Logo

Samandar Poochta Hai Aab Wo Doonoon Kyoun

31,MARCH
Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey
wohi donno jo 31,march kii reet ko
ek dosarey ka haath thammay door taak
kabhi hansttey,kabhi rota kuch gungunattey
ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may
ropposh honay walla chand dekhttey
ansoo bhahattey loat jattey!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay
Nangay paoo pani may challey attey thay
bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay
aur unmay seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay
kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay
anay walley kal ki moothhi may chupattey thay!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa
ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha
jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta
phir ussnay dair sarey khaat
buhut say phool sookay aur tasveeray
aur apnay akhri ansoo
samander kay hawalley kerdiyey..

Posted on 5/10/2005 6:31:58 PM






Tum ko khushi mile , koTum Chahat mile

Tumhain saare jahan ki Mohabbat mile

Jahan main sab se hon acche Tumhare Naseeb

Koi dukh kabhi bhi na aaye Tumhare Qareeb






Posted on 5/10/2005 6:37:41 PM

              Gudda Milney chalay aao
sabhi udaas moasam hain kabhi milnay chalay aao
dukhon main ham to gum sum hain kabhi Gudda milnay chalay aao

tumharay baad kesi roanaqain is dil ki nagri main
sabhi charagh madham hain kabhi milnay chalay aao

tumharay paas to hon gi zamanay bher ki sab khushian
hamaray paas to gham hain kabhi milnay chalay aao

tumhari yaad ab dil ko bohat taklif deti hai
nigahain bhi to purnam hain kabhi milnay chalay aao

lagay hain zakham kitnay bay baha dil pay mohabbat main
tumharay lafz merham hain kabhi milnay chalay aao

bohat hamderd hain yun to hamaray bhi zamanay main
mager phir bhi bohat kam hain kabhi milnay chalay aao

yeh pather hi na ho jaain nigahain dekhtay rasta
k khushian bhi to berham hain kabhi milnay chalay aao

na janay kab yeh larka haar day saanson ki bazi ko
isay lahaq tere gham hain kabhi Gudda milnay chlay aao



Posted on 5/10/2005 6:39:46 PM

GUDA:
Gudda Milney chalay aao



very niceeeee............



gudda kesay aey ga wo khud thori kuch kar sakta hai .........

Posted on 5/10/2005 7:48:47 PM


Posted on 5/13/2005 8:59:16 PM


Posted on 5/14/2005 8:46:49 AM


Posted on 5/23/2005 8:45:05 PM

jhoot bolta hae

Posted on 5/31/2005 3:52:07 AM

GUDDA:
31,MARCH
Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey
wohi donno jo 31,march kii reet ko
ek dosarey ka haath thammay door taak
kabhi hansttey,kabhi rota kuch gungunattey
ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may
ropposh honay walla chand dekhttey
ansoo bhahattey loat jattey!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay
Nangay paoo pani may challey attey thay
bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay
aur unmay seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay
kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay
anay walley kal ki moothhi may chupattey thay!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa
ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha
jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta
phir ussnay dair sarey khaat
buhut say phool sookay aur tasveeray
aur apnay akhri ansoo
samander kay hawalley kerdiyey..


hi wellcome
you are a great poet where did you learn that
sikhi ya time ne sikha di

Posted on 6/11/2005 6:10:24 AM