Pyar karte hain sanam hum had se bhi jyada tumse.
Maang le agar to jaan nisaar kar den tujh pe.
Tumse milne ke baad kehten hain hum ab sabse.
Tumhara khuda hai aasmaan main par mera jameen pe
Toofan main diya jalta nahin par main jala doonga.
agar tumhara pyar mil jaye to duniya ko bhula doonga.
Tumhare kadmon pe jindagi ki har khushi luta doonga.
Ek baar kah do apna tumhen dil main chupa loonga.
Jinki yaad mein hum deewanay ho gayeh,
Wo hum hi say bayganay ho gayeh
Shayad unhain talash hay ab nayah pyaar ki
Kyunkay unki nazar mein hum puranay ho gayeh
Baaki kuch na raha zamaanay mein
Jawani guzar rahi mehkhaanay mein
Ab to karlay mayray pyaar pay yakeen
Warna zindagi beet jaayegi aazmanay mein
Tumhari har adaa ka kya jawab duon
Apnay pyaar ko kya badhawa duon
Koi acha sa phool hota to maali say mangwata
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab duon
Waqt humain bhulla chuka hai
Mukaddar bhi na bhulla day
Hum pyaar isliyeh nahi kartay
Kay kahin humain phir say koi na rula day
Aankhon mein aansoo aa jaatay hain
Phir bhi laboon pay hansi rakhni padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jissay kartay hain usee say chupani padti hai
Agar mohabbat ki hai mujhse to
mujhe apne sare ghum de do.
Apne dard apne aansoo sare
mujhe mere sanam de do.
Khuda se dua hai ab to yehi
meri umra bhi tujhe lag jaye.
Tumhare hisse ki maut bhi
mujhe hi ab mil jaye.
Chandni chand se hoti hai sitaron se nahi
Pyar bhi ek se hota hai hazaron se nahi
Kaise tumhe yakeen dilaun ki tumhi mere rahat ho
kaise tumko samjhaun ki tumhi mere chahat ho
Jahan chahat aur rahat na ho wo pyar nahin
Wo sanam sanam hi kya jis par aetbar nahin