Logo

* Khuda hum ko aisi.....

Khuda hum ko aisi Khudai na de
k apne sivaa koi dikhai na de

khatavaar samjhe gi dunya tujhe
ab itni bhi zyada safai na de

hanso aaj itna k iss shor mei
sadaa siskiyon ki sunai na de


abhi to badan mei luhu hai bohot
kalam cheen le roshnaee na de


mujhe apni chaadar se yuun dhaanp lo
zameen aasman kuch dikai na de


gulami ko barkat samajhne lagein
aseeron ko aisi rihai na de

Posted on 6/18/2006 1:57:13 PM

mujhe aisi jannat nahi chaiye
jahan se madina dikhai na de

me ashkon se naam e Muhammad likhu
kalam cheen le roshnai na de

Khuda aise irfaan ka naam hai
rahe saamne par dikhai na de

by Bashir Badar

Posted on 6/18/2006 2:00:14 PM

mujhe apni chaadar se yuun dhaanp lo
zameen aasman kuch dikai na de

Posted on 6/18/2006 6:33:30 PM


Posted on 6/18/2006 6:36:33 PM

meri pasandeda ghazal

Posted on 6/18/2006 8:18:16 PM

mujhe apni chaadar se yuun dhaanp lo
zameen aasman kuch dikai na de
me ashkon se naam e Muhammad likhu
kalam cheen le roshnai na de

mere paas jo book hey. usmain ye sher nahi hain...


Khuda aise iehsaas ka naam hai
rahe saamne par dikhai na de


Posted on 6/18/2006 9:06:31 PM

us book ka kiya naam hai

Posted on 6/18/2006 9:17:13 PM

thnxxx alll...
hum ko bhi 2 sher bohot ache lage



daktar
hum ne to first time parhi hai,, Irfan hi likha tha,,
waise ehsas bhi ho sakta hai

Posted on 6/18/2006 11:32:29 PM