Logo

!!!Woh kehti hia k!!!



!!!Woh kehti hia k!!!


Woh kehti hia k kia Ab Bhi kisi k
Liye laal Hari choriyan kharedtay Ho
Main Kehta Hon Ab kisi ki kalai pe
Yeh Rang Acha nahi Lagta


Woh kehti hia k kia Ab Bhi kisi k
Anchal ko Aakash likhte Ho
Main kehta Hon Ab kisi kay Aanchal
Main itni Wosaat kahan hia



Woh kehti hia k kia mere baad kisi
larki se muhabbat howi hia tumhain
Main kehta hon Muhabbat sirf
larki Per Mushtamil Nahi hoti


Woh kehti hia k janan!
lehjay Main Bohat udasiyat si hia
Main kehta Hon k Titliyon ne Bhi
Mare Dukh ko mehsoos kiya hia



Woh kehti hia k kia Ab Bhi Mujhe
Bewafa k naam say Yaad karte Ho
Main kehta Hon k Mare Nisaab
Main Yeh lafz shamil He nahi


Woh kehti hia k kabhi Mare
zikar per ro0 Bhi late Ho Gay
Main kehta Hon k mari Ankhon
ko Har waqt ki phowar Achi lagti hia



Woh kehti hia k tumhari baaton
main itni gehrai Kyun hia
main kehta hon k teri judaYi k Baad
Mujh ko yeh aizaaz mila hia

Posted on 4/16/2005 12:39:17 PM

Bahut Achhey
Kisiki har dhadkan aur sanson mein samaney wali,
Zara yeh to batao Kyun kehti ho ki woh tanha hai.
Aaj tak ghamon se ladd ke bhi jisney haar na mani,
Zara yeh to batao Kyun kehti ho ki woh kamzor hai.

Posted on 4/16/2005 7:57:50 PM


Posted on 4/16/2005 11:10:24 PM

veryy nice

Posted on 4/17/2005 5:37:07 AM

Shukriya huzoor

paki_fan:
veryy nice

Posted on 4/17/2005 5:41:59 AM

thanx frnds

Posted on 4/19/2005 3:37:01 PM


Posted on 4/20/2005 12:57:49 AM

thanx dua

Posted on 4/20/2005 4:54:37 PM