Logo

~ KOYEE ~

naam likh likh k haathon pay mera mitata hai koi

bahanay bahanay se mujhay satata hai koi

mujhay to kabhi b jeeany ki khawahish nahin rahi

jaanay kyun zindage k roop main milnay aata hai koi

bad-e-sabah kabhi to meharban hop k bata aaye tujhay

k hijar main teray aansoo bahata hai koi

tera milna na milna muqadar ki baat sahi

tujhay har roz magar khuda se mangta hai koi

ye kaisi andher nagri hai k meray khuda

tu samnay hai magar tujhay dhoondta hai koi

chalo acha ho zamany ko mozu to mil gaya

humain sata kar kitna muskurata hai koi

ab k hamari har b jeet ki mannind hai tajamul

humain har k b aksar pukarta hai koi

              ROHAIL

Posted on 3/11/2005 4:28:47 PM


Posted on 3/11/2005 10:52:25 PM