Kisi ne sach kaha hai yeh
Mohabbat aur kahani main koi rishta nahin hota
Magar meri mohabbat to
Kahani hi kahani hai
Mohabbat ki kahani main
Koi raja na rani hai
Na shehzada na shehzadi
Mohabbat ki kahani to
Musafat hi musafat hai
Mohabbat ki musafat aur
Zaroorat ki musafat main
Musafir waapsi ke saarey imkaan paas rakhta hai
Mohabbat ki musafat main
Musaafir ke palatney ka koi rasta nahin hota
Woh saari kashtian apni
Jala detey hain saahil par
Ke na-umeed honay par
Palatna bhi agar chaahein
To wapas jaa nahin paain
Waheen gharqaab ho jain
---------- -----------------
Mohabbat ki kahani main musafat ki basharat thi
Musafat tay hui to phir
Jala daali theen maine bhi
Waheen sab kashtian apni
Jahan pehla parao tha
Shikasta jism tha mera
Merey seenay main ghao tha
Bharakta ek alao tha
Kisi ki chaah main sab kuch luta kar aa gaya tha main
Kahan par aa gaya tha main?
Jahan pehchaan ka apni
Hawala hi nahin milta
Hawadis ke thapairon se
Sambhala hi nahin milta
Shab-e-tairah se nikla tha
Ujaalon ki tamanna main
Magar mujh ko kisi jaanib
Ujala hi nahin milta
Magar himmat nahin haari
Magar himmat nahin haari
Yahan tak aa gaya hon main
Jahan har so ujala hai
Meri pehchaan hai apni, watan mera hawala hai
Mujhay is ne sambhala hai
Issay maine sambhala hai
Yahi mera hawala hai
Yahi tera hawala hai!