Logo

~*~AB LAUT AAO~*~

Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Mera Dil

Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail

Dekhna Chahta Hai



Ab Laut Aao

Kay Aik Bar Phir Meri Palkien

Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker

Jhukna Chahti Hain



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meray Qadam

Tumharey Qadmon Kay Saath

Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Mera Wajood

Tumharey Ishq Ki Aag Main

Jalna Chahta Hai


Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meri Zindagi

Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker

Khud Ko Jeena Chahti Hai...!!!

Posted on 3/23/2005 10:42:23 PM


Posted on 3/24/2005 12:01:20 AM


Posted on 3/24/2005 2:34:07 AM


Posted on 3/24/2005 10:23:25 AM



musafir jate nahin lootne ke liye
parinde urte nahin lootne ke liye

jinhon ne choor dala appna gulstan
phool jharte nahin lootne ke liye

appni mehfil main to tum tanha ho
anson behte nahin ghum rokne ke liye

Posted on 3/24/2005 6:07:17 PM

so...

Posted on 3/24/2005 8:18:23 PM

nice









Posted on 3/24/2005 11:43:13 PM

kiran:


musafir jate nahin lootne ke liye
parinde urte nahin lootne ke liye

jinhon ne choor dala appna gulstan
phool jharte nahin lootne ke liye

appni mehfil main to tum tanha ho
anson behte nahin ghum rokne ke liye

Posted on 3/25/2005 12:18:22 AM


Posted on 3/25/2005 1:17:34 AM


Posted on 3/25/2005 11:46:26 AM

Sab ne kaha ishq dard hai
Humne kaha ye dard kabool hai
Sab ne kaha is dard ke saath jee nahi paaoge
Humne kaha is dard ke saath marna kabool hai....

Posted on 3/27/2005 1:20:24 AM

Very nice

Posted on 3/27/2005 6:53:19 AM


Posted on 3/27/2005 8:58:21 AM

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti,
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti

Posted on 3/27/2005 8:58:26 AM

nice

Posted on 3/30/2005 12:24:16 AM

jo pouchoon apnay dil say kuch main
tou tayree bataien mujhay yaad aatee hain
Batein khushi ki hoti hain aakhein bheeg jati hain
Raatein tanhye ki hoti hain baatein yaad ati hain

Posted on 3/30/2005 3:15:57 AM


Posted on 3/30/2005 9:52:40 PM

huway khak to humko tere awaz aee
zindagi to nay bohat dheer se dhoondha humko

Posted on 3/30/2005 9:56:04 PM

milna to bari baat hai riswaee kai darr se
awaz bhi bhi dehta hoon to rukta nahi koi

Posted on 3/30/2005 9:58:41 PM

very nice janubaby

Posted on 3/31/2005 4:29:11 AM


Posted on 3/31/2005 10:56:50 PM

tu na aata tri awaz to aati rehti
ghar bhi kismat se tere ghar kai barabar na howa

Posted on 3/31/2005 10:58:09 PM


Posted on 4/1/2005 8:54:12 AM

kahiN chaaNd raahoN meiN kho gayaa kahiN chaNdani bhi bhaTak ga'ee
maiN charaG vo bhi bujhaa huaa meri raat kaise chamak ga'ee

meri dastaaN kaa uruuj tha teri naRm palakoN ki chhaa.Nv meiN
mere saath thaa tujhe jaagnaa teri aaNkh kaise jhapak ga'ee

kabhi ham mile to bhi kya mile vahi duuriyaN vahi faasale
na kabi hamaare qadam baRhey na kabhi tumhari jhijhak ga'ee

tujhe bhuul jaane ki koshisheN kabi qaamayaab na ho sakiN
teri yaad shaaKh-e-gulab hai jo havaa chali to lachak ga'ee


Posted on 4/1/2005 9:46:42 PM


Posted on 4/2/2005 4:57:43 AM

KABHI KI HOGI SUURAJ NE CHAND SAI MUHABBAT
TABHI TO SURAAJ MAI AAG HAI

KI HOGI CHAND NE BEWAFAIII
TAB HI TOU SURAAJ MAI AGG HAI

SAPNOO SAI DIL LAGANE KI AADAT NAHI RAHI
HER WAQT MUSKURANE KI ADAAT NAHI RAHI

YE SOOCH KAR K ABB KOI MANAYE GA NAHI
ROOOTH JANE KI ABB HUMMARI AADAT NAHI RAHI

Posted on 4/2/2005 4:57:56 AM


Posted on 4/2/2005 3:03:16 PM

Tugh say to koi gilla nahi hai
Qismat main meri sila nahi hai

Bichray to najanay haal kiya ho
Jo shaks abhi mila nahi hai

Jeenay ki to aarzo hi kab thi
Marnay ka bhi hosla nahi hai

Jo zeest ko mautbar banay day
Aisa koi silsila nahi hai

Khushbu ka hisaab ho chuka hai
Aur phool abhi khila nahi hai

Surshari rehbari main deekha
Peechay mera qafla nahi hai

Aik thaes pay dil ka phoot behna
Choonay main to aabla nahi hai

Posted on 4/2/2005 3:16:38 PM

nice

Posted on 4/3/2005 5:18:25 AM

agar bilfarz tum aisa samajhtay ho
k main hoon kaj ada
meri wafa jhoti hai
dhoka hai
tou jaanan such samajhtay ho
k main tou kya
yahan her shaks jaan-e-jaan
kabhi mukhlis nahi hota
jo hona chahta bhi ho
tou phir bhi ho nahi sakta
hamaray khoun mein shamil hai
awal bound se ik tishnagi
jis ko mitanay ki nahi tadbeer koi bhi
bus ik he aakhri hal hai
wafa aur be wafai ki
hadain phir se muqarar hon

Posted on 4/3/2005 5:18:29 AM


Posted on 4/3/2005 12:15:27 PM