Logo

Those Who Commit a Sin Openly

[Sahih Bukhari : Volume 8, Book 73, Number 95>

"Narrated Abu Huraira (Radi Allah Anhu): I heard Allah's Apostle (sal-allahu-alleihi-wasallam) saying. "All the sins of my followers will be forgiven except those of the Mujahirin (those who commit a sin openly or disclose their sins to the people). An example of such disclosure is that a person commits a sin at night and though Allah screens it from the public, then he comes in the morning, and says, 'O so-and-so, I did such-and-such (evil) deed yesterday,' though he spent his night screened by his Lord (none knowing about his sin) and in the morning he removes Allah's screen from himself."




Posted on 3/26/2005 8:25:06 PM

friend

Posted on 3/26/2005 10:01:36 PM

Very nice

Posted on 3/27/2005 7:07:46 AM

wesaay normally mujhay cheezain itni asani se pasand nahi ateen, but ye hadees achi lagi hae

nice topic friend_16

Posted on 3/27/2005 7:26:08 AM

explain plz

meri jaisi akal wale logon k liye kafiiii uncomplete baat hai yeh,,, aur kuch hadd tak khatarnak bhi
sorry
Allah miyan meri kam akli pe mujhe maaf karien,,

Posted on 3/27/2005 3:02:30 PM

thnx all of u..

Sall itna asaan matlab hai kay agar kuch ghalat hoo bhee jaiy tu usay logoon main khulaay aam elaan nahi kerna chahyee .. coz is tarhaan logoon main behayayee aam hoti hai..

Posted on 3/27/2005 8:49:13 PM

hmmm,, okk
yeh samajh aa gai thi

but it doesnt mean k jo bura kaam karo chup k karo
ya apni galtiyan chupae rakho
rite ??

Posted on 3/27/2005 8:51:18 PM

nahi is ka ye matlab nahi hai kay chup chup ker ghalat kaam karoo .. is ka matlab ye hai kay koi ghalat kaam hoo jaiy tu phir us ka elaan na karoo ..

Posted on 3/27/2005 9:10:43 PM

in other words,,, apni galti pe shaminda ho
parda rakho,, aur shukar karo k Khuda ne tumhara parda rak liya



pffff,,, shukar hai
mujhe samajh aa gai

Posted on 3/27/2005 9:52:33 PM

boht kaam loog ghalti ker kay accept kertay hein .. aur kuch loog tu ghalat kaam ko ghalat samjhtay he nahi..

waisay tu kam he loog dosroon kay experiences say seekhytay hein par still kisi ko samjhanay kay liay i think sahee hai..

Posted on 3/27/2005 9:59:00 PM

saheliiiii
dont take me wrong yar,, i can never say something wrong abt a hadees,, but hadees ya ayat ko samajhna aik alag baat hai aur uss ki tareef karna bilkul alag :)


me ne baat ko lamba sirf iss liye kiya coz there r a lootttt of ppl who commit sins, aur jab aap unn se pucho aur ikrar karne ko kaho to unn ka jawab hota hai JAB ALLAH MIYAN NE HAMARA PARDA RAKHA HUA HAI TO Y DO U CARE
and believe me aisa kehne walon ki na aankhon mei sharmindagi hoti hai, na dil mei ehsaas e gunah
hum log bohot kamzor hein yar,,, kahin se kissi bhi bahane se apne aap ko begunah sabit karna chahte hein


me ne yeh hadees first time parhi hai,,, it was vvvvv clear to me k iss ka matlab kya hai
par mujhe samajh aa gai doesent mean k ab kissi explanation ki koi zaroorat hi nahi rahi


hum woh log hein yar,,, jo saari zindagi gunah karte hein aur sirf aik baar kalma parh k janant mei jana apna haq samajhte hein
humein harr cheez hijje kar k samjhai jae tab bhi mushkil se samajh aati hai,,,,

Posted on 3/28/2005 1:50:55 PM

waisay loog waqayee boht ghalat matlab bhee nikaltay hein .. ur rite sall ..

aur jahaan taak aik baar kalma parh ker jannat main janay ki baat hai tu un logoon say poochahyee ga jo is baat ka ghalat matlab nikaltay hein kay kabhee Aag ko haath laga hai? ya kabhee kuch jala hai? kitnee dard hoti hai na? tu dozagh ki Aag hamaree Aag say 70 times ziada hai.. jaab wo lagay ge tu kia haal ho ga?? aur phir na janay kaab taak us main rehna paray .. Allah mauf karay..

Posted on 3/28/2005 7:27:32 PM