Logo

WaFa ki Jail se .......................



Wafa ki jail se bhaaga hua majboor qaidi hun
agar dil ki adalat main tumhain mera khayal aaye
tu mujh ko yaad k dhundlay katehray main talab karna
mere lafzon meri baaton ko dil hi dil main dohrana
to phir shayad tumhain koi purana naqsh mil jaye
jo meri bay-gunaahi ki adalat main gawahi day
yehi meri tamanna hey k tum mujh ko wohi samjho
jo main ne tum ko samjha hey
tumhain ab tak samajhta hun
mere dereena sathi ho,Tumhain to ye khabar hogi
k main apni safai main kabhi b kuch nahi kehta
agar phir bhi kisi pehlu se main mujrim nazar aaoon
wafa ki raah main naDaan samajh ka darguzar karna


Posted on 7/17/2005 10:18:06 PM

Unknown Poet...


Posted on 7/17/2005 10:22:25 PM

NICE

Posted on 7/18/2005 4:12:21 PM

hmmmm... mujhe kaafi pasand hey...

Posted on 7/18/2005 7:28:01 PM