Logo

zindagi nikliiiiii

dhoondnay jis may zindagi nikli
wo usi shakhs ki gali nikli

teray lehjay may kia nahi tha magar
sirf sach ki zara kami nikli

us ki aankhon ka rang gehra hay
aur may halki sanwli nikli

wo jo lagti thi kanch ki gurya
zarb parnay say aahni nikli


us haveli may shaam dhalnay par
har dareechay say roshni nikli

wo hawa tau nahi thi larki thi
kis liye itni sar phiri nikli

wo teray aasman ka kia karti
jis ki muthi say dosti nikli

umar pardah nasheen nahi hoti
jab dhali sar say'chandni nikli

Posted on 11/25/2005 3:56:48 PM

sannaaa naa naaaaaaaaaaaaaaa
where r u yarrrr



woh hawa to nahi thi larki thi
kiss liye itni sar phiri nikli

Posted on 11/25/2005 8:18:34 PM

abhi bhi pooch rahi ho main kahan hunm




Posted on 11/25/2005 11:41:40 PM

us ki aankhon ka rang gehra hay
aur may halki sanwli nikli


wo hawa tau nahi thi larki thi
kis liye itni sar phiri nikli



Posted on 11/26/2005 3:56:29 PM