Logo

......koi baat nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Posted on 11/8/2003 3:06:33 AM

is tarha uchhalna tumhari aadat hai, to koi baat nahin
tum circuss main kaam kartay ho , to koi baat nahin


avatar..

Posted on 11/8/2003 1:49:25 PM

queen victoria:
is tarha uchhalna tumhari aadat hai, to koi baat nahin
tum circuss main kaam kartay ho , to koi baat nahin


avatar..


ab theek hai ab maine apni pic post kardi hai avatar mai

Posted on 11/8/2003 9:46:35 PM

nice pic wid big hairs :)

Posted on 11/10/2003 1:55:29 AM