Logo

serious : how many times???

Kisi ko kitni bar chance daina chahiyay?

mean agar koi aap ko dhoka day, hurt karay aap ki feelings ko, USE karay aap ko kisi maksad kay liyay,,,etc

kiya aap ko har baar maaf kar daina chahiyay?

ya 3 bar? 4 bar? ya HAR baar???


Posted on 7/12/2005 10:36:50 PM

hmmmmmm,,,,,
agar woh sincere ho to harr baar maaf karna chaiye
warna aik baar bhi nahi

par yeh kaise pata chale k woh sincer hai

Posted on 7/12/2005 10:40:36 PM

hmm stop acting cool
just beat you might win
so dont give a 2nd chance
once it will start, will not end
becareful

Posted on 7/13/2005 12:17:56 AM

shahrukh khan:
1ST TIME: BHOOL SAMAJ KAR MUAFF KARDO
2ND TIME: NEXT TIME AISA NAHI HOGA
3RD: PHIR AISA HO TU MUAFF NA KARO


SO 3 TIMES




yeh i agreed

Posted on 7/13/2005 12:27:37 AM

yup Chall yahi to samajhna muchtil hay...

kaisay pata lagaya ja sakta hay?
and koi kiya karta hay jis chay pata chalta hay tay wo muhlis hay ???



Posted on 7/13/2005 1:20:44 AM

shahrukh khan:
1ST TIME: BHOOL SAMAJ KAR MUAFF KARDO
2ND TIME: NEXT TIME AISA NAHI HOGA
3RD: PHIR AISA HO TU MUAFF NA KARO


SO 3 TIMES


and agar aap sure ho first time hi kay YAH BHOOL NAHIN THI? to?

ham waichay to bohattt bar maaf kar daitay hain,
chahay kisi nay BOHAT hi ziada hurt bi kiya ho,
coz AGAR ham ko us person say PYAR hay
to kuch time baad ham thud hi bula laitay hain,
but huh then he/she do the same thing again :S

:'(((

Posted on 7/13/2005 1:25:55 AM

stariz:
hmm stop acting cool
just beat you might win
so dont give a 2nd chance
once it will start, will not end
becareful


uffhoo teacher ji theet chay batain na, details main kiya matlab hay aap ta ? lolzz

hmmm :( samjhain pleeej lolz

Posted on 7/13/2005 1:27:54 AM

~ ßã£îçh ~:
shahrukh khan:
1ST TIME: BHOOL SAMAJ KAR MUAFF KARDO
2ND TIME: NEXT TIME AISA NAHI HOGA
3RD: PHIR AISA HO TU MUAFF NA KARO


SO 3 TIMES


and agar aap sure ho first time hi kay YAH BHOOL NAHIN THI? to?

ham waichay to bohattt bar maaf kar daitay hain,
chahay kisi nay BOHAT hi ziada hurt bi kiya ho,
coz AGAR ham ko us person say PYAR hay
to kuch time baad ham thud hi bula laitay hain,
but huh then he/she do the same thing again :S

:'(((



phir bhi aik chanc e to hona chaye na

Posted on 7/13/2005 1:30:52 AM

depends on ur nature

im sensitive, i really dont forget something
even if im gudd with the other person again
when he/ she does it again
it adds up
i end up throwing them out of my life.

Posted on 7/13/2005 1:33:04 AM

nah nah ..chance dena means ek aur ghalti karna haii

Posted on 7/13/2005 1:49:32 AM

cutefriend:



phir bhi aik chance to hona chaye na


chalain ait chance to theet, hay but ham nay taha na, wo phil kartay hain,

and sirf aam si baat nahin, kay larhai ho gai,, REAL dhoka, matlab nikalna and then aap ko bhol jana,
and again loat aana jab
un ko again AAP KI ZARORAT ho,
wo bi apna taam nikalnay kay liyay huhhh..

ham nay aaj tak aisay bohat say logon to azmaya hay,
and un ki wajha say
ab har kisi par SHAK rahta hay
dar rahta hay :(
kay yah bi MATLABI na ho :S





Posted on 7/13/2005 1:54:59 AM

true, jab aise log around hon apke..to its obvious k insan har ek pe shak karta hai

Posted on 7/13/2005 1:58:18 AM

BadShaH1:
depends on ur nature

im sensitive, i really dont forget something
even if im gudd with the other person again
when he/ she does it again
it adds up
i end up throwing them out of my life.


ham bi nahin bholtay badshah, but when i love som1 then
ham us ko had say ziada apna samajh laitay hain,
even net sis bro ko bi real sis bro ki tarha,, etc

ham un ko chorh daina bi chahtay hain BUT ITS NOT easy for me

but i think you are right, but kaisay nikal dain un ko life say,
when you still care about em???

Posted on 7/13/2005 1:58:31 AM

london_ki_hoor:
nah nah ..chance dena means ek aur ghalti karna haii


yup , and ham yah ghalti bohat bar kar chukay hain

but NOW me wanna stop HERE, AND RIGHT NOW

Posted on 7/13/2005 1:59:47 AM

london_ki_hoor:
true, jab aise log around hon apke..to its obvious k insan har ek pe shak karta hai




log aisa kion kartay hain?

jab aap un kay sath aisa nahin kartay, and un ko inta pyar kartay ho, phir bi? :(

Posted on 7/13/2005 2:01:41 AM

Forgive as many times as you can - its closer to taqwa. This doesn't mean you let that person keep hurting you.

