Logo

....jee chahta hai !!

khaab ki tarha bikher jaane ko jee chahta hai
aisi tanhai k marr jaane ko jee chahta hai

ghar ki wehshat se larazta hu magar jaane kyun
shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai

doob jau to koi mauj nishan tak na batae
aisi naddi mei uter jaane ko jee chahta hai

kabhi mil jaae to raste ki thakan jaag pare
aisi manzil se guzer jaane ko jee chahta hai

wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bohot
ussi paiman se muker jaane ko jee chahta hai

Posted on 11/22/2005 11:51:56 PM

ghar ki wehshat se larazta hu magar jaane kyun
shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai

nice sharing

is shab kay muqaddar main sehar hai keh nahin
daikha hai kaee baar---- charaghon ko bujha kar

Posted on 11/23/2005 12:03:12 AM

thnx hawwa

Posted on 11/23/2005 12:11:09 AM

kabhi mil jaae to raste ki thakan jaag pare
aisi manzil se guzer jaane ko jee chahta hai






GHAR JALD LAUT KER BHI TOU MANZER WOHI RAHA
WAISI HI SARD SHAAM, WOHI NASAPAAS SHAB

Posted on 11/23/2005 9:24:32 AM

new_beau:
kabhi mil jaae to raste ki thakan jaag pare
aisi manzil se guzer jaane ko jee chahta hai


manzil ki justajoo main kion phir raha hai rahi
itna azeem ho ja keh manzil tujhey pukaarey

Posted on 11/23/2005 7:18:19 PM

"Jis din Chala hoonn, Meri Manzil pay nazer hay
Aankhonn nay kabhi Meel ka Pathar Nahin Dekha "


Posted on 11/23/2005 10:09:59 PM

new_beau:
"Jis din Chala hoonn, Meri Manzil pay nazer hay
Aankhonn nay kabhi Meel ka Pathar Nahin Dekha "


sheesha baney to choor huay pathron sey hum
pather baney to rah main thokar laggi hazaar

Posted on 11/23/2005 10:40:16 PM

NICE

Posted on 11/24/2005 4:31:18 AM

jee kerta hai pankh laga ker urr jaaon mein
neelay gaggan key badal ko choo jaaon mein


Posted on 11/24/2005 4:42:23 AM

"Iss Shehar kay BAdel bhi Teri Zulfonn ki Tarah Hainn
Yeh Aag Lagaatay hain, Bujhanay nahin Aatay"

Posted on 11/24/2005 9:10:01 AM

thnnnxxxxxxxxxxx




yahan kya poet's café khul gai

Posted on 11/24/2005 5:02:17 PM

Shuru'aat tou aap nay hi ki

Posted on 11/24/2005 8:34:29 PM

Well..

Sall, Aamir saleem ne ye ghazal bohat achi sing ki hey,
aor is ka video ka topic , kafi match karta hey ..

Zabardast Poetry By Iftikhar Arif..


Posted on 11/25/2005 12:37:09 PM

daktarrrrrrrrrrrrrrrrrrrr
i just searched on net,, agar aamir saleem yeh hai to

i cant stand him,, shukar hai me ne usse yeh gaate hue nahi sunn liye




iftekhar arif
he s just greattttttttttttttttttttt

Posted on 11/25/2005 8:10:06 PM

me apne khaab se katt kar jiyon to mera Khuda
ujaar de matti ko meri darbadar kar de



Posted on 11/25/2005 8:15:49 PM

aamir saleem is not bad...

aik sachha aor acha insaan hey, singer bhi theek hey..

Us ka aik song hey Zinfagi bina tere ik saza ho gai
tu mili bhi nahi aor juda ho gai...

he is not my fav, But acha hey...

Posted on 11/26/2005 1:27:51 PM

yar acha singer hone liye acha insaan hona zaroori nahi hota

daktarrrr
bass pata nahi kyun mujhe nahi pasand
ru ru hai basss

Posted on 11/28/2005 5:15:24 PM

ye to hey, wo aik Dukhi insaan hey, PUNJABI main us ne masters kiya hey,

Posted on 11/28/2005 7:09:58 PM

v nice sall

Posted on 12/3/2005 7:58:56 PM

ab aapko yaad aaya hey...


Posted on 12/6/2005 12:21:59 AM

dukhi insaan
yeh to uss ki shakal pe likha hai

oupsss


thankuu queennuu

Posted on 12/6/2005 10:32:07 AM

aaaw dukhi insaan ko aisa thori kehtay hain...


Posted on 12/6/2005 12:21:10 PM