Logo

I want to know about " Iddat"

can anybody tell me...aik larki jis nay sepration lai li ho apnay husband say...aur us nay family planning bhi ki hui ho 3 months ki....to us aurat ki iddat ho gi?
aur ager ho gi to us iddat ki kia duration ho gi?
aur kia woh is duration main job kar sakti hay..shariat ko samnay rakh ker....pls pls....in questions ka answer sahee sahee bataiye...thanks...

Posted on 12/30/2005 10:19:24 AM

well ashhh,i'll try to find the answer

Posted on 12/30/2005 12:37:28 PM

nikama:
well ashhh,i'll try to find the answer

i want to know about this very soon..

Posted on 12/30/2005 12:57:49 PM

hmmm,,,
sahi sahi to nahi bata sakti me but i guess iddat harr haal mei poori karni hoti hai,, aur aik hi jitne din sab liye
duration nahi pata

Posted on 12/30/2005 3:58:55 PM

miss ayesha jaha tak meri knowledge hai islam k baare mai or jahaa tak maine books mai parrha or aalimo se suna hai to uska jawab kuch is tara hai k
agar us larki ne apne husband k saath waqt guzara hai,u know what i mean to say,to talaaq ki soorat mai usko har haalat mai iddat poori karni hogi,or agar koi bohat sakht majboori hai k job ki,to esi soorat mai larki ko maghrib ki azaan se pehle ghar aana hoga

Posted on 12/31/2005 8:11:44 PM

mad girl nay jo kuch kaha.woh bilkul theek hai.
maray khayal say ab mujeh kuch kehnay ki zarooret nahee.

madgirl i am setisfy to ur answer.

Posted on 1/3/2006 4:48:50 PM

ash iddat k baare mai detail maine aapko private mai bata di ab apka sawal raha job ka to aisi larki job nahi kar sakti jis k sarparast or wakil zinda ho,i mean agar usko koi aisee majboori hai k us ko rizq ki kami horahi hai tab jaaiz hai wagarna nahi

Posted on 1/9/2006 9:08:11 PM

sab kuch madgirl nay bata diya may kia bataon

Posted on 1/10/2006 3:15:29 AM