Logo

Log badal gaya hain


Posted on 5/14/2005 7:46:56 AM

HrithikZgirl38486.3252199074

Posted on 5/14/2005 7:48:09 AM

salam namasty hi kiya hal hy sab ka

Posted on 5/17/2005 12:06:50 PM

very ncie mugle azam ji

Posted on 5/17/2005 3:23:50 PM

alizaidi:
salam namasty hi kiya hal hy sab ka

walikum Assalam
and welcome

Posted on 5/18/2005 2:34:46 AM

alizaidi:
salam namasty hi kiya hal hy sab ka

w/salaam.. Hum tu theek thaak hain aap sunao

Posted on 5/18/2005 3:00:08 AM

Thanks My All Friend's Zaidi saab W.salam Namastay Jao Hum Nahi Samjhtay

Posted on 5/19/2005 6:35:23 PM

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai....

Posted on 5/19/2005 6:37:08 PM

guud again ji

Posted on 5/20/2005 11:23:04 AM

very nice

Posted on 5/21/2005 2:45:36 AM

Jab tak tanhai na thi hamara beech
karta tha tum hum sa baatain
hal-e-dil karta they tum hum sa bayan
Din kia tha raatoon ko bhi hota tha hum saath

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
lakin hum mar ka bhi hain tumhara pass
Tanhai na hoti tu hota hum ajj tumhara saath
Bhool na payi hon main tumhain
Tum aur tumhari tanha

Posted on 5/21/2005 2:45:53 AM

THNAKS 2 ALL MY FRIENDS GOOD DUA JEE





Posted on 5/21/2005 6:37:35 PM

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

Posted on 5/21/2005 6:40:29 PM


Posted on 5/21/2005 7:04:29 PM

mughl-e-azam:
THNAKS 2 ALL MY FRIENDS GOOD DUA JEE
Thankzzz




Posted on 5/21/2005 10:24:14 PM

mughl-e-azam:
Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai....

once again
very nice

Posted on 5/22/2005 1:10:07 AM

Dua_786:
Jab tak tanhai na thi hamara beech
karta tha tum hum sa baatain
hal-e-dil karta they tum hum sa bayan
Din kia tha raatoon ko bhi hota tha hum saath

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
lakin hum mar ka bhi hain tumhara pass
Tanhai na hoti tu hota hum ajj tumhara saath
Bhool na payi hon main tumhain
Tum aur tumhari tanha

very nice dua

Posted on 5/22/2005 1:10:37 AM

10X

DUA

Posted on 5/22/2005 9:56:43 PM

har khushi mein koi kami see hai
hansti ankhon mein nami see hai
din bhi chup chap sar jhokayeh tha
raat ki nabz thami see hai
kis ko samjhayein kisi ki baat nahi
zehan aur dil mein phir thani see hai
khowab tha ya gubar tha koi
gard in palkon pe jami see hai
kahein gey hum kis say dil ki baat
saehar mein ik sunsani see hai
husrataein rakh ho gayein lakin
agg abb bhi kahein dabi see hai......

Posted on 5/22/2005 9:59:12 PM


Posted on 5/23/2005 2:32:43 AM


Posted on 5/23/2005 11:29:35 AM

paki_fan:
Dua_786:
Jab tak tanhai na thi hamara beech
karta tha tum hum sa baatain
hal-e-dil karta they tum hum sa bayan
Din kia tha raatoon ko bhi hota tha hum saath

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
lakin hum mar ka bhi hain tumhara pass
Tanhai na hoti tu hota hum ajj tumhara saath
Bhool na payi hon main tumhain
Tum aur tumhari tanha

very nice dua

Thankzz

Posted on 5/26/2005 6:11:13 AM

mughl-e-azam:
har khushi mein koi kami see hai
hansti ankhon mein nami see hai
din bhi chup chap sar jhokayeh tha
raat ki nabz thami see hai
kis ko samjhayein kisi ki baat nahi
zehan aur dil mein phir thani see hai
khowab tha ya gubar tha koi
gard in palkon pe jami see hai
kahein gey hum kis say dil ki baat
saehar mein ik sunsani see hai
husrataein rakh ho gayein lakin
agg abb bhi kahein dabi see hai......

very nice

Posted on 5/26/2005 6:12:05 AM

atti hai chahton ki kahani pe abb hansi
tum say bechar ke soch ke rukh bhi baddal gaye
abb tum ko dekh kar bhi dharkta nahi hai dil
tum woh nahi rahay ke merray dukh baddal gaye...





Posted on 5/27/2005 8:05:18 PM

very nice frnd... keep it up

Posted on 5/30/2005 5:43:15 AM

bus itna hee atii hai ghazal hai

teray khat aj mai ganga mai baha ayaa hoon
agg bethy hua pani ma laga ayaa hooon lol

bussss

Posted on 5/30/2005 7:27:04 AM

barsoon say woh mujh say khafa raha
lakin merray wajood ki demak bana raha
woh shaks ajnabi to nahi dost bhi nahi
kaal jub mila to dair tuk dekhta raha

Posted on 6/2/2005 5:43:36 PM

koi dhundla sa ik chehra merri ankhon mein rahta hai
koi bhatka sa ik jugno merray khowabon mein rahta hai
ik manoss see awaz mujhay sone nahi deti
koi uljha sa ik jumla merri yadoon mein rahta hai
hai kis ke shabnami anchal ki khushbo abb talak mujh mein
koi ahsaas mahka sa merri sansoon mein rahta hai
mujhay khud par nahi kabu na main kuch bol sakta hoon
asar ye kis ke lafzon ka merri batoon mein rahta hai
december ki khanak raatein mujhay bechain rakhti hain
lamas ik haath ka abb tuk merri sochon mein rahta hai
hai dil bhi muzhtarib ahsaas bhi sochon ki uljhan bhi
ye kis ki ankh ka anssu merri ankhon mein rahta hai.

Posted on 6/4/2005 9:50:26 PM


Posted on 6/5/2005 6:41:17 AM

YAAR AAP SUB SAY MAIN NAY AIK BAAT POCHI THI..... KISI NAY KOI JAWAB HI NAHI DEYA .JANAB KOI AUR HI BATA DO KE PICTURE KESSAY CHANGE KARTE HAIN PLZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZZ

Posted on 6/5/2005 8:07:26 PM