Logo

<<< Un-Sunay Lafz >>>


kisi raig-zaar ki dhoop main wo jo qafilay thay bahar k
wo jo un-khilay se gulaab thay
wo jo khwab thay meri aankh main
jo sahaab thay teri aankh main
wo bikhar gaye,Kahien raaston main ghubaar k
wo jo lafz thay dum-e-wapseen
mere hont per
tere hont per
unhain koi bhi nahi sun saka
wo jo rung thay sar-e-shakh-e-Jaan
tere naam k
mere naam k
Unhain koi bhi nahi chun saka




Amjad Islam Amjad

Posted on 11/8/2005 11:53:39 AM

v nice

Posted on 11/8/2005 3:19:35 PM

"Rahonn mainn Rakhay Reh gaye, Kitnay Safaid Phool"
"Aarzooainn Bhaint Charhinn Intezaar ki"

"Rizwan Ashar"

Posted on 11/8/2005 9:45:14 PM

ye Ash'ar aapka Takhallus hey?

Posted on 11/8/2005 11:06:25 PM

Haanjee...

Actually...GHAZAL kay shair kay saath AFSAANAY ka ALIF lagayenn tou ASHAR banta hay And this is my Takhallus

Posted on 11/9/2005 9:49:50 PM

lekin aap apna takhallus Ashar kion likhtay hain, its like Ash'ar ....


Posted on 11/10/2005 12:31:21 PM

u r right ...ASH'AR...is the right word

Posted on 11/10/2005 3:17:34 PM