charaagh
jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye
tujh ko chhu luun to phir aey jaan-e-tamannaa mujh ko
der tak apne badan se teri Khushbu aaye
tu bahaaron ka hey unwaan tujhe chaahun ga