her aik muskurahat "MUSKAN" naheen hotee
mohabbat ho ya nafrat asaan naheen hotee
aansoo khushi k hoon ya ghum ke hotay hain aik jaisay
in aanso'on ki koi pehchaan naheen hotee
Wo maira ho jo nigahon main haya rakhta ho
har kadam saath chalay azam wafa rakhta ho
naaz us kay na uthaaoon to shikaayat na karay
har gham seh kar bhi hansnay ki ada rakhta ho
Muskaratay Raho Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Aik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii men mein humesha.... muskuratey raho...
Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay,
Manzil Ka Na Koi Naam Mile
Ik Hansta Hua Aaghaz Mile,
Ik Rota Hua Anjaam Mile,
Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say,
Is Dil Ko Koi Paygham Mile,
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay,
Mujh Ko He Koi Ilzaam Mile,
Aisay He Kisee Aik Lamhay Men,
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Men,
Kuch Phool Achanak Khil Jahen,
Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen...
(almost like the first one)
her baat ka matlab inqaar nahin hota
her jaga per bhatna intazar nahin hota
yoon to milteen hain bahut si nazrain
har nazar ka milna piyar nahin hota
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bhula ke roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha
Jise khush hue the likh kar use mita mita ke roye...