Logo

~ * Aisa Nahi Hum Ko ....* ~


Posted on 2/20/2005 1:47:56 AM






Posted on 2/20/2005 5:12:58 PM


Posted on 2/22/2005 12:40:14 AM

Bhool ker bhi hum tujhey bhula na sakey...
Aur Baar baar yaad ker key bhi tujhe yaad aa na sakey.....Aisi ki thi kuch paaney ki chah...humney!!
Ki phir aur fariyaad ko hath utha na sakey....
"NUM" hui meri ankhien Kuch is tarah terey sitam sey ,
Beet gayi umar hum muskura na sakey....
Wasiey tu tuney apna bana ker chor diya tha,
Chah! ker bhi hum tujhey thukra na sakey...
Kehna tu bohot kuch tha us din bhi mujhe...
They haalat aisey ki hum lab hila na sakey,
Dhadka tha dil mera,royi thi rooh bhi bohot..
Par kaisey they bayimaan ansoon...
Tujhe merey pyaar ka yaqeen tak dila na sakey....
Aur baar baar yaad karke bhi tujhey yaad aa naa sake! Aisi ki thi kuch paane ki Chah! Humney, Ki phir aur fariyaad ko haath utha naa sake, ‘Num’ huyi meri ‘aankhain’ kuch is tarha tere ‘Situm’ se, Beet gayi umer aur hum muskara na sake

Posted on 2/22/2005 12:44:23 AM


very nice

Posted on 2/22/2005 12:46:22 AM

Tumhain Jab Kabhi

tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boj utardo
main bohat dino say udas hon mujhey koi sham udhar do
mujhey apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khad-o-khal
mujhey apnay rang main rang do meray saray rang utar do
kisi or ko meary haal say na garz hai na koi wasta
main bikhar gaya hon samait lo bigar gaya hon sanwar do
meri wehshaton ko barhadiya hai judayun k aazab nay
meray dil pay haath rakho zara meri darhkanon ko qarar do
tumhain subh kaisi lagi kaho meri khawishon k dayar ki
jo bhali lagi to yahin raho issay chahaton say nikhar do
wahan ghar main kon hai montazir k ho fikr dair sawair ki
bari mukhtasir yeh raat hai issay chandni main guzar do
koi baat kerni hai chand say kisi shakhsar ki oot main
mujhey rastay main yahin kahin kisi kunj-e-gul main utar do

Posted on 2/22/2005 12:47:24 AM

paki_fan:

very nice
thx

Posted on 2/22/2005 12:52:26 AM

wo dil jo hama liye ja rahy hain
un se pocho k kia wo kiee ja rahy hain

unheen door jane se koee to rooky
jinheen dekh kar ham jiee ja rahy hain

jigar ko keya jane waly ne chalni
chalni chalni jigar siye ja rahy hain

lagi aag dil main bojhane ki khatir
jabhi to yeh ansoo piye ja rahy hain

sada kush rahy wo jafa karne wala
os ko duain diye ja rahy hain

Posted on 2/22/2005 12:54:24 AM

BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

Posted on 2/22/2005 12:56:05 AM

gooddddddd paki

Posted on 2/22/2005 12:57:50 AM

Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay,
Manzil Ka Na Koi Naam Mile
Ik Hansta Hua Aaghaz Mile,
Ik Rota Hua Anjaam Mile,
Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say,
Is Dil Ko Koi Paygham Mile,
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay,
Mujh Ko He Koi Ilzaam Mile,
Aisay He Kisee Aik Lamhay Men,
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Men,
Kuch Phool Achanak Khil Jahen,
Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen...

Posted on 2/22/2005 1:00:21 AM

Very Good job Dear

Posted on 2/22/2005 12:08:29 PM

thx

Posted on 2/23/2005 11:44:26 PM

Jis Dil Ko Muhabbat Ho Jaye Woh Dil To Kafir Ho Jaye..
Phir Rub Rothay Ya Jug Chotay Phir Dum Bhee Akhir Hoo Jayee..

Ik Cheez Muhabbat Hotey Hai Woh Jaan Ki Aafat Hootey Hai..
Yeh Jaan Ka Sooda Ker Dalle Yeh Aese Qayamat Hotey Hai...

Yeh Ishq Ka Dariya Aese Hai Jo Duub Gaya So Paar Gaya......
Yeh Pyaar Ka Sagar Aessa Hai Jo Teer Gaya So Haar Gaya...

