Queen Victoria:
main nay aaj hi aik movie daikhi hai VEER ZAARA
acchi lagi,,,rona bhi aaya
issi tarha ki aik Pakistani movie bhi daikhi thi kuch arsa pehlay shaid oos ka naam "KHOAY HO TUM KAHAN" ya kuch aur tha
shan aur zara sheikh ki...
aisi hi kuch aur movies hain jin main sab ka aik hi moral hota hai"INDO PAK frienship".
in sab main youth ko yeh bataya jata hai k hum aik hain mazhab, sarhad, hakoomat ya politics sab hum ko alag karnay ki koshish kertay hain , hum log kal bhi aik thay aaj bhi aik hain.
aaj kal hum naach ga ker aik doosaray k shows(artists) attend ker k yeh sabit karnay main lagay hain k hum ko alag karna ghalat tha.iss cheez ko hum aman qayam karnay ki koshish kahtay hain.
iss tarha ki movies daikh ker hamesha meray zahan main kuch sawal uthtay hain..............!
1- kya "DO QOUMI NAZRIYA" Sir sayad ahmed khan ki ghalati thi.
2- kya jin logon nay 1940 main Pakistan resolution k pass honay say lay kar 1947 tak struggle ki woh waqt zaya kya?
3- kya 1965 main Pakistan ko bachanay k liye honay wali shadatain bekaar thin?
4- Kya Quid e Azam nay iss din k liye hamain Pakistan diya?
kya koi mujhay yeh bata sakta hai k aaj jo pegham hamian diya ja raha hai hamari manzil woh honi chahiye...kya waqaye hum aik hain ya hamin hona chahiye
here i amm,,
sorry me ne baki logon k comments nahi parhe abhi
well,,, dosti ka paigham galt nahi hai,, coz itne saalon ki dushmani se sirf nafrat barhi hai,, aur nafrat kissi pb ka ilaaj nahi hai,, jab saath rehna hai to mil k kyun na rahein,,,
but rite,, yeh kehna k mulk ka alag hona galt tha,, dont agreee,, i didnt watch veer zara,, par agar aisa kaha gaya movie mei to bilkul galt hai,,
basically im against partitions concept,, coz Islam nafrat nahi mohabbat aur bhai chaare ka mazhab hai,, but i know k tab halaat aise paida kar diye gae the k partition was the best solution,,
jahan tak kurbani ka taluk hai to,, i believe kurbani dono taraf se di gai,, zyadti dono logon k saath hui,, par hamare han sirf yehi kaha jata hai k sirf muslims k saath khoon kharaba hua,, hakeekat yeh hai k ache bure log har jaga hote hein,,, funniest thing is sab se zyada zyadti sikhon ki taraf se hui par pakis zyada nafrat hindus se karte hein,,
khair ab jo hua to hua,, we better learn from our past mistakes,,, nafrat sirf mushkil ko barhati hai,
im for nationalisme,, but against racisme,,
most of ppl cant see the difference btw these 2 terms
khair ab tame kharab nahi karo,,, hum ne tayyar bhi hona hai