Logo

Khush-Haal se Tum b Lagtay Ho....


Khush-Haal se tum bhi lagtay ho
yun afsurda to hum bhi nahi
per jannay walay jantay hain
khush tum bhi nahi khush hum bhi nahi

Tum apni khudi k pehray main
aor daam-e-gharoor main jakrday huye
hum apnay zo'am k narghay main
Anaa hath humara pakrday huye

ik muddat se ghaltaan Peechan
tum rabt-o-guraiz k dhaaron main
hum apnay aap se uljhay huye
pachtawon k angaaron main

mehsoor-e-talatum aaj bhi ho
go tum ne kinaaray dhoond liye
toofan se sanbhlay hum bhi nahi
kehne ko saharay dhoond liye

khamosh se tum, Hum mehr-ba-lub
jug beet gaye Tuk baat kiye
suno, Khel adhoora chorrtay hain
bina chaal chalay bina maat kiye

jo bhagtay bhagtay thak jaien
wo saaye ruk b saktay hain
chalo torro qasm iqraar karain
Hum dono jhuk b saktay hain


Khaleel-Ullah Farooqi

Posted on 6/18/2005 11:47:20 AM


Posted on 6/18/2005 3:39:37 PM


Posted on 6/19/2005 6:51:15 PM

itni sad Sami Doci

nice

Posted on 6/21/2005 8:39:01 PM

gud work jeee

Posted on 6/21/2005 11:45:34 PM

jo bhagtay bhagtay thak jaien
wo saaye ruk b saktay hain
chalo torro qasm iqraar karain
Hum dono jhuk b saktay hain


happy ending Behna...


Posted on 6/22/2005 8:00:26 AM

yeah

but tab ham thud sad thay to chab sad lag laha tha na

Posted on 6/22/2005 6:24:19 PM

ab kya karain behna, poetry e aisi pasand hey humain..


Posted on 6/22/2005 8:10:18 PM

to achi hay na

Posted on 6/22/2005 9:52:35 PM


Posted on 6/22/2005 11:10:12 PM

to Shukriya


Posted on 6/23/2005 10:19:19 AM

Doctor Sam:

Khush-Haal se tum bhi lagtay ho
yun afsurda to hum bhi nahi
per jannay walay jantay hain
khush tum bhi nahi khush hum bhi nahi

Tum apni khudi k pehray main
aor daam-e-gharoor main jakrday huye
hum apnay zo'am k narghay main
Anaa hath humara pakrday huye

ik muddat se ghaltaan Peechan
tum rabt-o-guraiz k dhaaron main
hum apnay aap se uljhay huye
pachtawon k angaaron main

mehsoor-e-talatum aaj bhi ho
go tum ne kinaaray dhoond liye
toofan se sanbhlay hum bhi nahi
kehne ko saharay dhoond liye

khamosh se tum, Hum mehr-ba-lub
jug beet gaye Tuk baat kiye
suno, Khel adhoora chorrtay hain
bina chaal chalay bina maat kiye

jo bhagtay bhagtay thak jaien
wo saaye ruk b saktay hain
chalo torro qasm iqraar karain
Hum dono jhuk b saktay hain


Khaleel-Ullah Farooqi


dr ji cha gai hain aap guud ji

Posted on 6/24/2005 1:54:46 PM


Posted on 6/24/2005 1:55:22 PM

MAHA RAJA:

dr ji cha gai hain aap guud ji


shukriya meharbani karam..


Posted on 6/24/2005 2:14:23 PM

zindagi guzar di humne is dunya main
kisko ghum nahin hai yeh jaan na sake

Posted on 6/24/2005 3:21:03 PM

khamosh se tum, Hum mehr-ba-lub
jug beet gaye Tuk baat kiye
suno, Khel adhoora chorrtay hain
bina chaal chalay bina maat kiye



Posted on 6/24/2005 4:17:05 PM


Posted on 6/24/2005 5:24:03 PM


Posted on 6/25/2005 6:19:53 AM


nice sharing

Posted on 7/1/2005 4:37:30 PM

guud ji

Posted on 7/8/2005 3:17:14 PM

   

Posted on 7/8/2005 3:17:51 PM

Thank U..


Posted on 7/9/2005 7:12:52 AM

Doctor Sam:
Thank U..




u r kum ji

Posted on 7/12/2005 12:13:11 PM