"Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..
Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.
Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.
Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.
Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.
Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila hai
Tu mili bhi nahin our juda hogayi
Zindagi bina terey ek saza ho gayi
Janey kis jurm ki tunay di hai saza
Zindagi hogayi ab baymaza
Kuch kaha our suna our khata hogayi
Tu mili bhi nahin our juda hogayi
Bay khodi main tumhain sazain di bohot
Tum ko pane ki duain mangi bohot
Bae Asar kyon mere har dua hogaye
Tu mili bhe nahin our juda hogaye