Logo

YAAD AONGA....


Tum Meri Aankh ke Tevar na Bhulaa Paaoge
An Kahi Baat ko Samajhoge to Yaad Aaongaa

Humne Khushiyon ki tarah Dukh Bhi Ikhatey Dekhe
Safaah-e-ziist ko Palatoge to Yaad Aaongaa

Isii Andaaz main Hotey Thay Mukhaatib Mujh Se
Khat kisi aur ko Likho gay to Yaad Aaongaa

Sard Raaton ke Mehakte huai Sannnaaton mein
Jab kisii Phool ko Choomogay to Yaad Aaongaa

Ab teray Ashk main Honton se Churaa letaa hoo
Haath se Khud inhen Ponchhoge to Yaad Aaongaa

Shaal Pehnaegaa ab kaun December mein Tumhein
Baarishon main kabhi bheegogay to Yaad Aongaa

Aaj to Mehfil-e-Yaaraan pe ho Magaroor bohat
Jab kabhi Toot ke Bikhrogay to Yaad Aaongaa

Haadsay Aayenge Jeevan mein to tum hoke Nidhaal
Kisi Deevaar ko Thaamogay to Yaad Aaongaa

Is main Shaamil hai meray Bakht ki Taareeki bhi
Tum Siyaah Rang jo Pahnogay to Yaad Aaongaa



Posted on 5/7/2007 12:33:23 PM

wah wah wah

bahut khoob

apun ke dil ki baat keh di u ne tu


Posted on 5/7/2007 3:10:47 PM


yeh apun bolay to?????


Posted on 5/7/2007 3:43:09 PM

bolye tu me

Posted on 5/7/2007 3:55:22 PM


rehan bhai arz kia hai

main fana ho gaya afsos ke woh badlye bhi nahi
meri chahat se bhi sachi rahi nafrat us ki



Posted on 5/7/2007 9:22:25 PM


Posted on 5/8/2007 5:48:03 AM

isse kehte hein
khamkha ki khush fehmi

Posted on 5/8/2007 12:10:05 PM


CF Paa jee... sedhay sai pehlay hi ME keh dena tha na...
wesay hamary jazbat kitnay miltay hain .a



Posted on 5/8/2007 12:36:52 PM

~tasha~:


Posted on 5/8/2007 1:11:42 PM

Ashii:
isse kehte hein
khamkha ki khush fehmi


Aap na yaad kijiye ga...


Posted on 5/8/2007 1:18:21 PM



Your poetry is really good

Posted on 5/8/2007 5:15:42 PM

Rehan M Din:

CF Paa jee... sedhay sai pehlay hi ME keh dena tha na...
wesay hamary jazbat kitnay miltay hain .a




han jeee kafi miltye hain

bas kiya keryen jeee yeh duniya aur duniya ke gham

isi baat per woh yaad a jati hia nusrat fathe ali khan sahib ki qawali

janye kab hon gaye kam is duniya ke gham

Posted on 5/8/2007 6:27:51 PM

khoob guzray gi jo mill bethain gay deewanay do

Posted on 5/8/2007 10:43:12 PM

QUEEN VICTORIA:
khoob guzray gi jo mill bethain gay deewanay do


LG ab QV se bhi kahoo na ke nursery main admison le    

Posted on 5/9/2007 2:07:27 AM



Posted on 5/9/2007 8:37:34 AM


khoob guzregi jub mill baithegay deewane do


ablo ghablo

Posted on 5/9/2007 8:40:26 AM

Miss mine:


Your poetry is really good




Its not so. Thats why i cant see my name in voting....


Posted on 5/9/2007 9:04:17 AM

cutefriend:
Rehan M Din:

CF Paa jee... sedhay sai pehlay hi ME keh dena tha na...
wesay hamary jazbat kitnay miltay hain .a




han jeee kafi miltye hain

bas kiya keryen jeee yeh duniya aur duniya ke gham

isi baat per woh yaad a jati hia nusrat fathe ali khan sahib ki qawali

janye kab hon gaye kam is duniya ke gham


woh bhee to inhi ki hai


Gham ha ya khushi hai
toooo meri zindagi hai



Posted on 5/9/2007 9:05:02 AM

QUEEN VICTORIA:
khoob guzray gi jo mill bethain gay deewanay do


coach to sarak sai guzarti hai... usay hamaray mil bethnay ki khabar hi nahi ho gee...


hain ji kya ferm arahay hain aap

Posted on 5/9/2007 9:05:58 AM

cutefriend:
QUEEN VICTORIA:
khoob guzray gi jo mill bethain gay deewanay do


LG ab QV se bhi kahoo na ke nursery main admison le    


Montessori junior ziada behtar nahi hai...




Posted on 5/9/2007 9:06:37 AM

Fairl_Girl:

khoob guzregi jub mill baithegay deewane do


ablo ghablo


pehlay dewanay to dhondnay dain...


Posted on 5/9/2007 9:08:51 AM

Fairl_Girl:

khoob guzregi jub mill baithegay deewane do


ablo ghablo



yeh ablo ghablo kia hia

Posted on 5/9/2007 12:37:40 PM

Rehan M Din:
cutefriend:
Rehan M Din:

CF Paa jee... sedhay sai pehlay hi ME keh dena tha na...
wesay hamary jazbat kitnay miltay hain .a




han jeee kafi miltye hain

bas kiya keryen jeee yeh duniya aur duniya ke gham

isi baat per woh yaad a jati hia nusrat fathe ali khan sahib ki qawali

janye kab hon gaye kam is duniya ke gham


woh bhee to inhi ki hai


Gham ha ya khushi hai
toooo meri zindagi hai




yuppppppppp   

Posted on 5/9/2007 12:38:58 PM


and wat abt dat one...

Mera gham aur meri har khushi tum say hai
jan-e-mannn yeh meri zindagi tum say hai


Posted on 5/9/2007 2:18:57 PM

zaberdast jee zaberdast jeeee

and wot abt

sajna main ghama deazab vich rehna wa
esye lai te dubiya sharab vich rehna wa

Posted on 5/10/2007 12:21:50 PM

dard hai bohot per rona nahi hai,
neend hai bohot per sona nahi hai,
dill zid kerta hai bohot per khwahish nahi hai,
pyar hai bohot but meri jaan nahi hai....

Posted on 5/10/2007 12:30:37 PM


lo... ithay muqablay shuru ho gae...
tusi saray jittt jao.. asi ainj ee theeek aan...


Posted on 5/10/2007 3:46:55 PM

nai nia

rehan bhai jee in sab ko post ker lenye doo asi beh ke aram na shugal wekhdye wan
ki khyalwa

Posted on 5/10/2007 7:13:19 PM


bara ee wadhiya khayal wa...


Posted on 5/11/2007 10:11:59 AM


Posted on 5/12/2007 9:09:08 AM

Rehan M Din:

bara ee wadhiya khayal wa...





Posted on 5/13/2007 4:06:22 AM