Ik Ashq Ka Dariya Seene Mein Tu Paar Lagane Aaja..
Tu Duba Duba Jaye Tu Is Ko Bachane Aaja Tu Is Ko Bachane Aaja..


Posted on 2/23/2005 11:47:41 PM

Wo larki thi ik nazuk si
Jo baat baat pay hasti thi
Jis ki gehri ankoon main,
Umedoon ki masti thi
Jis kay khoab sunehray thay
Aur khoaboon ki aik basti thi.
Jis kay hath ki kali choori,
Chan chan kar k bajti thi
Dehteez pay jis kay nazuk dil pay,
Pyar ki shamma jalti thi

Phir yuu hoa, ik andhi aee
Khoaboon ki basti ujar gai,
Umedain sab tood gai,
Choori ki chan chan maand hoi,
Hansi laboon say rooth gai
Ab us ki sookhi ankhoon main,
Dard ki nadiya behti thi.

Wo to ik masoom kali thi,
Wo to bas tanha he bhali thi
Jhootay sachay khooab dikha kar
Wo phir kiyu ab lot gaya.

Posted on 2/23/2005 11:49:38 PM

Jab bhi apse milne ki takdeer nazar ayi
Mujhe pavon main bandhi zanjeer nazar ayi
Teri yaad main nikal pare mere aansu
Har aansu main teri tasweer nazar ayi
Ek doosre ka saath hain hum yun nibhaa ke khush,
Main ro ke khush hoon aur wo mujhe rulake khush.


Posted on 2/25/2005 3:08:48 AM

Humhe Khabar tak naa hone di, aur woh jagah doondhte rahi humari mayyat ke !
Humhe gum na hota maut ka bhi, agar ek baar aa jaate woh humari laash pur rone ke liye !!

Posted on 2/25/2005 3:43:41 AM


Posted on 2/25/2005 3:43:59 AM

OHHO

Posted on 2/26/2005 1:25:05 AM

Ik Baar Muskura Do
Firdos Jhoom Uthay
Faza Muskura Uthay
Tum Muskura Utho To
Khuda Muskura Uthay
Ik Baar Muskura Do
Ik Baar Muskura Do
Afsaana-e-Chaman Ka
Unwaan Hi Badal Do
Phoolon Ka Sar Kuchal Do
Kallion Ka Dil Massal Do
Aakaash Ki Javaani
Baadal Main Mu'n Chupaye
Mahtaab Doob Jaaye
Taaron Ko Neend Aaye
Zohra Jabeen Pareeroo
Tamseel Maah-O-Anjum
Aankhain Sharaab Aanghi
Jazbaat Lain Talaatun
Hiltay Huay Labon Par
Hansta Hua Taraana
Ay Dilnawaaz PIkar
Khaatir Main Hai Zamaana
Labha-e-Ahmari Par
Nikhri Hui Hai Laali
Yeh Halki Halki Surkhi
Tasveer Hai Shafaq Ki
Aawara Shokh Zulfain
Rukhsaar Choomti Hain
Rukhsaar Choomti Hain
BayKhud Hain Ghoomti Hain
Ho Zeest Ka Sahaara
Tum Moj Mein Kinara
LIkin Suno Khudara
Ik Baar Muskura Do
Ik Baar Muskura Do
Ik Naujavaa'n Musaafir
Fitrat Ka La-Ubaali
Ik Aalmi Junoomi
Ik Samt Ja Raha Tha
Jesay Kay Apni Dhun Mein
Parbat Pay Chadh Raha Tha
Zulfain Kay Muntasher Thi'n
Chehray Say Muzmail Tha
Nazrain Kay Rah Pay Thi'n
Kitna Shikast-e-Dil Tha
Maazi Ki Dhool Akooni
Ik Aks Paa Raha Tha
Guzra Hua Zamaana
Phir Yaad Aa Raha Tha
Armaan Tadap Rahay Thay
Hasrat Machal Rahi Thi
Baytaab Zindagaani
Karvat Badal Rahi Thi
Gin Gin Taaray
Haye Bechaaray
Chain Na Aaye
Jee Ghabraaye
DIkh To Kya Hai
Kon Basa Hai
Deeda-e-Sarmi
Neechi Nazar Mi
Sheesha-e-Dil Mi
Aankh Kay Tilmi
Dil Ko Jalaana
Khel Hai Jaana
Dil Ko Jala Kar
Aag Laga Kar
Khud Bhi Jalo Gay
Haath Malo Gay
Tum Sham-e-Farozaa'n Ho
Khud Bhi Jalo, Jala Do
LIkin
Ik Baar Muskura Do
Ik Baar Muskura Do
Tum Jaan-e-Mud'aa Ho
Ik Husn Dilruba Ho
Itna To Mein Kahoon Ga
Meri Hi Is Ghazal Ka
Rangeen Kaafia Ho
Ik Baat Tum Say Poochoon
Bolo Jawaab Do Gi
Yeh Husn Yeh Javaani
Sarkaar Kya Karogi
Honton Ki Muskurahat
Becho Ghareed Loonga
Manzoor Ho To Bolo
Anmol Daam Doonga
LIkin
Ik Baar Muskura Do
Ik Baar Muskura Do


