nice azab day ga to phir mujh ko khuab bhi day ga
mein mutmain hoon mera dil meri panah may hai
teray badalnay kay bawasf bhi chaha hai
yeh aitraaf bhi shamil mery gunah may hai
Koi hal aisa k jis say masla qaim rahay
khatam ho jaey udasi aur fiza qaim rahay
kiya k mumkin hai k ho jaun tery qadmon ki khak
aur dunya kay liay meri ana qaim rahay
love these lines
wah v gud mery khuda ksi soorat usy mila mujh say
mery wajood ka hisa na rakh juda mujh sy
wo nasamajh mujhy pathar samajh k chor gaya
wo chahta to sitaray tarashta mujh say
usy hi sath gawara na tha mera warna
kisy majal koi usko cheenta mujh say
ghonta hai khuahishon ka gala itny zoar sy
risnay laga hai khoon meri por por say
nazuk mizaj itna hai wo kuch na poochey
neend us ki toot jati hai dharkan k shor say
gira hoon asy toot k ab tak nahin jura
phenka tha asman nay mujhy itnay zoar say
v gud Thukra kay us nay Mujh ko kaha kay muskurao
main hans diya akhir sawal uski khushi ka tha
Main nay khoya woh jo maira tha he nahin
Usnay khoya woh jo sirf usi ka tha
nice again uski tasveer meri rag e jan thi
uski tasveer main torta kis tarah
us k chehry pe dono jahan naksh thy
us k chehray ko main bhoolta kis tarah
chahta tha wo shyad kisi aur ko
main khuda say usay mangta kis tarah
wo mery saey main beth kar chal diya
main shajar tha usay roakta kis tarah
niceee ar koi sachay khuab dikhata hai per jany kon dikhata hai
mujhay sari rat jagata hai pe jany kon jagata hai
koi kehta hai ye rasta hai aur tery liay hai ye rasta
koi is main khak urata hai per jany kon urata hai
koi kehta hai ye dunya hai aur tery liay hai ye dunya
koi is say khof dilata hai per jany kon dilata hai
hmm fair teri janib safar karta rahoon ga
mein deewaron may dar karta rahoon ga
kaheen bhi main rahoon lekin meri jan
tujhy apni khabar karta rahoon ga
wah wah wahan mehfil na sajai, jahan khalwat nahin ki
us ko socha hi nahin jis say muhabat nahin ki
ab k bhi tery liay jan say guzar jaen gay
hum nay pehlay bhi muhabat may sayasat nahin ki
tum say kia wada khilafi ki shikayat karty
tum nay loat k anay ki bhi zehmat nahin ki
dharkanain seenay sy ankhon may simat aen thee
wo bhi khamosh tha hum nay bhi wazahat nahin ki
gudd v gud Tujh sy bichar k apni kahani badal gai
dariya e zindgi ki rawani badal gai
logon k is hajoom may dhoondoon tujhy kahan
is shehar ki to sari nishani badal gai