chup kar jao ab saare
hum sher arz karne lage hein
bahaar aae to jaise yak baar
laut aae hein phir adam se
woh khaab saare, shabaab saare
jp tere honton pe marr mitae the
jo mitt k harr baar phir jiye the
nikher gae hein gulaab saare
jo teri yaadon se mushkbu hein
jo tere ushaaq ka luhu hein
ubal pare hein azaab saare
malaal e ahvaal e dostan bhi
khumar e aagosh e meh-washan bhi
gubaar e khatir k baab saare
tere hamare
savaal saare, javaab saare
bahaar aae
to khul gae hein
nae sire se hisaab saare........
dasht e tanhai mei,,
ae jaan e jahan larzan hein
teri awaaz k saae
tere honton k saraab...
dasht e tanhai mei
doori k khas o khaak tale
khil rahe hein tere pehlu k saman
aur gulaab...
uth rahi hai kahin kurbat se
teri saans ki aanch
apni khushbu mei sulagti hui
madham madham
door ufaq paar chamakti hui
katra katra
gir rahi hai teri dildar nazar
ki shabnam....
iss kadar pyaar se,, ae jaan e jahan rakha hai
dil k rukhsaar pe iss wakt
teri yaad ne haath
yun guman hota hai
darche hai abhi subh e firaq
dhal gaya hijr ka din
aa bhi gai wasl ki raat...
must b from dast e saba