Logo

pyaar k zakhm......

reit par likh ke mera naam mitaayaa na karo
aankhein sach bolati hein pyaar chupayaa na karo

log har baat kaa afsaana banaa lete hein
sab ko haalaat kii rudaad sunayaa na karo

ye zaroori nahi har shakhs maseeha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hein dikhaya na karo

shahar-e-ehasaas mein pattharaav bahut hein 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharokhon mein sajaayaa na karo

Posted on 10/18/2005 7:24:45 PM





Posted on 10/18/2005 7:40:09 PM

SALL:
reit par likh ke mera naam mitaayaa na karo
aankhein sach bolati hein pyaar chupayaa na karo

log har baat kaa afsaana banaa lete hein
sab ko haalaat kii rudaad sunayaa na karo

ye zaroori nahi har shakhs maseeha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hein dikhaya na karo

shahar-e-ehasaas mein pattharaav bahut hein 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharokhon mein sajaayaa na karo


"Aankh say Aankh Mila, Baat banaata kiyun hay"
"Tu Zamaanay ki Tarah Mujh ko Sataata kiyun hay "

Posted on 10/18/2005 10:23:45 PM

hum ne to kuch nahi kiya?


Posted on 10/19/2005 2:09:32 AM

Doctor Sam:
hum ne to kuch nahi kiya?



"Waqt kay Saath Khayalaat Badel Jaatay Hainn"
"Yeh Haqeeqat hay magar mujh ko sunaata kiyunn hay"

Posted on 10/19/2005 10:21:35 PM

Yunhi mosam ki adaa dekh k yaad aaya hey
kis qadar jald badal jatay hain Insaan JanaaN

Posted on 10/20/2005 6:05:09 AM

badalna to dur ki baat hum chal hi na sake
jab gea haath chuura ke woh badalne ke bad

Posted on 10/20/2005 5:06:29 PM

kiran:
badalna to dur ki baat hum chal hi na sake
jab gea haath chuura ke woh badalne ke bad


Mujhay lagta hay ...Aap ko bhi meray waali beemaari hay

Posted on 10/20/2005 10:51:31 PM

Doctor Sam:
Yunhi mosam ki adaa dekh k yaad aaya hey
kis qadar jald badal jatay hain Insaan JanaaN


"Hum nay likha tha tumhainn waqt say pehlay jaanaann
Toot jaatay hainn yahan Khuwab suhaanay jaannaann"

Posted on 10/20/2005 10:52:16 PM

"Koi ik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hey
hazaron khwab aankhon main saja kar kuch nahi milta...


Posted on 10/21/2005 10:45:30 AM

Rizwan Ashar Saab fermaatay hainn...


"Zaroori nahin Hum Hazaar Muashqay Kerainn"
"Aik Ho MOhabbat, Magar Yaadgaar ho"

Posted on 10/21/2005 8:51:31 PM

acha,,,

to phir ki...

?


Posted on 10/22/2005 7:06:28 PM

Kiya ???

Posted on 10/23/2005 12:37:31 AM

Mohabbat...


Posted on 11/2/2005 3:02:43 AM

Shayer ka Mizaaj apnay Shaironn say Mukhtalif hay...

Kayee baar ki hay

Posted on 11/2/2005 5:59:13 PM

good answer..


Posted on 11/2/2005 6:53:48 PM


Posted on 11/2/2005 8:16:04 PM

kis k liye...?


Posted on 11/2/2005 8:21:46 PM

kiya ....KIS KAY LIYEY ???

Posted on 11/6/2005 3:37:56 PM

kuch bhi nahi...

kisi k liye nahi...


Posted on 11/6/2005 3:43:34 PM

DASSO na plzzz

Posted on 11/6/2005 4:07:57 PM


kya kahain ab k ajab ishq hua hey Mohsin
sard shaamon ki tarah,garm saweron jesa

Posted on 11/6/2005 4:31:33 PM