Posted on 7/13/2005 3:41:26 AM

depend on who it is

and depends on what kind of hurt

theres different answers for different situations

Posted on 7/13/2005 3:51:09 AM

all the time

cuz u never know kab koi sudher jae...plus baar baar tooba kernay per to Khuda bhi maaf ker deta hae...hum to phir insaan hain

Posted on 7/13/2005 5:28:07 AM

jab saaf dekhai day raha hai k dhoka ho raha hai baar baar
tou
tame na apna waste karo na dusray ka

or kuch loag bilkul nahin sudhertay

aar ya paar!
bech mein lataknay ka koi faida nahin

Posted on 7/13/2005 1:54:46 PM

balich yarr,,
sincere shaks baar baar kissi ko hurt karta hi nahi
insaaan ki sharmindagi uss ki ankhon se nazar aati hai,, itna mushkil nahi hota pata karta




riz ki baat bhi theek hai
pehle bhool k baad hi itniiiii pitai karo k bhool karna bhool jae

Posted on 7/13/2005 9:42:51 PM

but if u reallyy really love someone to phir uss ki galtiyan nahi ginte
u spend ur life in this hope k woh ab ki baar sudhar gaya hai

Posted on 7/13/2005 9:44:08 PM


~ ßã£îçh ~:
Kisi ko kitni bar chance daina chahiyay?

mean agar koi aap ko dhoka day, hurt karay aap ki feelings ko, USE karay aap ko kisi maksad kay liyay,,,etc

kiya aap ko har baar maaf kar daina chahiyay?

ya 3 bar? 4 bar? ya HAR baar???





i heard ke aazmaye hoay logoon ko aazman jahiliat hai...
so mein tu kabhi maaf nahi karta jo aise kare
specially Feelings se koi khaie tu.......
phir tu kaam hi doosra ho jata hai......
i have left how many ppl due to this habit...




Posted on 7/13/2005 9:54:38 PM

MAINE KIYA KIYA HAY AB K ???

Posted on 7/13/2005 10:44:00 PM

Smooth_daddy:
Forgive as many times as you can - its closer to taqwa. This doesn't mean you let that person keep hurting you.



i did, and ab bi kar diya maaf BUT,

agar maaf kar dain, dil say, but us person say milna kam kar dain, or baat na karen?
is liyay nahin kay ham nay maaf nahin kiya
balkay is liyay kay
ham ko yaqeen ho and
dar ho kay he she gonna do it again to, kiya aisa karna theek ho ga phir???


Posted on 7/14/2005 4:16:04 AM

LiL_DollY:
depend on who it is

and depends on what kind of hurt

theres different answers for different situations



DUKH ziada ya kam nahin hota,

kabi to aap gheron ki bburi say buri baat bardasht kar jatay hain
and you dont care
but agar apna karey and SPEC wo jis say aap ko
pyar ho
bharosa ho to
maamoli si baat bi HURT karti hay,,,

and here i am talking about DHOKA, and kay koi muhlis nahin ho aap kay sath
+ us ka pyar carez etc jhoot hon

TAB?

Posted on 7/14/2005 4:20:04 AM

Bazigaar:
all the time

cuz u never know kab koi sudher jae...plus baar baar tooba kernay per to Khuda bhi maaf ker deta hae...hum to phir insaan hain



yup i know kay ALLAH maaf kar daitay hain

and ham nay kiya bi, hazar bar kiya, and bohat diff logon ko kiya maaf BUT...

har kadam par aisay hi log mil jatay hain

bar bar dhoka

mean ppl har jagha


Posted on 7/14/2005 4:23:06 AM

SALL:
balich yarr,,
sincere shaks baar baar kissi ko hurt karta hi nahi
insaaan ki sharmindagi uss ki ankhon se nazar aati hai,, itna mushkil nahi hota pata karta




riz ki baat bhi theek hai
pehle bhool k baad hi itniiiii pitai karo k bhool karna bhool jae


i know chall but as i told you b4 kay ham ko insanon ki pahchan nahin hay :(
tabhi to bar bar...

and baat bi yahi kay, jab pata ho kay wo banda sincere nahin hay, BUT aap us kay sath sincere ho, and pyar bi kartay ho us say...
tab?


lolz but kabi to aap maar kiya, gilah bi nahin kar patay...

coz you dont wanna lose that person :)

Posted on 7/14/2005 4:26:59 AM

SALL:
but if u reallyy really love someone to phir uss ki galtiyan nahi ginte
u spend ur life in this hope k woh ab ki baar sudhar gaya hai



hmmm

but its not easy na Chall...

gher kuch karey to banda dusri bar sochta bi nahin, apna karey to
chahay aap kuch na kaho BUT lagti bohat hay

Posted on 7/14/2005 4:29:08 AM

shahrukh khan:
Muaff karne wala Afzal hota hai



i know Chaluth

but insaan hain na, har kam kar jaen to farishtay na ban jaen


Posted on 7/14/2005 4:30:39 AM

~ ßã£îçh ~:
Kisi ko kitni bar chance daina chahiyay?

mean agar koi aap ko dhoka day, hurt karay aap ki feelings ko, USE karay aap ko kisi maksad kay liyay,,,etc

kiya aap ko har baar maaf kar daina chahiyay?

ya 3 bar? 4 bar? ya HAR baar???



waysay ap kisi say kitni bar chance laynaa cahye gay??????

Posted on 7/14/2005 4:31:45 AM

SupidGuy:


i heard ke aazmaye hoay logoon ko aazman jahiliat hai...
so mein tu kabhi maaf nahi karta jo aise kare
specially Feelings se koi khaie tu.......
phir tu kaam hi doosra ho jata hai......
i have left how many ppl due to this habit...



ji right, but har kisi ko chorh daina bi easy nahin hota,
i wish kay ham bi aap ki tarha chorh saktay

Posted on 7/14/2005 4:32:22 AM