JANUBABY:

---------
Apnay bister per buhat dair say main neem-daraz
sochti thi ke woh is waqt kahan per ho ga
main yahan hon mager us kuch-e-rang-0-bu main
roz ki tarah say woh aaj bhi aya hoga
aur jab us nay wahan mujh ko na paya hoga????
APKO ILM HAI?WOH AAJ NAHI AIN HAIN?
meri her dost say us nay yehi pocha ho ga
KIYON NAHI AYI WOH? KYA BAAT HUI HAI AJ?
khud say is baat pe soo baar woh uljha hoga
Kal woh aye gi to main us say nahi bolonga
App hi aap kai baar woh rotha hoga
"Woh nahi hai bulandi ka safar kitna kathan hi"
Seeriyan charhtay huay us nay yeh socha ho ga
Rahdari main haray laan main phoolon kay qareeb
Us nay her simt mujhey aan kay dhondha hoga
Naam bhoolay say jo mera kahin aya hoga
Ghair mehsoos tareeqay say woh chonka hoga
Aik jumlay ko kai baar sunaya hoga
Baat kertay huay soo baar woh bhula hoga
YEH JO NAYI LARKI AYI HAI KAHIN WOH TO NAHI
Us nay her chahra yehi soch kay daikha ho ga
Jaan-e-mehfil hai. magar aaj, faqat mery lye
Haaayee kis darja wohi bazam main tanha hoga
Kabhi sannato say wahshat jo hui hogi usay
Us nay bay-saakhta phir mujh ko pukara hoga
chaltay chaltay koi manuus si aahat pa ke
Doston ko bhi kisi uzar say roka hoga
Yaad ker kay mujhey num ho gayi hon gi palkain
AANKH MAIN PAR GAYA KUCH keh ke yeh taala hoga
Aur ghabra kay kitabo main jo li hogo panah
Her satr main mera chahra ubhar aya hoga
Jab mili hogi usay meri alalat ki khabar
Us nay ahista say deewar ko thama hoga
Soch kay yeh. kay bahal jaye preshani-e-dil
Younhi bay wajah, kisi shakhs ko roka ho ga
--------
Ittifaqan
Mujhey us shaam meri dost mili
Main nay pocha kay sunooo aye thay woh kaisay thay???
MUJH KO POCHA???MUJHEY DHONDA THA CHARON JANIB???
Us nay ek lamha ko daikha mujhey aur phir hans di
Is hansi main to woh talkhi thi kay us say agay
Kya kaha us nay mujhey yaad nahi hai lakin
ITNA MALOOM HAI KHABOON KA BHARAM TOOT GAYA