Logo

Khwab martay nahi,

kisi ne aik bachhay say Khwab ki definition poochi to

Bachhay nay kaha

Khwab wo television hey jo insaan sotay main dekhta hey,

how simple and innocent definition it is....

Posted on 10/7/2005 8:35:26 PM

KHWAB MARTAY NAHI

khwab dil hain, na aankhain, na saansain
k jo raiza raiza huye to bikhar jaien gay
jism ki mot se ye bhi mar jaien gay   

KHWAB MARTAY NAHI



Posted on 10/7/2005 8:40:16 PM

khwab k baray main kya kehna chahain gay...?

Posted on 10/7/2005 8:41:01 PM

khab mostly poray nahin hotay... but ya woh hain jo humara sath kabhi nahin chortay... insaan humain chor daitay hain... jin say hum pyar kartay hain woh humain chor daitay hain... but khab kabhi nahin chortay...


KHAB ADHORAY SAHI
KHAB SAHARAY TU HAIN

Posted on 10/7/2005 8:42:06 PM

jo log khwab nahi dekhtay, wo aagay bhi nahi barh saktay...


Posted on 10/7/2005 8:46:55 PM

exactly very well said

Posted on 10/7/2005 8:49:40 PM

khawab dekhna koi jurm nahi
but zaroori nahi k hum un kee haqeeqat ko bhi paa leein

Posted on 10/7/2005 9:26:24 PM

sahi kaha fragi... zarori nahin jo khab hum daikhtay hain woh poray bhi ho jain


mara SUM1 bhi aaisa hi hai... maray liyay aik khab... jisay panay ki main duain mangti hoon... but woh bhi apki wali baat hi kahta hai na k zarori nahin khab ki haqeeqat ko hum pa lain...


but mara dil nahin karta k mara ya khab sacha na ho... i want k mara bus yahi khab sach ho jaay

Posted on 10/7/2005 9:31:11 PM

sach kaha haii insan mar jata haii khawab nahii


Posted on 10/7/2005 9:55:40 PM

hmmmmm

Posted on 10/7/2005 10:06:50 PM

khawab koi aur tooray to bohot dokh hota hai. sari umar nahi jaata.

khawab agar khud samajh kar shor dia jai to woh eik maturity ki nishani hoti hai.

Posted on 10/8/2005 2:13:28 AM

rite akshan ji

Posted on 10/8/2005 8:42:24 AM

kia baat hay yahan sare shair bethay hain

Posted on 10/8/2005 10:15:52 AM

nahi, aiisi koi baat nahi,

aap aa k kharay ho jaien,


Posted on 10/8/2005 8:32:11 PM

~Fragi~:
khawab dekhna koi jurm nahi
but zaroori nahi k hum un kee haqeeqat ko bhi paa leein


zaroori nahi, Lekin sachay log, achay khwabon ko sacha bana e lete hain Fragi baba.


Posted on 10/8/2005 8:33:36 PM

lolzzzz

Posted on 10/8/2005 8:33:55 PM

shahrukh khan:
negeative soch hogie tu kabhi poorey nahi hoon gey



exactly,

b positive, think positive,


Posted on 10/8/2005 8:34:50 PM

~dipsominiac~:
lolzzzz


ye koi joke ya funny baat to nahi hey Dips...

aisa hota hey


Posted on 10/8/2005 8:36:00 PM

wese ye lolz aap ne kion kaha dips... i mean kis baat pe..

lagta hey kuch confusion ho gai hey?

Posted on 10/8/2005 8:36:59 PM

main nay lolzz apki us post pay kaha jis main apnay likha ap aain kharay ho jain...

but woh apki dosri post kay baad post hoyee is liyay

Posted on 10/8/2005 8:37:53 PM

ooh haan,

mujhe bhi ye e laga, ,


Posted on 10/8/2005 8:39:07 PM

Khwab to roshni hain
hawa hain
nawa hain
jo kalay pahardon se ruktay nahi
zulm ki dozkhon se bhi phuktay nahi

...


Posted on 10/8/2005 8:40:25 PM


dil bhi kesi shay hey, dekho jab khali ka khali
garchay main ne daalay ismain aankhain bhar bhar khwab

Posted on 10/8/2005 8:41:36 PM

wah

Posted on 10/8/2005 8:42:57 PM


Posted on 10/8/2005 8:45:28 PM

don cry pray just pray... i know rona ata hai mujhay bhi aa raha hai but pray for dem

Posted on 10/8/2005 8:49:23 PM

ye ansu kis k hain?

Posted on 10/8/2005 8:50:16 PM

ya har us insaan kay hain jo aik dil rakhta hai jo dosroon ki takleef pay ro daita hai

Posted on 10/8/2005 9:54:23 PM

hmmmmmmmmmm



Posted on 10/9/2005 12:04:10 PM

soch kiya rahay hain

Posted on 10/9/2005 12:10:16 PM

hmmmmmm

khwabon k baray main,


Posted on 10/9/2005 12:14:18 PM