Posted on 2/26/2005 1:26:36 AM

JANUBABY:
Wo larki thi ik nazuk si
Jo baat baat pay hasti thi
Jis ki gehri ankoon main,
Umedoon ki masti thi
Jis kay khoab sunehray thay
Aur khoaboon ki aik basti thi.
Jis kay hath ki kali choori,
Chan chan kar k bajti thi
Dehteez pay jis kay nazuk dil pay,
Pyar ki shamma jalti thi

Phir yuu hoa, ik andhi aee
Khoaboon ki basti ujar gai,
Umedain sab tood gai,
Choori ki chan chan maand hoi,
Hansi laboon say rooth gai
Ab us ki sookhi ankhoon main,
Dard ki nadiya behti thi.

Wo to ik masoom kali thi,
Wo to bas tanha he bhali thi
Jhootay sachay khooab dikha kar
Wo phir kiyu ab lot gaya.










v nice JUBU






Posted on 2/26/2005 2:27:14 AM

Nice JB

Posted on 2/26/2005 4:18:21 AM

Is bewafa ka shehar hai aur hum hain dosto
Ashk-e-rawa ki nehar hai aur hum hain dosto
Ye ajnabi si manzalein ye raftgaan ki yaad
Tanhaiyon ka zehar hai aur hum hain dosto

Posted on 2/26/2005 4:20:19 AM


Posted on 3/2/2005 1:00:59 AM

khulee jo aankh to woh tha na woh zamana tha
dehagtee aag thee, tanhayee thee, fasana tha
gamoon ne bant liya hai mujhe yoon apas main
k jese main koi luta howa khazana tha
juda hai shakh se gul rut se aashiyanee se
kali ka jurm gharii bhar ka muskurana tha
yeh kya k chand hi gadmoon pe thak ke bath gaye
tumheen to sath mera door tak nibhana tha
mujhe jo mere lahoo main doboo ke guzra hai
woh koi gair nahin yaar ik purana tha
khud apne haath se raza us ko kaat diya
ke jiss tehnee pe aashiyana tha


Posted on 3/2/2005 1:02:34 AM

very nice everyone

Posted on 3/2/2005 3:26:31 AM

"Apne haathon se yun chehrey ko chupaate kyon ho
Mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa Pyaar karte ho tu phir pyaar chupaate kyon ho
Ansoo aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon Ho"

Posted on 3/2/2005 3:27:26 AM

nice main post kar chuki hon

Posted on 3/3/2005 1:14:31 AM

Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,
Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,
Na janay zamanay nay mujboor is qader ker diya,
Kay wo meri kisi sada pay thera hi nahi,
Mien tamam ter koshishoo ky bawajoud har gaye,
Wo usay mil gaya jis nay is ko manga hi nahi,
Her ik say poucha teray na milnay ka sabub,
Her ik nay kaha wo teray liye bana hi nahi!!!

Posted on 3/3/2005 1:21:37 AM

Dil Ki Batain Bata Deti Hain , Aankhein....!!!
Dil Ki Batain Bata Deti Hain , Aankhein
Dharkanoon Ko Jaga Deti Hain, Aankhein.

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi
Dil Ko Tu Deewana Bana Deti Hain Aankhein.

Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare,
Haal Sara Unke Dil Ka, Suna Deti Hain Aankhein.

Gham Sada Rehta Nahi , MeMoN Tere Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhein.

Aata Hai Jab Dor -E- Jawani , Tu Aeye Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhein.

MaNa Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste.
Magar Kabhi Kabar ,Neend Urra Deti Hain Aankhein.
Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat Humain
Dard -O-Gham Sare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein.


Posted on 3/3/2005 1:23:47 AM