hmmm,,
me alim wagera to hu nahi yar, sirf wohi kehti hu jo dil ya dimag mei hota hai, jo sun k parh k soch samajh k dil ko lagta hai
Jannat aur Dozakh ka zikr to Quran pak mei hai,, so obv unn k wujood se inkar nahi kiya ja sakta
momin ka har din behtar se behtar hona chaiye
iss baat se mera khyal yeh matlab nahi nikalta k aap roz dozen k hisab se naikiyan karo,, par itna k Khuda ki zaat pe yakeen aur Allah miyan se lagan barhti rehni chaiye,,,, jab hum sache dil se Allah miyan ki zaat ko sab kuch maan lete hein to phir kya jannat aur kya dozakh
kehte hein k Allah miyan k sache ashikon ko agar kayamat k din kaha jae k Allah miyan ki khushi issi mei hai k aap log dozakh mei jao to woh hansi khushi dozakh ko kubool kar lein ge
hamare han kuch aisa chakkar hai k bachpan se hi Allah miyan se daraya jata hai, Allah miyan se pyar karna nahi sikhaya jata
once i read an auto-biography of a vv famous paki writer,, aur unhon ne jo baat kahi wakai mere dil ko lagi
he said bachpan se hi mujhe harr aik baat mei yeh kaha gaya k yeh na karo Allah miyan naraz ho ja'ain ge, woh na karo Allah miyan dozakh mei bhej dein ge,, aise na karo gunah mile ga,, waise na karo,,,,,,, yani k aik age aisi i k mere dimag mei Allah miyan ka image apne Molvi sahab jaisa ban gaya,, bari si darhi, laal laal ankhein, haath mei danda aur harr wakt gusse mei
im sure hum sab log kissi ka kissi age mei aise daur se guzre hein jab yeh sab dimag mei hota hai
dozakh aur jannat hamara aim nahi hone chaiye,, aim Khuda ki raza hai,, janant aur dozakh gadhe ki peeth pe parne waale dande ya agay tangi hui carrot ki tarha hein,, dono usse agay bhagne pe majboor karti hein,,
race to woh jeet jata hai par rehta gadha hi hai
yarr gadhe mei aur hum mei kuch to fark hona chaiye
(please correct me jahan me ne kuch galt kaha,, iss liye k yeh meri apni soch hai kahin se parha suna nahi hai... lekin plz araam se)
yeh topic kahan se kahan a gaya