Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete.
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete.
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete.
Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete.
Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete
kuch na kuch shahar mein hone ka guman hota hei
jis ko paya tha use khone ka guman hota hei
jab se dekhi hein wo bheegi hoi ankhein
hanstay hue chahroon pe bhi rone ka guman hota hei
AAJ IK AOUR HE DHANG KARTAY HAIN
JEEVAN TAIRAY SUNG KARTAY HAIN
HONT WO BATAIN KAR NAHEE PATAY
JO ANKHOON K RUNG KARTAY HAIN
CHUP CHUP GUM SUM RAHNAY WALAY
APNAY AAP SAY JUNG KARTAY HAIN
SOCH SAMAJH KAR FAISLA KARNA
PACHTAWAY PHIR TANG KARTAY HAIN