kArObi_sA:
Hmmmzzz Sometimes Mujhe Bohat Uljhan Hoti
Hay Bcz Koi Kuch Batata Hay And Koi Kuch
Like for xample yahan Par Halaal Haraam Kia Hay Ka
Masla Bana Rahta hay Koi Kahta hay Kay Jhingha machli Halal Hay Koi Kahta hay Kay Mukro Hay
Thek Info Milti Hi Nahin And Tab Yahi Thek Lagta Hay
Kay Na Hi Malom Karain To Bahtar Hay cz Right Answer To
Milna Nahin

yeh baat tu hai kay koi kuch kehta hai aur koi kuch, waisay machli (fish) tu halaal hi hai, magar jheengay ko machli proove karna mushkil hai, jo isay machli samajhta hai wo kehta hai halaal, aur jo machli nahi samajhta wo halaal nahi manta.
aik asaan sa solution hai is ka agar aap samjhain tu, aur aik simple sa rule hai Islam ka kay jis cheez main shak ho usay chor do, jheengay ka halaal ya haraam honay main shak hai, bcos hukam tu machli ka hai. so agar isay chor hi dya jaey tu behtar hai, kyunkay na khanay ka koi nuksan nahi hoga, laikin agar yeh halaal na hua aur hum kha bathain tu masla hoga.
kuch log is liye khatay hain kay ye mazay ka hota hai, unhain tu khanay ka bahana chahiye hota hai tu wo isi ikhtilaaf ko excuse bana kar kha letey hain.
Allah knows the best!