SALL:
8 : rafa yadei kya hota hai ?????
"Rafa' Yadain" means dono hathoon ko buland karna. aur ye kehtay hain Namaz main takbeer kehtay huay hath kanoon tak uthanay ko. pehli takbeer par tu sabhi hath uthatay hain magar ruku main jatay aur uthtay huay bhi kuch log hath uthatay hain. Imaam e Azam abu Hanifa kay nazdeek rafa yadain na karna afzal bulkay zaroori hai, aur Imaam Shafi kay nazdeed karna afzal hai.
SALL:
10 : mayyat ko sawab pohonchta hai iss pe shak nahi but its sounds strange,, kya koi bura shaks k gunah sirf iss liye kam ho jate hein kyun k uss k marne k baad log uss k liye Quran pak parhein ??
wot if kissi k liye yeh sab karne wala na ho ??
why not? kia ye itself uski aik khoobi nahi kay wo apnay peechay aisay log chor kar gya hai jo us kay darajaat ki bulandi kay liye sadqa o khairaat kartay hain? aur agar banda itna hi gunahgaar hai kay us kay apna bhi us say door bhagtay hoon tu zahir phir kon aisa karay ga.
agar kisi kay liye yeh sab karnay wala koi na ho tu phir ya tu ye uski kamzoori hai, ya phir uski kismat.
SALL:
jo cheez me ne notice ki,,, jiss k paas zyada paise hein woh utne hi zyada khatam/kherat karwata hai
to iss ka matlab yeh hua k..............................

i agree, aajkal log sirf shuhrat kay liye ya riwaaj samajh kar society main apni naak oonchi rakhnay kay ziada khatam/kherat etc kartay hain jin main dikhawa ziada hota hai aur nyyat kam.
aur sadqa/kherat kay liye koi din makhsoos nahi like teesra, daswaan, chaliswaan, barsi etc. ye tu kisi bhi wakt kiya ja sakta hai.
SALL:
jabri talak kya hoti hai ???
jabri tallak means divorce by force, for example agar kisi larki kay parents usay tallak lenay par majboor karain.
There is a Sahih Hadith about it, i dont remember the refference, the words are "teen afa'al har haal main waqa' ho jatay hain, Nikah, Tallak, aur Itaaq"
Here Itaaq means ghulaam ko azaad karna. and we believe kay tallak agar halat-e-nazaa main bhi di jaye tu waka' ho jati hai. similarly wo nikah jo wali ki marzi kay baghair kar liye jaye.