Tere Harfoon Tere Lafzon Kay Diyay Jaltay rahain
Tere Jugno Kisi Suraj Kay Liyay Jaltay Rahain
Tu Bi Is Aatish Gulrang Main Soo Baar Jalay
Ham Bi Is Aag Ko Gulnaar Kiyay Jaltay rahain
Tere Dildar Hain, Apna Bi Koi Chao Hay
KUCH AGAR HAY TO MOHABBAT HI KA PHELAO HAY
Koi Khoshbo Bikharti Hay
Zameen Aur Aasman Kay Darmyan,Phelay Manazir Main
Bohat Ahistagi se Jab Koi Khosbo Bikharti Hay
To Aankhon Main Sitaron Ka Ajab Mela Sa Lagta Hay
Hawa Sargoshiyan Pehnay Darichon Se Guzarti Hay
Koi Khoshbo Bikharti Hay
Darahton Se Juda Hotay Hoay Be-Hanuma Patey
Safar Aghaaz Kartay Hain
To Sapnon Par Haqeeqat Ka Koi Par.Tu Sa Parhta Hay
Saba, Kos-e-Qaza Ki Rah Main Zeenay banati Hay
Aur Ik Be-naam Si Aahat Dabey Paun Utarti Hay
Koi Khoshbo Bikharti Hay
Neya Mosam,Puraney Raaston ki Dhool Se
Chehra Uthata hay
To Shabnam Kasa-e-Gul Main Kaien Sikkey Girati hay
Zameen Pehlo Badalti Hay
Koi Khoshbo Bikharti Hay
Bohat Ahistagi se Phir TERI KHOSHBO BIKHARTI HAY
gaye dinon ki azeez batain
nigaar subhain Gulaab ratain
bisaat-e-dil bhi ajeeb shay hey
hazaar jeetain hazaar maatain
judaiyon ki hawaien
lamhon ki khushk mati urda rahi hain
gai ruton ka malaal kab tak
chalo k shakhain toot-ti hain
chalo k qabron per khoon ronay se
apni aankhain hi phoot-ti hain
Na vaada hey koi Tum se
Koi rishta nibhanay ka
Na koi aor hi dil main
Tahaiyya ya Irada hey
Kai din se magar dil main
Ajab uljhan c rehti hey
Na tum is DaastaaN k sarsari kirdaar ho koi
Na qissa itna saada hey
Taluq jo main samjha tha
kahein us se Zyada hey
Teri aahat
sulagti dopeher ko aik pal main sham kerti hey
utarti hey sawad-e-hijr main kuch istarah jese
sada-e-aashna koi
ghanay, gehray, andheray junglon ki bay yaqeeni main
nai manzil dikhati
roshni ka kaam kerti hey