kekeke tumheen guayeen keh kon raha hai ..mera kehna ka mutlab tha tum aurat nahi larki hoo ore jin hamesha aurtoon paar aatay hain .. aab kya larki ore aurat ka farak be samjana paray ga
well fraudiya jin sirf aurtun ya larkyun per nahin attey,larkon per bhi aa saktay hain..HAMREY AIK Cousin per SHE GHOST ashiq hogee theen..aur unkay bed per say lambay lambay baal miltey thay unka room khud hi lock hojaata tha aur..etc etc..well bohut lambi story hay
Hey Guys i have found another story for you It's a sacha wakeya ..
June 1948
Hasanabdal (near GurDavara)
A gar kisi ka kabi Hasanabdal jana hoa ho tu woe janta ho ga kay hasanabdal mein sikhoon kay wakt kay poranay poranay ghar hain ..
kaha jata hai kay poranay waktoon mein sikhoon kay aik muqadass guru waha rehtay thay ..Jin kay naam sei aik bohot dilchasp wakeyaa be mansoob hai k aik dafa pahari kay upaar sei aik bohot bara patha tut kay nichay ayaaa ore unhoon nein usay apnay punjay sei roka ....Un kay punjay ka nishan aaj be aap waha dekh saktay hain.....jaha woe pathar rukha geya usay punja sahib ka naam deya geya jo ajj sikhoon ki aik muqass juga hai jaha haar saal hazaroon sikh india sei usay dekhnay aatay....
....
uss sei be pehlay waha aik bazurg ka bohot churcha hoa jin ka naam Hasan tha ore Rohaniet mein un ka darja Abdal tha mutlab sheher ka kotavaal Un bazurg kay naam paar sher ka naam rukha geya HasanAbdal....
Esee HasanAbdal kay Androon muhalay mein aik larki rehti thi naam tu uss ka noreen tha magar sub pyar sei usay nazoo kehtay thay....nazoo thi be bohot pyari ..Ghar mein sub sei chooti honay ki waja sei sub uss kay nazz uthatay thay jis ki waja sei woe thori zidi ho geye thi..jub tuk apni baat na manva leti usay chaien na aata tha ore jo cheez aik baar uss kay demag mein sama jati haar qimaat paar usay pora karti....Baki ki kahani suneyeee Nazoo ki Zubani.
Hum sub saheleyaan aksaar shaam ko ghar ki Chuaet paar chaar kay uss baag ko dekha karti thi jis kay baray mein mashoor tha yaha shehzaday lalarukh ki Ruh aati hai ..apni shehzadai lalazaar ko dhoondnay kay leye....ye baag sikhoon kay gurdavary kay bilkul samnay hai....
Yun tu mujay kahi be janay ki aazadi thi magar baba nein mujay kabi uss baag ki taraf nahi janay dea tha ore mujay sahti sei uss baag ki taraf janay sei mana kea tha...
Garmeoon kay din thay ess leye hum sub ghar walay chuaet paar he sotay thay jub sub so jatay tu mein aksaar uth kay baag ki taraf ghentoon dekti rehti ....aik din aesay he mein khari ho kay baag ki taraf dekh rahi thi kay acchanak baag ka aik hisa roshaan ho geya ...roshani ka rung be ajeeb tha na woe white thi na woe yellow na orange woe tu kuch ore he kisam ki roshani thi ..insan ko apnay sehar mein chukaar denay wali roshani .methi methi sei roshani ...mujay aesa mehsoos honay luga jesay mein koi khooab dekh rahi hoon mujay apna wajood bilkul halka phulka lugnay luga bilkul aesa mehsoos hoa jesay mein hava mein taeer rahi hoon...mujay halki halki avazeen ani shuru ho geye jesay koi mujay pukaar raha hai Nazoo Nazoo Nazoo ..acchanak mujay kisi nein apnay mazboot hatoon mein pakaar leye ..meri aankoon kay aagay andheera chana shuru ho geye ore awazeen be ahesta ahesta halki honi shuru ho geye ..enn awazoon mein aab ore be awazeen shamal ho geye jesay bohot sei loog mil kay shoor macha rahay hain ..magar meri aankoon kay samnay aandhera ore ghehra hota geya ...shaied shaied ye maut ka aandher tha........