Logo

qayamat sey pehlay

dekha jinho ny woh kaisy batain
batana bhi chahain bata na sakain ge

ajab sa samaa tha ajab se zameen thi
pairon ky neechy se khiski zameen thi

bohat khoufnak manzar tha us din
bachy keheen thay aur maain kaheen thi

kaisy batain woh kaisa tha manzar
poocho ja ky un se jo wahan bach gaye hain

woh zinda bhi hain ya zinda naheen hain
abhi bhi hai fursat abhi bhi hai muhlat

dua maango Khuda se mujhy muaf kar dy
mujhy muaf kar dy tu marny se pehly

kiyoon bhool jatta hai somy tu bhi hai insaan
jana to akhir sab ko waheen hai

qayamat se pehly qayamat ka manzar
dekha jinho ny woh kaisy batain

Posted on 11/18/2005 12:46:06 AM

Good Manzar kashi

Posted on 11/18/2005 12:51:15 AM

new_beau:
Good Manzar kashi

o yes

Posted on 11/19/2005 11:13:02 PM

i really like this kind of poetry jis mein kuch sabaq bhi ho......really nice.

Posted on 1/9/2006 3:40:35 AM

good job

Posted on 1/9/2006 4:00:33 AM