Khamosh rehna agar mujhey aata hota,
Uski bewafaie ka gila mai nahi karta.
Na milta mujhey agar gham wafa ke badlay...
To shayad dil mein khamoshi ko panah nahi deita.
Zamaney waley yun deikhte hai mujhko,
Ki asman ka ye tanha sitara kaun hai,
Janey kya gunah hua tha mujhse ki...
Iss duniya ne mera tamasha banaya hai.
Mai khud ka wazan to badha nahi paya,
To fir lafzon mein wazan kahan se laun.
Zindagi mein itni bar marr chuka hu ki,
Samajh nahi aata khud ki lash kaha dafnaun.